Cricket Kay T20 World Cup Ka Nasha Utar Chuka Hay, Especially Pakistan Kay Final Haarnay Kay Baad To Buhat Achi Tarah. Laikin Sports Lover Mayoos Na Hon, Un Kay Liay Aik Aur Mega Event Shuroo Honay Hi Wala Hay, FIFA World Cup 2022. Ye Hay Dunya Mein Kisi Bhi Khel Ka Sab Say Barra Event, Jo Is Martaba 20th November Say Qatar Mein Khela Jaey Ga. Is Martaba Jin Mulkon Ko FIFA World Cup Favourites Kaha Jaa Rahay Hain, Un Main Brazil Aur Argentina Sab Say Aagay Hain.

Aisa Pehli Baar Nahi Hua, Hamesha Hi Say Brazil Aur Argentina Ko Football World Ki Super Powers Samjha Jata Hay. Laikin Afsos, Aur Sath Sath Hairat Bhi, Hay Ke FIFA World Cup Favourites Honay Kay Bawujood 2002 Say Ab Tak Brazil Aur Argentina To Chhorain, Pooray South America Ki Koi Team World Cup Nahi Jeet Saki.

FIFA World Cup Won By South American Nations

YearWinnerScoreRunner-up
1930Uruguay4-2Argentina
1950Uruguay2-1Brazil
1958Brazil5-2Sweden
1962Brazil3-1Czechoslovakia
1970Brazil4-1Italy
1978Argentina3-1Nethalands
1986Argentina3-2West Germany
1994Brazil0-0
(3-2 p)
Italy
2002Brazil2-0Germany

Every 3rd World Cup South America Ka

Brazil To Record 5 Martaba Ka World Champion Hay, Argentina Nay Bhi 2 World Cup Jeetay Hain, Phir 2 World Cup Aik Aur South American Nation Uruguay Kay Bhi Hain. Yani Total 21 Mein Say 9 World Cup To South America Gaey Hain, Taqreeban Har 3rd World Cup.

Aakhri Martaba Koi South American Mulk World Cup 2002 Main Champion Bana Tha. Jab Japan Aur South Korea Main Honay Walay Event Main Brazil Nay Germany Ko Final Mein 2-0 Say Haraya Tha.

Laikin Us Kay Baad Aaj Tak Khamoshi Hi Khamoshi Hay. 2006, 2010, 2014 Aur 2018. 4 World Cup Tournaments Guzar Chukay Hain, World Cup Nahi Mil Raha.

Sab Say Qareeb Kaun Puhancha?

In Tournaments Mein Jo Trophy Kay Sab Say Qareeb Puhancha Wo Tha Argentina. Jo 2014 FIFA World Cup Kay Final Tak Aaya Tha, Laikin Germany Say Extra-Time May 1-0 Say Haar Gaya.

Ye World Cup Brazil Mein Hua Tha, Laikin Host Nation Semi-Final Mein Haar Gai. Wo Bhi 7-1 Say. Itna Barra Heartbreak To Pakistanion Ka T20 World Cup Final Mein Nahi Hua Hoga, Jitna Bara Ye Brazil Kay Liay Hoga. Wo Undefeated Rehtay Huay Semi-Final Puhancha Tha. Laikin Pehli Hi Shikast Aisi Khai Ke Phir Third Place Ka Match Bhi Nahi Jeet Saka Aur Netherlands Say 3-0 Say Haar Gaya.

Is Say Pehlay 2010 Mein Uruguay Buhat Achha Khela Tha, Laikin Wo Bhi 3rd Place Ka Match Haar Gaya Tha. Semi Final Mein Netherlands Say Harnay Kay Baad Wo Germany Kay Against Third Place Play-Off Mein 3-2 Say Haar Gaya Tha. 2-1 Ki Lead Lainay Kay Baad.

Rankings Best Hay, Result Bhi Hoga?

Ab Aisa Bhi Nahi Ke Un Ki Football Peechay Reh Gai Hay. Aaj Bhi FIFA Ki Rankings Mein Brazil No. 1 Hay Aur Argentina No. 3. Laikin Lagta Hay World Cup Naseeb Mein Nahi Hay. Phir Uruguay FIFA Rankings Mein 14th Number Par Hay, Yani Third Best South American Team. Yani Umeed To Ab Bhi Ki Ja Sakti Hay. Ab Qismat Sath Hogi Ya Nahi, Is Baray Mein Kuchh Nahi Kaha Ja Sakta.

شیئر

جواب لکھیں