Russia Aur Ukraine War Nay Aik Naya Morr Lay Lia Hay. 9 Months Say Donon Mulk Larr Rahay Thay, Ab Is Ka Asar Teesray Mulk Per Bhi Parna Shuru Hogaya Hay. Ye Mulk Hay Poland, Jis Par Aik Missile Gira Aur Phir Lagnay Laga Kay World War 2 Ki Tarah World War 3 Bhi Yaheen Say Shuroo Ho Jaey Gi. Laikin Poland Missile Incident Par Reaction Waisa Nahi Aa Raha, Jaisa Kisi NATO Member Par "Attack" Honay Ki Soorat Main Aana Chahiye. Kyun?

Poland Main Hua Kya?

Tuesday Ki Afternoon Poland Kay Border Area Przewodow Main Aik Missile Girnay Say 2 Afraad Halak Hogaey. Jis Jagha Per Yeh Missile Gira Wahan Ki Population Sirf 900 Hay, Magar Wahan Rehtay 600 Afraad Hi Hain. Baqi Laug Migrate Kergaey Hain.

Laikin Ye Missile Hay Kis Ka? Is Par Sirf Andazay Hi Lagaey Ja Saktay Hain. Laikin Itna Zaroor Pata Hay Kay Ye Ukraine Say Aaya Tha, Jahan Is Waqt Russia-Ukraine War Chal Rahi Hay. Yani Ab Is Jang Say Khatra Aur Barh Gaya Hay. Kyunke Poland NATO Member Hay, Aur Us Par Agar Jan Boojh Kar Hamla Kia Gaya Hay To Is Ka Nateeja Buhat Khatarnaak Hoga.

Reactions Aur Claims

Poland Missile Incident Kay Baad Reaction To Har Taraf Say Aaya Hay, Laikin Us Say Pehlay Claims Nay Acha Khasa Hungama Kia. Polish President Andrzej Duda Nay Kaha Kay Yeh Missile Soviet-Era Kay Russian Made S-300 Missile Defence System Ka Hay.

Laikin, Russia Kay Spokesman Dmitry Peskov Kaha Ke Baghair Kisi Real Data Kay Ye Keh Daina Kay Ye Russian Attack Hay, Asal Mein Russo-Phobic Reaction Hay.

Yahi Nahi Balkay Russia Nay To Polish Ambassador Ko Bhi Summon Kar Lia. Aur Un Say Polish President Kay Statement Per Jawab Talabi Ki.

Halaat Us Waqt Sangeen Ho Gaey Jab Ukraine Kay President Volodymyr Zelensky Ka Bayan Aaya. Un Ka Kehna Tha Kay Unhain Top Military Commanders Nay Yeh Report Di Hay Kay Poland Per Girnay Wala Missile Ukrainian Nahi. Unhonay Offer Ki Kay Ukrainian Officials Ko Poland Missile Incident Ki Investigations Ka Hissa Banaya Jaey.

Unhonay Yeh Bhi Keh Dia Kay Ager Ukraine Kay Air Defence Ghalti Nikli, Tou Ukraine Maafi Mangnay Ko Bhi Tayyar Hoga. Is Say Pehlay Incident Ki Investigation Hona Aur Jo Data Poland Kay Pass Hay, Us Tak Access Zaroori Hay.

America Kya Kehta Hay?

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke US President Joe Biden Ka Reaction Bhi Daba Daba Say Hay. Kisi NATO Member Par Missile Giray Aur US President Ka Aisa Bayan Aaey? Ajeeb Sa Lagta Hay.

Khair, Russia Nay American President Kay Ghair Mamoli Statement Ko Saraha Hay, Aur Usay Aik Professional Reaction Kaha Hay.

Unintentional Fire

Poland Aur NATO Military Alliance Ki Taraf Say Bhi Kaha Gaya Kay Mumkin Hay Ke Ye Missile Unintentionally Fire Kia Gaya Ho, Aur Ukrainian Air Defence Ki Taraf Say Aya Ho.

Polish President Andrzej Duda Nay Yeh Kaha Hay Kay Ukraine Ki Taraf Say Us Waqt Air Defence Missiles Mukhtalif Directions Main Fire Kiye Jarahay Thay. Buhat Imkan Hai Kay In Main Say Aik Missile Poland Main Gira Ho.

Phir NATO Secretary General Jens Stoltenberg Nay Russia Per Direct Blame Denay Say Guraiz Kiya Aur Yeh Kaha Kay Poland Missile Incident Ukraine Ki Ghalti Ho Sakta Hay. Laikin Bunyadi Zimmedar Russia Hi Hay, Wo Ukraine Par Attack Na Karta To Aisa Na Hota.

Kuch Yahi Baat German Chancellor Olaf Scholz Nay Bhi Ki Hay Kay Ukraine Kay Khilaf Russia Ki Jang Hoti To Yeh Incident Na Hota.

History To Repeat Nahi Hogi?

1939 Mein Germany Nay Poland Par Hi Attack Kia Tha Jis Kay Baad Puri Dunya Jang Ki Lapait Main Aa Gai Thi. Yahan Tak Kay 1945 Main Hiroshima Aur Nagasaki Par Atom Bombs Phainknay Say Ye Jang Khatam Hui.

Is Missile Incident Nay Poland Main Khouf Ki Wohi Lehr Daura Di Hay. Aisa Ho Ya Na Ho, Laikin Poland Ko Ab Yeh Khadsha Zaroor Hoga Kay Wo Aik Baar Phir Kisi Museebat Main Giraftar Ho Sakta Hay. Pehlay Western Border Say Hua Tha, Ab Eastern Border Say.

شیئر

جواب لکھیں