Dunya Ki Population 8 Billion (8 Arab) Hogai Hai. Is Population Main One Third Hissa China Aur India Ka Hay. Laikin China Ki Tarah Ab India Ki Population Barhnay Ki Raftar Bhi Kam Ho Gai Hay.

United Nations Kay Mutabiq India Ki Population 1.38 Billion Hay. World Bank China Ki Population 1.4 Billion Batata Hay. To India,2023 Main Hi Dunya Main Sab Say Ziada Population Wala Mulk Bhi Ban Jaey Ga.

Indian Population Rate

India Kay Sarkari Figures Kehtay Hain Ke Mutabiq 2011 Say Population Rate 1.2% Raha Hay. Us Say Pehlay, 2001 Say 2011 Tak Yeh 1.7 % Tha.

Last Month Release Honay Wali Report Main Bataya Gaya Hay Kay Population Barhnay Ki Raftar Mazeed Kam Hosakti Hay. India Ka Total Fertility Rate (TFR), Children Per Woman, 2 Hogaya Hay. Yani Her Shadi Shuda Khatoon Kay 2 Bachay Hain. Yeh TFR 2019 Say 2021 Kay Doran Report Kiya Gaya.

Is Say Pehlay 1992-93 Main Yeh TFR 3.4 Tha. Government Report Main Kaha Gaya Hay Kai Contraceptives Ka Istemal Aur Larkiyon Main Taleem Ki Waja Say Population Ko Increase Honay Say Roknay Main Madad Mili Hay.

Population Kaisay Control Hui?

India Main Family Planning Kay Methods Ka Istemal 2019 Say 2021 Kay Darmiyan 66.7 % Raha. 2015 Aur 2016 Main Yeh 53.5% Tha.

United Nations Population Fund (UNFPA) Nay Kaha Hay Kay Population Main Control Kay Indicators Zahir Kertay Hain Kay India Ki National Population Policies Kay Durust Nataij Samnay Arahay Hain.

United Nations Population Division Kay Mutabiq Dunya Ki Population Main Izafa Hota Rahay Ga. Year 2050 Tak Average Age Bhi Barh Ker 77.2 Years Tak Pauhanch Jaey Gi.

United Nations Nay Mazeed Bataya Kay 2050 Tak Dunya Ki Population Ka Sab Say Ziada Hissa 8 Mumalik Say Samnay Aei Ga.

In Mumalik Main, Congo, Egypt, Ethopia, India, Nigeria, Pakistan, Philippines Aur Tanzania Shamil Hain.

شیئر

جواب لکھیں