Twitter Ki Ownership Elon Musk Nay Kia Li, Social Media Kay Maqbol Tareen Platform Ko Hila Kar Rakh Dia Hay. Kabhi Blue Tick Verification Ki Fees Ka Shor Tou Kahein Twitter Employees Ko Nikaalnay Ka Hungama. Mamla Barhtay Barhtay Twitter Ko Band Kernay Tak Agaya Aur Fake News Aur Rumours Ka Toufan Barpa Hogaya.

Twitter Per Research Kernay Wali Company Bot Sentinel Kay Mutabiq, Musk Kai Twitter Khareednay Kay Bad Say, Sirf 5 Days Main 10 Lakh Afraad Nay Apna Twitter Account De-Activate Kerdia Tha.

Social Media Kay Ishq Main Mubtala Afrad Nay Twitter Band Honay Ki Surat Main Best Twitter Alternative Platforms Ko Lift Kerwana Shuru Kerdia Hay. Purani Profiles Refresh Ki Jarahi Hain Aur New Passwords Resets Kiye Jarahay Hain. Platforms Main Users Apni Comfortablity Ko Samnay Rakhtay Hoay, Best Possible Solutions Ki Taraf Daikh Rahay Hain.

Aisay Main Mastodon Ka Naam Bhi Samnay Araha Hay. Yeh Social Media Platform March 2016 Main Release Hoa. Is Platform Say Self Hosted Social Networking Services Use Ki Jasakti Hain. Is Kay Microblogging Features Twitter Jaisay Hi Hain.

Mastodon Open Source Hay, Yani Ye Koi Central Authority Is Platform Ko Control Nahi Kerti. Is Platform Ko German Software Developer Eugen Rochko Nay Tayar Kia Tha.

Last Week, Mastodon Kay Active Users Ki Ta'dad 10 Lakh Say Ziada Ho Chuki Hay. October Kay Baad Say Is Kay 1124 Servers Ban Chukay Hain.

Yeh Twitter Say Kaisay Mukhtalif Hay?

Mastodon Kay Head Of Communication William Gunn Nay Bataya Kay Bajaey Is Kay Aik Website Ho, Jisay Aik Hi Company Chalati Ho, Mastodon Ka Koi Bhi User Is Software Ko Istamal Kertay Hoay Doosray Mastodon User Ko Message Send Kersakta Hay.

Is Kay Sath Sath Mastodon Main Koi Bhi User Apna Email Server Khud Chala Sakta Hay. Is Kai Through Woh Kisi Ko Bhi Email Kersakta Hay. Zaroori Nahi Kay Un Kay Pass Koi Bhi Email Address Ho.

Technically, Is Ko Federation Kehtay Hain. Yeh Twitter Aur Mastodon Main Bunyadi Farq Bhi Hay.

Twitter Aur Mastodon Ki Terminologies Bhi Alag Hain. Twitter Per Messages Ko Tweets Kehtay Hain. Mastodon Main Inko Toots Kehtay Hain. Likes Ko Favorites Kaha Jata Hay. Re-Tweets Ko  Boost Ka Naam Diya Gaya Hay.

Mastodon Kay Toots Main Characters Ki Koi Limit Nahi. Yeh Bhi Twitter Say Mukhtalif Hay. Twitter Per Sirf 280 Words Kay Message Ki Ijazat Hoti Hay. Mastodon Per Ap 500 Words Tak Ka Message (Toot) Bhej Saktay Hain.

Digital Marketing Expert Deepak Patel Nay Bataya Kay Mastodon Per Users Kay Pass Option Hota Hay Kay Woh Apna Toot Public Ya Private Kerdain. Woh Kisi Post Ko Report Kernay Kay Ilawa Doosray Users Ko Block Bhi Kersaktay Hain.

Mastodon Per, Jo Ap Follow Kerain Gae, Wohi Ap Ko Timeline Per Nazar Aei Ga. Mastodon Ko Kisi Algorithm Kay Tehat Nahi Chalaya Jata. Twitter Per Aisa Nahi Hota Aur Us Ka Algorithm Hay.

User Ko Jo Content Pasand Ata Hay Wohi Us Ki Timeline Per Follow Kernay Ki Surat Main Nazar Ata Hay.

Mastodon Ko Kaisay Join Kia Jasakta Hay?

Is Platform Ko Join Kernay Ka Method Alag Hay. Yeh Dosray Platforms Ki Tarah Site Link Par Sign Up Kerkay Nahi Khola Jata.

Mastodon.social Open Kernay Kay Bad User Ko Server Ka Intekhab Kerna Hoga. Her Server Independent Organization Ya Individual Chala Raha Hota Hay. Unki Moderation Policies Bhi Alag Hosakti Hain.

User Kay Pass Option Hota Hay Kai Woh Kisi Server Ko Join Kerlai Ya Apna Server Khud Bana Ker Logon Ko Join Kernay Kay Liye Invite Keray.

Twitter Management Kay Recent Decisions Aur Users Main Barhti Hoi Frustration Kay Bad, Yeh Baat Tou Yaqeeni Hay Kay Ab Social Media Main New Platforms Ko Jaga Bananay Ka Chance Milay Ga.

Dekhna Ye Hay Ke Mastodon Ya Aur Koi New Platform Users Aur Modern Day Trends Kay Mutabiq Khud Ko Behtar Kar Sakay Ga? Is Kay Liye Ziada Intezar Nahi Kerna Paray Ga.

شیئر

جواب لکھیں