FIFA World Cup Behtareen Andaz Mein Shuroo Ho Chuka Hay. Har Roz 4,4 Matches Kay Sath Clear Hota Jaey Ga Ke Kaun Aagay Jaey Ga Aur Kaun Ghar? Laikin Kis Kay Chances Zyada Hain, Ye To Abhi Andaza Abhi Say Lagaya Ja Raha Hay. Aaen Baat Kartay Hain FIFA World Cup Favourites Ki.

1. Brazil

FIFA World Cup Favourites
(Photo: AP)

Brazil Is Waqt FIFA Ki World Rankings Mein No. 1 Hay. Aur Agar Hum Isay Tournament Ki Sab Say Well-Balanced Team Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Us Kay World Famous Players Neymar Aur Vinícius Júnior Is Waqt Best Form Mein Bhi Hain. Yani Brazil Kay Chances Zyada Balkay Buhat Zyada Hain. Agar Brazil Expectations Par Poora Utra To Apna Hi 5 World Cup Jeetnay Ka Record Aur Behtar Bana Day Ga. Laikin Yaad Rakhain, Brazil Last 20 Years Mein Koi World Cup Nahi Jeeta. Yani Is Squad Ko History Bhi Badalna Hogi.


2. France

FIFA World Cup Favourites
(Photo: AFP)

Defending Champion France Hay To Is Waqt Buri Tarah Phans Gaya Hay. Paul Pogba Aur N’golo Kante Kay Injured Honay Kay Baad Waisay Hi Pareshan Tha, Ab Qatar Puhanchtay Hi Karim Benzema Bhi Zakhmi Ho Kar FIFA World Cup Say Hi Bahar Ho Chukay Hain.

Waisay History Bhi France Kay Sath Nahi. 1962 Ki Greatest Brazilian Team Kay Baad FIFA World Cup History Mein Koi Team Apna Title Defend Nahi Kar Saki. To Kya France Is History Ko Repeat Kar Sakay Ga? Dekhtay Hain.


3. Argentina

FIFA World Cup Favourites
(Photo: AP)

35 Matches Say Unbeaten, Yani Red-Hot Form Mein Mojoud Argentina Bhi Favourites Mein Say Aik Hay. Lionel Messi Aik Baar Phir, Balkay Aakhri Martaba, FIFA World Cup Jeetnay Ki Koshish Karain Gay. 2014 Mein Unhain Golden Chance Mila Tha, Laikin Argentina Aur Messi Final Mein Germany Say Haar Gaey. Kya Is Baar Wo World Cup Kay Sath Ghar Jaen Gay? Ye Aanay Wala Waqt Bataey Ga, Form To Kamal Ki Hay, Players Bhi Zabardast Hain.


4. England

FIFA World Cup Favourites
(Photo: Getty Images)

England FIFA Rankings Mein No. 5 Par To Hay Laikin Us Kay Sath Kuchh Maslay Hain. Ben Chilwell Aur Reece James Injured Ho Kar Bahar Ho Chukay Hain. Form Bhi Nahi. Is Tournament Say Pehlay Six Matches Mein Bhi Jeet Nahi Sakay. Yani Haalat Patli Hay. Phir FIFA World Cup Mein Itna Acha Record Bhi Nahi Hay. Dekhtay Hain Kis Tarah Sab Ki Bolti Band Kartay Hain Aur 56 Saal Baad Pehla World Cup Jeet Kar Dikhatay Hain.


5. Spain

FIFA World Cup Favourites
(Photo: AP)

Spain Aik Bari Football Power Hay. Last Year European Champion Bhi Ban Jata  Agar Semi Final Mein Penalty Kicks Par Na Haarta. Khair, Ab Naya Jazba Aur Naya Khoon Hay. Spain Dunya Ki One Of The Best League To Rakhta Hay, Laikin Aaj Tak FIFA World Cup Sirf Aik Baar Jeet Saka Hay.

Spain 2010 Mein World Champion Ban’nay Kay Sath Sath 2 Consecutive European Championships Bhi Jeeta Tha. Lagta Tha Ap Spain Ka Era Hoga. Laikin Aisa Ho Nahi Saka. Kya Ab Qatar Kay Maidan Spain Par Mehrbaan Hon Gay? Dekhtay Hain.


6. Germany

FIFA World Cup Favourites
(Photo: Getty Images)

Wah! Kya Baat Hay Germany Ki! 'Chak De Phatte' Kar Day Ga, Ya Phir Last FIFA World Cup Ki Tarah Group Stage Hi Mein Bahar Ho Jaey Ga. Is Waqt Team Mein Wo Dam Nazar Nahi Aata Ke Hum Isay World Cup Kay Liay Favourite Samjhain, Aur Na Hi Ye Itni Kamzor Hay Ke Ignore Kardain. Dekhtay Hain Ke Germany 5th World Cup Jeet Kar Brazil Ka Record Barabar Kar Paata Hay Ya Nahi.


7. Belgium

FIFA World Cup Favourites

Isay Belgium Ki 'Golden Generation' Kehtay Hain. Ye Haqeeat Hay Ya Nahi? Is FIFA World Cup Mein Pata Chal Jaey Ga. Kevin De Bruyne Ki Zabardast Performance Apni Jaga Leikin Eden Hazard Aur Romelu Lukaku Ka Out Of Form Ya Zakhmi Hona, Aur 'Jawan Khoon' Ki Kami Belgium Ki Raah Mein Rukawat Ban Sakti Hay.


8. Netherlands

FIFA World Cup Favourites

Netherlands 2018 Kay FIFA World Cup Kay Liay Qualify Tak Nahi Kar Saka Thi, Laikin Is Martaba Action Mein Nazar Aaey Ga. 2010 Mein Runners-Up Aur 2014 Mein Third Place Par Aanay Wali Is Team Ko Kabhi Koi Ignore Nahi Kar Sakta. Netherlands Qualifying Round Mein Apnay 10 Mein Say Sirf Aik Match Haara Tha Aur 7 Jeetay Thay. Ab Ecuador, Senegal Aur Mezban Qatar Kay Group A Mein Us Kay Top Karnay Kay Chances To Hain. Aagay Dekhtay Hain Oranje Kya Gull Khilatay Hain.


9. Portugal

FIFA World Cup Favourites
(Photo: Getty Images)

Messi Ki Tarah Portugal Kay Cristiano Ronaldo Kay Paas Bhi FIFA World Cup Jeetnay Ka 'One Last Chance' Hay. Balkay Portugal Ko History Ka Pehla World Cup Jitaanay Ka Bhi. Ronaldo Kay Sath Team Mein Bernardo Silva, Rafael Leão Aur Bruno Fernandes Jaisay Behtareen Players Hain, Is Liay Chance To Portugal Ka Bhi Banta Hay. Bus History Un Kay Sath Nahi.


10. Denmark

FIFA World Cup Favourites
(Photo: AFP)

Euro 2020 Mein Semi Final Tak Puhanchnay Wala Denmark Bhi Kisi Say Kam Nahi. Star Power To Nahi Laikin Team Achi Hay. Bus History Ko Zara Badal Kar Dikhana Hoga. Denmark FIFA World Cup Ki Tareekh Mein Kabhi Round Of 16 Say Aagay Nahi Barh Saka. 2018 Mein Russia Mein Honay Walay World Cup Mein Bhi Wo Croatia Say Penalties Par Haara Tha. Is Baar Kya Hoga? Waqt Bataey Ga.

Baqi Teams Kay Kya Chances Hain? Us Kay Liay Ye Infographic Dekhain.

شیئر

جواب لکھیں