WhatsApp Per New Feature “Communities” Nay Dhoom Macha Di Hay. Yeh Groups Walay Feature Say Thora Mukhtalif Hay. Is Feature Main Tamam Aik Jaisay Groups Ko Under One Tab Rakhnay Ka Option Hay. Aaj Kay Is Tez Raftar Doar Main Jahan Dunya Finger Tips Per Agaei Hai, Wahan Rabtay Kay Liye Mobiles Phones Per WhatsApp Ka Istemaal Barh Raha Hay.

WhatsApp Ki Taraf Sai Kuch Naya Hamesha Ata Rehta Hay. Yeh Features Modern Day Needs Ko Samnay Rakh Ker Introduce Kerwaei Jatay Hain. In Features Main Common Customers Samait Professionals Kay Liye Bhi Bauhat Kuch Amazing Hota Hay.

WhatsApp

Nay Communities Ka Naya Feature Introduce Kerwaya Hay. Is Kay Zariye Multiple Groups Ko Aik Single Community Main Use Kiya Jasakay Ga. Communities Main Un Groups Ko Aik Kernay Ka Option Hay.

New Communities Ka Option Android Phones Kay WhatsApp Main Opper Ki Taraf Aur iOS Main Bottom Ki Taraf Hai. In Per Click Kerkai New Community Shuru Ki Jasakti Hay Ya Pehlay Say Maujod Groups Ko Aik Community Main Move Kersaktay Hain.

Jab Koi Community Ka Option Bana Lain, Tou Ba-Asani, Us Main Add Kiye Gaey Groups Per Messages Bhi Kersaktay Hain. (Group) Admins Ki Taraf Sai Communities Main Updates Bhi Bheji Jasakti Hain.

WhatsApp Ki Taraf Sai Bataya Gaya Hay Kay Communities Kay Option Ka Maqsad Organisations Ko Mazeed Privacy Aur Security Kay Sath Rabtay Jari Rakhna Hay.

WhatsApp Communities Aur Groups Main Farq

WhatsApp Communities Bhi Groups Ki Tarhan Hoti Hain. In Main Kai Afrad Add Kiye Jasaktay Hain. WhatsApp Groups Main User Aik Conversation Main Hissa Lai Saktay Hain. WhatsApp Communities Main Aisay Groups Ko Aik (Ukja) Kia Jasakta Hay Jo Aik Hi Topic Per Hon.

WhatsApp Group Main Users (Members) Ko Single Conversation Join Kerwasakta Hain. Users Apnay Friends Aur Families Sai Connect Hosaktay Hain.

Communities Main Tamam Related Groups Ko Aik Jagha Ukja (One Place) Kiya Jasakta Hay.

شیئر

جواب لکھیں