Main Office Main Baitha Hua Tha Kay Aik Call Ayi Kay Channel Kay Malik Kay Relative Ko Dr Mala Ali Say Waqt Dila Dain. Main Nay Aik Producer Ka Number Day Kar Jaan Chhurai, Kuch Dair Baad Air Reporter Aya Aur Bola Kay “Sir Mobarik Ho, Dr. Mala Ali Say Waqt Mil Gya. Mujhay Apnay Baitay Ko Dikhana Hay.”
Pichhlay Ramzan Main Pakistan Main Sab Say Ziada Maang Dr. Mala Ali Kurdistani Ki Thi. Hazaron Log Pagalon Ki Tarah Dr. Mala Ali Say Dam Karanay Kay Muntazir Thay. Aur Phir Kuch Din Baad August 2021 Mein Dr. Mala Ali Turkey Main Arrest Ho Gaye.
Dr. Mala Ali Say Bhi Bara Fraud
Laikin Dr. Mala Ali Say Buhat Bara Fraud Aur Fitna Tha, 2000s Main Pakistan Balkay Dunya Kay Kai Mumalik Main Aik Naam , Buhat Mashhor “Harun Yahya”. Jis Nay Apni Kitab “Atlas Of Creation” Ki Waja Say Buhat Shohrat Pai. Dunya Harun Yahya Ko Aik Baray Islamic Researcher Kay Taur Par Jan’nay Lagi. Magar Haqeeqat Is Say Mukhtalif Aur Buhat Bhayanak Hay.
Harun Yahya Ya Adnan Oktar?
Harun Yahya, Asal Naam Adnan Oktar, 1956 Main Ankara Main Paida Hua. Ibtadai Taleem Kay Baad Us Nay Interior Designing Main Graduation Ki. 1979 Main Woh Istanbul Aa Gaya.
Pakistan Main Religious Programs Karnay Walay Tv Anchor Dr. Aniq Ahmed Ko Diay Gaey Aik Interview Main Adnan Oktar Nay Bataya Tha Kay Us Nay Philosophy Kay 4 Years Porgram Main Admission To Lia, Laikin Mukammal Nahi Kar Saka. Us Nay Ye Bhi Bataya Tha Kay Us Nay Koi Deeni Taleem Hasil Nahi Ki.
Khair, Adnan Oktar Nay 1980 Main Apni Activities Ka Aghaz Kia. Us Nay 30 Kay Qareeb Dusray Logon Say Mil Kar Aik Group Science Research Foundation (SRF) Banaya Jo “Harun Yahya” Kay Naam Say Books Likhta Aur Publish Karta Tha.
Shohrat Ka Aghaz
Apni Kitab “Atlas Of Creation” Main Darwin Ki “Theory Of Evolution” Ko Reject Kia To Europe Aur America Main Bhi “Harun Yahya” Kay Charchay Honay Lagay. Is Kay Ilawa Us Nay Jews Aur Christianity Kay Khilaf Bhi Likha. Is Naam Say Us Nay Buhat Shohrat Pai. Us Ki Kitabein Pakistan Jaisay Mulk Mein Bhi Hathon Hath Farokht Hoti Theen.
Laikin Phir Harun Yahya Nay Adnan Oktar Ka Roop Dhara, Asal Roop. Ajeeb wa Ghareeb Daway Kiay, Arrest Bhi Hua, Magar Zamanat Par Riha Ho Gya.
Fasaad/Ayaashi Ka Adda
1990s Main Nay Sea Of Marmara Kay Kinaray Aik Buhat Baray Mahal Numa Ghar Main Apna Markaz Banaya. Jahan Say Us Nay Apna TV Channel A9 Launch Kia, Jo Bana Fasad Ka Adda.
Harun Yahya Say Naam Bananay Wala Adnan Oktar Ab Khul Kar Samnay Aa Chuka Tha. TV Programs Main Is Group Ki Larkion Ko Buhat Mukhtasar Libaas Main Paish Kia Jata. Wo In Larkio Ko Apni “Kitten” Qarar Daita.
Us Kay Naam Nihad Islamic Programs Main Naach Gana Sab Chalta, Balkay Baaz Auqaat To Khud Bhi Un Kay Sath Dance Karta. Aur Dukh Ki Baat Ye Ke Is Sari Bayhoodgi Ko Mazhab Kaa Naam Dia Jata.
Adnan Oktar Kay Is Khufiya Mahal Main Harun Yahya Kay Naam Say Likhnay Kaa Kam Alag Hota, Aur TV Channel Ka Kaam Alag. Mahal Kay Ander Personal Camera Say Kisi Bhi Qisam Ki Recording Par Pabandi Thi.
Arrest Aur Tareekhi Saza
11 July 2018 Ko Adnan Oktar Ko Jinsi Harasgi, Child Kidnapping, Mazhabi Jazbat Say Khelna, Armed Organization Chalan, Siasat Danon Aur Fauj Kay Liay Spying Kay Ilzam Main Arrest Kar Lia Gya.
January 2021 Main Usko 1,075 Baras Ki Qaid Ki Saza Sonai Gai, Us Nay Is Kay Khilaf Apeal Ki To 17 November 2022 Ko Usay, Aur 14 Sathion Ko, 8,658 Baras Qaid Suna Di Gai, Jo Tareekh Ki Sab Say Bari Qaid Ki Saza Hay.
Is Dauraan Us Ka Mahal Bhi 3 Million Dollars Mein Farokht Kar Dia Gaya.
Aik Cult Leader
Is Dunya Ko Shayad Isi Liay Azmaish Kehtay Hain. Kis Tara Aik Naik Maqsad Rakhnay Shakhs Waqt Kay Sath Sath Aik Cult Leader Mein Badla, Balka Aisa Cult, Jis Ki Mojooda Muslim Dunya Mein Misaal Hi Nahi Milti. Daulat, Ilm, Nasha Aur Khwahisat Mil Jaen To Kya Ho Sakta Hay? Adnan Oktar Is Ki Zinda Misaal Hain.