“Tum Bhi Bitcoin Khareed Lo, Dekh Lena 6 Mahinay Main Paisay Double Ho Jayen Ge.” Aqeel Ne Rashid Se Kaha. Apni Baat Aagay Barhatay Huye Wo Bola. “Main Ne Tou Apnay Plot Aur Dusri Cheezen Bech Kar Bitcoin Main Invest Kar Diye Hain. Pichle Saal November Main 10,000 Dollar Ki Price Per 20 Bitcoin Liye Thay. 10 Mahinay Main Qeemat 35,000 Dollar Tak Pohanch Gayi Hay. Aglay Saal Aik Lakh Dollar Se Opper Jaye Ga.”

Aqeel Ki Baaten Sun Ker Rashid Ki Hairat Se Pheli Aankhon Main Umeedon Ke Chirag Jhilmilanay Lagay. Ye September 2021 Ki Aik Shaam Thi. Private Office Main Admin Assistant Ka Kaam Karnay Walay Rashid Ko Cryptocurrency Waghera Ka Zyada Ilm Nahi Tha. Ghar Ja Kar Us Ne Bitcoin Ke Mutaliq Google Kiya Tou Us Ki Hairat Main Mazeed Izafa Ho Gaya. February 2020 Se September 2021 Tak Sirf Derh Saal Main Is Ki Qeemat 8 Guna Barh Chuki Thi. Beech Main Kai Utaar Charhao Aaye Lekin Bitcoin Ka Graph Upar Hi Ja Raha Tha.

Rashid Ko Aqeel Ki Baaton Per Aitibar Aanay Laga. Social Media Per Field Ke Mahireen Bhi Aisi Hi Pesh Goiyan Kar Rahay Thay Jesi Aqeel Ne Ki Thi. Raat Sonay Se Pehlay Wo Khayalon Ki Wadi Main Khwabon Ke Mehel Banata Raha. Jahan Wo Tamam Asaaishen Theen Jin Ki Hasrat Ke Alaao Se Us Ka Seena Dehkta Rehta Tha. Agar Aglay Aik Saal Main Qeemat 8 Guna Na Sahi 3 Guna Bhi Barh Gayi Tou Saray Dukh Dard Dur Ho Jayen Ge. Inhi Sochon Main Gum Wo Neend Ki Aagosh Main Pohnch Gaya.

Subah Uth Kar Us Ne Pehle Walid Aur Walda Ko Ghar Ka Zevar Bechnay Per Aamada Kiya Jo Rashid Se 3 Saal Chhoti Behn Ki Shadi Ke Liye Rakha Gaya Tha. Walid Ko Retirement Per Milnay Walay Fund Ke 20 Lakh Aur Zevar Ke 10 Lakh Mila Kar 30 Lakh Jama Ho Gaye. Kuch Doston Rishtay Daron Se Udhar Le Kar Us Ka Sarmaya 40 Lakh Tak Pohnch Gaya Jo Us Ne Bitcoin Main Invest Kar Diya. Us Waqt Tak Is Pur'asrar Sikkay Ki Qeemat 40 Hazar Tak Pohnch Gayi Thi. Aglay Aik 2 Mahino Tak Wo Hawaon Main Urta Raha. Bitcoin Ke Qeemat Roz Naye Record Qaaim Kar Rahi Thi.

November 2021 Main 64-65 Hazar Dollar Tak Janay Ke Baad Neechay ka Safar Shuru Hua. Aqeel, Deegar Doston Aur Social Media Ke Pundit Keh Rahay Thay Ke "Ghabrana Nahi Hay." Ye Tou Bitcoin Ki Parwaz Ka Tariqa Hay. Palatana, Phisalna, Phisal Kar Ubharna. Rashid Bi Apni Umeedon Ki Kashti Ko Aise Saharon Ke Zariye Doobnay Se Bachata Raha. Magar January 2022 Main Jab Bitcoin 35,000 Dollar Tak Aa Gaya Tou Us Ke Haath Paaun Phoolna Shuru Ho Gaye. Us Ke Baad Market Main Behtri Aayi. April 2022 Tak Qeemat Dobara 45 Hazar Tak Pohnch Gayi Tou Rashid Ki Jaan Main Jaan Aayi Aur Us Ke Khwabon Ki Kaliyan Phir Khilnay Lageen.

