Arsa Ho Gaya Hum Buhat Shor Suntay Thay Ke Pakistani Startups Ka Scene "On" Hay. Magar Ye Sab Ghalat Nikla Kyunke Pakistan To Startups Kay Ma’mlay Mein Dunya Mein Door Door Tak Nahi. Global Startup Ecosystem Index 2022 Kay Mutabiq Pakistan Dunya Mein 76th Number Par Hay.
Mulk Kay Shehron Mein Karachi Dunya Kay Top 300 Shehron Main Shamil Hay. Ranking Main Karachi Ka Number 291 Hay. Lahore 305th Number Par Hay Aur Capital Islamabad Ka Rank 438th Hay. Dukh Ki Baat Ye Ke Faisalabad, Rawalpindi, Multan Aur Jhelum 2021 Main Dunya Kay 1,000 Shehron Main Shamil Thay, Laikin 2022 Main Is List Say Bahar Ho Gaey Hain.
Pakistan Pichhlay Saal 75th Jabkay 2020 Main 82nd Number Par Tha.
Is Report Main Syasi Halaat Ko Pakistani Startups Kay Aaghaz Aur Investment Mein Aik Barri Rukawat Qarar Dia Gaya Hay.
China vs India
Startup Ecosystem Report 2022 China Kay Liye Achi Nahi Hay. China Top 10 List Main To Shamil Raha Magar Pichhlay Saal Ki Nisbat Iska Rank 3 Darjay Kam Ho Kar 7th Say 10th Par Puhanch Gya Hay.
China Main Startups Ka Aham Sector Transportation Hay. Dunya Kay Top 20 Cities Main China Kay 3 Shehar Atay Hain. Jabkay Top 100 Main Us Kay 7 Shahar Hain. Beijing 6th, Shanghai 7th Aur Shenzhen 18th Number Par Hay.
India Ki Baat Karain To Woh China Say 9 Spots Neechay 19th Rank Par Hay. Laikin Achhi Baat Ye Hay Kay Uski Ranking 20th Say 19th Hui Hay.
India Kay Liay Aik Aur Positive Baat Ye Hay Ke Wahan Zyada Aham Sector Edutech Hay.
Agar Yahan Kay Shehron Ki Baat Karain To Bangalore Ka Number 8 Hay. New Delhi 13th, Mumbai 17th Jabkay Pune 90th Aur Hyderabad 97th Number Kay Sath Top 100 Main Hain.
Kaun Sa Mulk Kahan?
Startup Ecosystem Report 2022 Main World Rankings Ki Baat Karain To Is Main America Last 3 Years Say Pahlay Number Par Hay. UK Ka 2nd Rank Hay, Isreal 3rd Aur Canada 4th Number Par Hay. Last 3 Years Say Top 4 Main Koi Changing Nahi Aai.
Top 10 Main Dekhain To Sweden 2 Saalon Main 10th Say 5th Number Par Aa Gya Hay. Germany Aik Spot Peechay Ja Kar 5th Say 6th Number Par Chala Gya Hay. Singapore 7th, Australia 8th, France 9th Aur China 10th Number Hay.
Top Cities Kaun Say?
Startups Kay Mamlay Main American Shehr Ab Bhi Sab Say Aagey Hain. San Francisco Ab Bhi Pehlay Number Par, Aur New York Ka 2nd Number Hay. London 3rd, Los Angeles 4th AurBoston 5th Hay. Yani Top 5 Main 4 American Shehr Hain. Phir China Ka Number Ataa Hay. 6th Par Us Ka Capital Beijing Hay Aur 7th Par Shanghai. Indian Shehar Bangalore Ka 8th Rank Hay Aur 9th Par Tel Aviv, Israel. Top 10 Ka Aakhri Shehr Paris Hay.
Kis Industry Main Startups Ziada?
Dunya Main Aaj Bhi Software Aur Data Startups Ka Raaj Hay. Yeh Pori Industry Ka Taqreeba 32% Hain. Doosra Bara Shoba Jahan Startups Open Ho Rahay Hain Woh Healthtech Hay, Jis Ka Share 12.7% Hay. Social & Leisure Sector 10.4% Kay Sath 3rd Par Hay. Is Kay Baad Number Hay Fintech Ka Jis Ka Hissa 10.2% Hay. E-commerce & Retails Kay Startups Bhi Taqreeban 10% Hi Hain.
Ye Top 5 Industries Startups Ka 75% Hain. Laikin Startup Doosray Shobon Main Bhi Janam Lay Rahay Hain. Maslan Transportation Kay Startups Ka Hissa 2.6%, Energy & Environment Ka 3.4% Aur Foodtech Ka 3.6% Ho Chuka Hay.
Aik Aur shoba Jis Main India Main Buhat Kaam Ho Raha Hay, Woh Edtech Hay. Is Ka Dunya Main Share 3.8% Ho Gya Hay. Marketing & Sales 5.1%, Jabkay Hardware & IT Ka Hissa 6.6% Hay.
Pakistan Government Ko Startup Industry Kay Farogh Kay Liye P@SHA, E-commerce Aur Freelancers Ki Associations Aur Universities Kay Sath Mil Kar Kaam Karna Hoga. Information Technology Kay Hawalay Say Prime Minister Ki Task Force Ko Fast Track Aur Comprehensive Policy Banana Hogi. Is Main China Ki Madad Bhi Li Ja Sakti Hay. Aur Ye Kaam Jitna Jaldi Mumkin Ho Karna Hoga.