Aaj Likhtay Likhtay Thak Kar Kuch Jugat Bazi Sun'nay Ku Dil Kia Tu Youtube Par Tariq Teddy Likh Kar Search Ka Button Dabaya Tu Dil Beth Sa Gaya.

“Tariq Teddy Intaqal Kar Gaye”

Lakhon Chehron Par Hansi Lanay Wala, Tariq Mughal Teddy Jigar Ki Bimari Say Haar Gaya.

Chotta Sa Teddy

Tariq Teddy 1976 Main Faisalabad Main Paida Hoye, Jis Ko Jugat Capital of Pakistan Bhi Kaha Ja Sakta Hay.

Walid Sahib Aur Bhai Carpenter Ka Kaam Kartay Thay, Primary Main Walid Sahib Kay Sath Hath Batana Shuru Kiya Magar Dil Na Laga.

Apna Naam Teddy Kaisay Para, Is Havaly Say Kehtay Hain Kay  Punjab Main Teddy Aik Paisay Kay Sikkay Ya Chotay Qad Kay Shakhas Ku Kaha Jata Hay.  Qad Chota Honay Ki Waja Say Tariq Ko Walida Piyar Say Teddy Kahnay Lageen.

Tariq Teddy Nay Adakari Kay liye Punjab Kay Kai Shehron Main Qismat Aazmai Magar Kaam Na Ban Saka.

Multan Main Satge Ki Adakari Say Tariq Tedday Ko Ibtadai Kamyabi Mili Tu Unhon Nay Lahore Kay Stage Adakaron Ko Multan Main Bulana Shuru Kia. Kaam Chal Para To Lahore Kay Stage Main Qismat Aazmanay Ka Socha.

Tariq Teddy Aur Mastana  

Tariq Teddy Nay Aik Interview Main Bataya Kay Multan Main Adakari Say Milany wali Kamyabi Kay Shoq Main Jab Who Lahore Pohnchay To Koi Kaam Na Mila Aur Alhamra Ki Seerehion Main Baithana Para. Aik Baar Dil Dagmagaya Magar Phir Khud Hi Hosla Kia, Mastanay Say Kaam Ka Tazkara Kia.

Phir Qismat Nay Sath Dia Mastana Nay Apnay Sath Aik Daramay Main Cast Kara Lia. 15 Roz Kay Dramay Main 15 Din House Full Raha,

Yeh Un Ki Adakari Kay Maidan Main Pahli Bari Kamyabi Thi. Us Kay Baad Tariq Teddy Aur Mastanay Ki Jori Ban Gai, Jo Kisi Bhi Daramay Main Kamyabi Ki Alamat Samjhi Janay Lagi.

Phir Aik Waqt Woh Bhi Aaya Kay Jo Log Tariq Teddy Ko Apni Gaari Kay Pas Khara Nahi Honay Daitay Thy, Wo Dramay Main Tariq Teddy Ki Entry Par Jugat Kay Dar Say Stage Say Chalay Jatay Thay.

Waqat Kay Sath, Teddy Aur Mastana Ki Jori, Allan-Nanhaa, Rangeela-Ali Ijaz Ki Tarah Pakistan Main Comedy Ki Kamyaab Jori Ban Gayi, Dono Nay Kاi Dramay Aik Sath Kiye.

Tariq Teddy Punjabi Stage Par ”Tufaan Mail” Kay Taur Par Bhi Janay Jatay Thay۔ Un Ko Ye Naam Adakaar Mastana Nay Dia Tha. Tariq Teddy Is Ki Waja Yeh Batatay Hain Kay Mastana Kehtay Thay Ke Teddy Aik Saans Main 100 Jugtain Laga Sakta Hay,  Is Ki Speed Tufaan Mail Jaisi Hay.

Traiq Teddy Nay Kai Mashhoor Dramay Kiye Jin Main “Chalak Totay” “Mama Pakistani” “Rabba Ishq Na Hovay” ”Husan Meri Majburi”  ”G Karda” ”Mirch Masala” ”Eid Da Chun” ”Abhi Tou Main Jawan Hun” ”Dosti”  Aur ”khush Amdeed” Shamil Hain.

Tariq Teddy Nay Film Main Bhi Qismat Azmai Magar WohKamyab Na Ho Sakay. Jis Ke Baad Unhon Ne Khud Ko Theatre Kay Liye Waqf Kar Diya.

Kuch Arsay Qabl Tariq Teddy Mall Road Main Aik Theater Main Drama Kar Rahay Thay Kay Tabiat Kharab Ho Gayi. Jigar Ki Takleef Ki Waja Say Doctoron Nay Un Ko ICU Main Shift Kia Magar Tabiat Ziada Kharab Honay Par PKLI Shift Ker Dia. Wazir-e-Aala Punjab Pervaiz Elahi Ki Taraf Say Ilaaj Ki Yaqeen Dahani Karayi Gayi. Lekin Wo Jigar Ki Beemari Say Larnay Main Nakam Ho Gaye. Tariq Teddy 19 November 2022 Ko Kai Muskurati Yadain Chhor Kar Chalay Gaye.

Un Ki 2 Biwiyan Aur 3 Bachay Hain, Aik Beta Junaid Tariq Aur 2 Betian Safa Aur Murwa Hain. Tariq Ke Intaqal Per Theatre Se Wabasta Shaksiyat Aur Mukhtalif Siyasi Rehnumaon Ne Gehray Dukh Aur Afsos Ka Izhar Kiya Hay.

شیئر

جواب لکھیں