Mufti Rafi Usmani Kay Inteqal Say Islami Dunya Aik Bauhat Baray Alim Aur Scholar Say Mehrom Hogai. Woh Pitchlay 60 Saal Say Deen Ki Khidmat Main Masroof Thay.

Deoband Kay Baray Log

Deoband Maktaba-e-Fikr Main Rafi Usmani Sahib Ko Mufti e Azam Qarar Diya Gaya Tha. Pakistan Ki 75 Saal Ki History Main Jama Deoband Say Taluq Rakhnay Walay 3 Mufti, Mufti e Azam Reh Chukay Hain. Mufti e Azam Ki Zimadariyun Main Eham Mamlat Per Fatwa Jari Kerna Hota Hay. Yeh Aik Tarhan Ki Religious Advice Hoti Hay.

Fatwa, Kisi Shaks Ya Government Kay Naam Jari Kiya Jasakta Hay. Ziada Tar Fatwa Shadi, Talaaq, Civil Issues, Inheritance Kay Mamlat Per Jari Hotay Hain. In Kai Ilawa, Religious Issues Per Bhi Mufti Sahab Say Rehnumai Li Jati Hay.

Mufti Shabbir Ahmad Usmani

Mufti Shabbir Ahmad Usmani 1947 Say 1949 Tak Deoband Maktab-e-Fikr Ke Mufti e Azam Thay. Woh Tafsir Aur Hadith Ke Mahir Thay. Unhonay Karachi Main Sab Say Pehlay Pakistan Ka Flag 14th August 1947 Ko Lehraya Tha. Unhonay Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah Ki Namaz e Janaza Bhi Parhai Thi.

“Tafsir e Usmani” Un Ki Mashoor Kitabon Main Say Aik Hay. Yeh Kitab Unhonay Mahmud Hasan Deobandi Ke Sath Mil Ker Likhi Thi.

Mufti Muhammad Shafi Usmani

Muhammad Shafi Usmani 1949 Say 1976 Tak Mufti e Azam Rahay. Woh Darul Uloom Deoband Kay Bhi Sab Say Baray Mufti Rahay. Unhonay Pakistan Movement Main Bhi Eham Kirdar Ada Kiya Aur Jamiat Ulema e Islam Kay Baray Leaders Main Un Ka Shumar Hota Tha.

Unhonay Karachi Main Darul Uloom Ki Bunyad Rakhi Aur Us Kay Pehlay Founding President Bhi Thay. Unhonay Quran Ko Samjhanay Kay Liye 100 Say Zaid Books Tehreer Kein. Woh Islamic Law Kay Mahir Bhi Samjhay Jatay Thay. Ma’ariful Quran Un Ki Sab Say Bari (Tafsir) Kitab Hay Jis Ki 8 Volumes Hain.

Mufti Rafi Usmani

Mufti Shafi Usmani Kay Baray Baitay, Mufti Rafi Usmani Nay Unkay Inteqal Kay Bad Un Ki Jaga Sanbhali, Woh 1976 Say 2022 Tak Mufti e Azam Rahay. 1986 Say 2022 Tak Woh Daraul Uloom Karachi Kay Sadar Rahay. Woh Wifaq Ul Madaris Kay Vice President Bhi Thay.

Ibtidai Taleem Darul Uloom Deoband Say Hasil Kernay Kay Baad, Woh Pakistan Agaei. Unhonay 1960 Main Dars e Nizami Mukamal Kiya. Punjab University Say Molvi Fazil Ka Imtehan Pass Kiya. Unko Hadees Aur Ifta Mai Maharat Hasil Thei. Unhonay Arabic Aur Urdu Main 27 Books Tehreer Kein. Unki Kitab Ilm Al Sigha, Dars-e-Nizami Kay Nisab Main India, Pakistan, Bangladesh Samait Bauhat Say Mulkon Main Parhai Jati Hay.

Mufti Taqi Usmani

Mufti Shafi Usmani Kay Chotay Baitay Aur Mufti Rafi Usmani Kay Chotay Bhai, Mufti Taqi Usmani Ka Naam Bhi Pakistan Aur Asia Kay Baray Mufti Sahiban Main Aata Hay. Woh Supreme Court Kay Shariat Appellate Bench Kay Justice Bhi Reh Chukay Hain. Mufti Taqi Usmani Ko Hadith, Fiqh, Tafsir, Sufism, Islamic Finance Aur Kalam Ka Mahir Samjha Jata Hay. Pakistan Main Islamic Banking Kay Pioneers Main Mufti Taqi Usmani Ka Naam Ata Hay.

Deoband Kay Usmani Khandan Ka Silsila e Nasb Tesray Khalifa Rashidain Say Milta Hay. India Main Darul Uloom Deoband Ki Bunyad Rakhnay Kay Ilawa, Nadwatul Musannifeen Aur All India Muslim Majlis-e-Mushawarat Ko Qaim Kernay Main Bhi Is Khandan Ki Bauhat Khidmaat Hain.

شیئر

جواب لکھیں