Per Us Ke Baad Har Din Tulu Hota Hua Suraj In Kalion Ko Phool Bananay Ke Bajaye Murjhata Raha. Rashid Rozana Screen Per Bitcoin Ko Munh Ke Bal Girta Dekhta Aur Us Ka Dhachka Apnay Dil Per Sehta. Har Subah Ye Umeed Hoti Ke Aaj Market Sanbhal Jaye Gi. Dobara Ooper Ka Trend Shuru Ho Ga. Lekin Roz Mayusi Hi Haath Aati. November 2022 Ke Wast Main Bitcoin 16,600 Dollar Per Aa Gaya. Jo 2 Saal Ki Kam Tareen Qeemat Hay. Rashid Ki Investment Aadhi Reh Chuki Hay. Aur Wo Ab Bhi Makhmasay Main Hay Ke Apna Paisa Nikal Le Ya Mazeed Intezar Karay.

Cryptocurrency Bitcoin 5 Year's Graph
Bitcoin Ka 5 Saal Ka Utaar Charhao

Ye Kahani Sirf Rashid Ki Nahi, Bulkay Dunya Bhar Main Un Jesay Lakhon Naujawanon Ki Hay. Jo Khwabon Ki Titliyon Ka Peecha Kartay Huye Na Mayusi Ke Jungle Main Pohnch Chukay Hain Aur Ab Unhen Bahar Nikalnay Ka Rasta Sujhai Nahi De Raha.

Tabahi Ka Shikar Sirf Bitcoin Nahi Bulkay Tamam Cryptocurrencies Hui Hain. Mahireen Pichaly Saal Se Aanay Wali Girawat Ki Wajah Aalmi Mandi Ko Qarar De Rahay Thay. Magar Pichlay Aik Haftay Main Jo Down Trend Aaya Hay Us Ki Waja Crypto Ke Aik Baray Exchange FTX Ka Diwaliya Hona Batai Ja Rahi Hay.

Bitcoin Ka Mustaqbil Kya Hay?

Bitcoin Se Roshan Mustaqbil Ke Khwab Sirf Afraad Ne Nahi Dekhay Thay, Bohat Se Idaron Aur Central America Ke Mulk El Salvador Ne Bhi Dekhay Thay. El Salvador Ke Sadar Nayib Bukele Ne Pichlay Saal Bitcoin Ko Mulk Ki Qanooni Currency Bana Liya Tha.

El Salvador Ne Aik Saal Main 107 Million Dollar Ke 2,381 Bitcoin Khariday Thay Jin Ki Maliyat Ab Taqreeban 40 Million Dollar Reh Gayi Hay. Jis Ki Wajah Se Un Ka Mulk Shadeed Economical Crisis Main Aa Gaya Hay. El Salvador Ke Sadar Ab Bhi Pur Umeed Hain. Nayib Bukele Ne 17 November o Tweet Kiya Ke Ab Un Ka Mulk Rozana Aik Bitcoin Khariday Ga.

Dusri Janib Dunya Ki Dusri Bari Economy China Samait 10 Mumalik Ne Cryptocurrency Per Pabandi Laga Rakhi Hay. In Main Turkey, Indonesia, Egypt Aur Bangladesh Shamil Hain. Aisay Main Bitcoin Ya Kisi Bhi Cryptocurrency Ka Mustaqbil Ab Bhi Ghair Yaqeeni Ka Shikar Hay. Koi Centralized System Aur Haqeeqi Wajood Na Rakhnay Walay In ‘Farzi’ Sikkon Ki Khayali Qeemat Aasman Tak Bhi Ja Sakti Hay Aur Patal Main Bhi Pohnch Sakti Hay. Yani Cryptocurrency Main Investment Aik Juwa Hay. Yehi Wajah Hay Ke Bohat Saray Islamic Scholras Is Ki Kahreed-o-Farokht Ko Na Jaaiz Qarar De Chukay Hain.

شیئر

جواب لکھیں