India Main Aurat Kay Liye Sab Say Mushkil Waqt Maan Ki Kokh Kay 9 Maheenay Hotay Hain. Agar Woh Pregnancy Test Main Aa Gai To Dunya Main Anay Say Pehlay Hi Dunya Say Chali Jati Hay. Aur Agar Bach Gai To Phir Saari Umar Mardon Say Haq Mangtay Aur Haq Kay Liye Lartay Guzar Jati Hay. Inhi Bach Janay Wali Larkio Main Aik Hay Aastha Arora. Billionth Baby of India!

5:05 AM, 11th May 2000, Safdar Jang Hospital, New Delhi. Aastha Ki Zindagi Ka Sab Say Khush Naseeb Lamha. Woh Un Khush Qismat Larkion Main Shamil Ho Gai, Jo Pregnancy Kay Doran Apni Shanakhat Ki Waja Say Qatal Nahi Ki Gai. Us Ki Doosri Aur “Naam Nihad Khush Qismati” Kay Woh India Ki “Billionth Baby” Thi.

Billionth Baby of India Kaisay?

2000 Main Indian Hukumat Nay Faisla Kia Kay 11 May Ko 3 AM Say 6 AM Kay Darmian Paida Honay Walay Bachon Main Say Aik “Billionth Baby” Hoga. Aastha Arora Bani Wo Khush Qismat Bachi Bani. Phir Tv Cameras, Afsaraan Aur Siasatdaan Sab Ikathay Huay, Photos Banay Aur Aastha Kay Waldain Kay Sath Kai Waday Kiye Gaye. In Wadon Main Say Aik Wada Tha Jo Asatha Ko Yaad Rah Gia, Woh Tha “ Muft Taleem, Muft Sehat Ki Sahooliyat Aur Muft Railway Safar.”

Maan Baap Aur Bachpan Say Thora Sa Bahir Nikli Aur School Jana Shoro Kia To Pata Chala Kay Woh Koi Special Larki Hay. Har Salgirah Par Media Walay Atay, Interview Kartay To Class Fellows Bhi Khush Hoteen.

Woh Wada Hi Kia Jo Wafa Ho Gaya

Waqt Nay Qadd Nikala Aur Aastha Barri Honey Lagi. Tab Usay Pata Chala Kay “Billionth Baby” Ho Yaa Aam, India Main Larki To Larki Hi Hoti Hay. Us Say Kiye Gaye Saray Waday, Waday Hi Rahay. Aik Wada Jo India Say Bahir UNFPA Nay Kia Tha Woh Poora Hua Aur Us Ki Taleem Kay Liye 2 Lakh Rupay Milay Jo Parents Nay Bank Main Rakh Diye. Waqt Guzarta Gaya, Sood Milta Gaya Aur Aastha Ki Taleem Chalti Rahi. Jab Woh 12th Grade Main Puhanchi To Ghar Kay Halat Ki Waja Say Private School Say Sarkari School Jana Par Gaya.

Aastha Ka Doctor Ban’nay Ka Sapna Tha. Jis Ki Tabeer Nursing School Main Dakhlay Ki Shakal Main Samany Aai.Tab Usay Shiddat Say Ihsas Hua Kay “Billionth Baby of India” Bhi Sirf Aik Sapna Hi Tha.

Bharti Media Nay Jab Us Waqt Ki Wazeer-E-Sahat Sumitra Mahajan Ko Waday Yaad Dilaey To Unhaon Nay Kaha “Main Nay To Aisa Wada Kia Hi Naheen.” Aakhir Hain Naa Aik Siasatdan.

Billionth Baby of India Ab Kia Sochti Hay?

Bharti Media Ko Diye Gaye Interviews Main Aastha Kehti Hay “Billionth Baby” Kay Hawalay Say Sochna To Bohat Pehlay Hi Chor Dia Tha. Jo Deewar Jhoot Kay Saharay Khari Ho, Us Kay Sath Kiya Taik Lagana?

Kisi Sarkari Afsar Nay Un Ki Pedaish Par Kaha Tha Kay Ye Bachi ”Sonay Ka Chamach” Lay Kar Paida Hui Hay. “Billionth Baby of India” Kehti Hay Uski Zindagi Main Is Jumlay Samait Kuch Bhi Sonay Ka Nahi, Shayad Is Liye Kay… Yeh Aik Larki Hay.

Bachpan Ko Yaad Kartay Huay Aastha Batati Hay Kay Uskay Baba Kay Sath Sarkari Nokri Ka Wada Kia Gia. Baba Sarkari Daftaron Kay Chakar Lagatay Rahay, Magar Tootay Jootay Kay Siwa Kuch Naa Mil Saka.

Aastha Aur 50 Crore Doosri Bharti Aurtain

Aastha Ho Ya Koi Doosri Aurat, Uski Khush Qismati Kay Bharti Samaj Us Ko Insaan Samjhta Hay. India Main Aik Survey Kay Mutabiq 80% Afrad Chahtay Hain Kay Unkay Pass Kam-Az-Kam Aik Larka To Zaroor Paida Ho. Aur Isi “Aik Larkay” Ki Pedaish Ki Koshish Main Agar Bachi Aa Jaye To Abortion. Agarchay India Main Jins Ki Bunyad Par Abortion Karana Ghair Qanooni Hay. Magar, Larkay Ki Paidaish Ko India Main “Jang Ya Muhabbat” Samjha Jata Hay, Jis Main Sab Jaiz Hota Hay.

Bharat Kay Liye Sab Say Bara Khatra Kia?

India Aglay Saal Abadi Kay Lihaz Say China Ko Peechhay Chor Kar Dunya Ka Sab Say Bara Mulk Ban Jaye Ga. Aur Is Kay Daman Par Sab Say Bara Dagh Hoga “Missing Women Country” Ka.

Dunya Ka Woh Mulk Jahan Larkon Ki Nisbat Larkion Ki Ta’daad Kam Hay. India Kay Liay Sab Say Bara Khatra Yeh Hay Kay Is Ratio Main Koi Khas Kami Nahi Aa Rahi.

1960 Main India Main Male/Female Ratio 102.4 The. 1980 Main Yeh 104.2 Hua. 2001 Main Mazeed Izafay Say 107.5 Tak Puhancha. 2011 Main Ye 108.9 Ki Alarming Satah Par Tha. 2015 Main Ye Bharti Tareekh Ki Buland Tareen Satah 111.2 Par Ja Khara Ho Gaya.

Beti Bachao, Beti Padhao

Dair Ayed Durusat Ayed’, India Nay Barson Baad Halat Ki Nazakat Dekhtay Huay “Save The Girl Child” Ki Campaign Shuru Ki. Magar Sadion Ki Soch Barson Main Kahan Kam Honay Wali Thi? Femle/Male Ratio Main Kami To Ai Magar Aaj Bhi Ye 108% Ki Khatarnak Hadd Par Hay.

Aaj India Say Sab Say Bara Sawal Yehi Hay Kay Woh Kitnay Larkon Aur Kitni Larkion Kay Sath Dunya Ka Sab Say Ziada Abadi Wala Molk Banay Ga? Aur Betiyon Ko Maa Ki Kokh Main Hi Qatal Karnay Ka Jurm Kab Khatam Karay Ga?

Woh Din Aastha Arora Kay Liye Waqai “Billionth Baby” Day Bana Ga.

شیئر

جواب لکھیں