Abadi Aur Masail Donon Kay Lihaz Say Pakistan Ka Sab Say Barra Shehr, Karachi!
Waisay To Isay Financial Capital Of Pakistan Bhi Kehtay Hain, Magar Is Ka Haal Bank Kay Us Cashier Jaisa Hay Jo Sara Din Paison Main Khelta Hay, Aur Shaam Ko Khali Hath Ghar Loat Jata Hay.
Karachi Kay Masaiiiiiiiiil?
Karachi Kay Masail Ka Naam Laina Shuru Karain To Naam Khatam Ho Jain Gay, Masail Nahi. Pani, Bijli, Transport, Roads, Streets, Parking, Taleem, Aman-o-Amaan, Policing, Parks, Waghaira Waghaira…
Shehr Ka Sab Say Barra Masla Hay Kisi Master Plan Ka Na Hona. Aur Agar Hay Bhi Kisi Mehfooz Tareen Maqaam Par Files Main Band Hona.
Aik Aur Barra Masla Ye Hay Ke Soobay Aur Wafaq Ki Hukumat Ki Taraf Say Karachi Ki Ownership Baaton Main Ziada Aur Amal Main Bohat Kum Hoti Hay. Is Ka Barra Suboot Karachi Aur Lahore Kay Infrastructure Kay Mawaznay Say Ba-Asani Samajh Aa Jata Hay.
Karachi Local Elections: Aakhir Hal Kia Hay?
In Sab Masail Ka Hal Hay Karachi Local Elections Aur Us Kay Zariye Muqami Hukumat Ka Qayam. Ye Ham Nahi Kahtay Mazi Kay Nazim Aur Mayors Ki Karkardagi Batati Hay. Wafaqi Aur Soobai Hukumat Kay Sath Sath Aik Mazboot Mayor Karachi Shehr Kay Masail Ko Kaheen Bahtar Tareeqay Say Hal Kar Sakta Hay.
Aik Aisa Shakhs Jo Shehr Kay Jagnay Par Jagay, Aur Shehr Kay Sonay Par Bhi Jagta Rahay. Aur Karachi Ko Aisay Log Muqami Hukumat Nay Hi Diye.
Syed Mustafa Kamal
Nazim Karachi (2005-2010)
Syed Mustafa Kamal Ka Daur Pakistan Ban'nay Kay Baad Say Karachi Ka Bahtareen Daur Raha. Haleef Aur Hareef Sab Unkay Kamon Ki Gawahi Daitay Hain.
Foreign Policy Magazine Nay 2008 Main Un Ko Dunya Ka Doosra Behtareen Mayor Qarar Dia. 2010 Main Dunya Kay Behtareen Mayor Kay Award Kay Finalist Rahay.
Aik News Conference Main Syed Mustafa Kamal Nay Bataya Kay Unkay Daur main 2159 Mega Projects Mukammal Kiye Gaye. Shehr Kay Liye 337 Big Machines Bhi Kharidi Gaeen. 35 Fly-Overs Aur Under Passes, 451 Taleemi Mansoobay, 194 Pani Aur Sewerage Kay Projects, 255 Bus Stops Aur 116 Pedestrian Bridges Mukammal Kiye.
Naimatullah Khan
Nazim Karachi (2001-2005)
Naimat Ullah Khan Ka Naam Bhi Karachi Ki Taraqqi Main Buhat Aham Hay. Mayor Kay Taur Par Unhon Nay Aik Arsay Kay Bad Karachi Main Infrastructure Kay Projects Shuru Karaye.
Naimat Ullah Khan Nay Syed Mustafa Kamal Kay Taraqiati Amal Ko Aik Mazboot Bunyad Faraham Ki The. Unhon Nay 43 Arab Rupay Kay Kai Mansoobay Mukammal Kiye. Pani Ka K-3 Project, Karachi Institute Of Heart Diseases Kay Sath 32 Taleemi Idaray, 500 Green Buses,18 Flyovers Aur 2 Signal Free Corridors Banwaey.
Abdus Sattar Afghani
Mayor Karachi (1979-1987)
Abdus Sattar Afghani Ka Naam Karachi Ki Tarraqi Kay Liye To Aham Nahi, Magar Shehr Kay Huqooq Kay Liye Larrnay Walon Main Ye Naam Hamesha Yaad Rakha Jaye Ga.
1987 Main Mayor Hotay Huay Councilors Ko Lay Kar Sindh Secretariat Kay Bahir Ehtajaj Karnay Puhanch Gaye. Jahan Unhain Giraftar Kar Lia Gaya. Woh Kahtay Thay Kay Property-Tax Aur Motor-Vehicle Tax Par Shehr Ka Haq Hay, Jo Is Shehr Ko Hi Dia Jaye.
Agay Ki Baat!
Karachi Ki Ahmiyat Say Koi Bhi Inkar Nahi Karta, Magar Is Ko Muqami Hukumat Denay Ki Raah Main Liye Aey Din Masail Kharay Kiye Jatay Hain.
Tamam Syasi Jamaton Ko Karachi Ki Taraqqi Aur Pakistan Ki Taraqqi Kay Liye Is Shehr Ko Naya Mayor Daina Chahiye, Takay Shehr Ki Taraqqi Ka Safar Taiz Raftar Hu.
Yahi Nahi, Lahore, Islamabad, Peshawar, Hyderabad Aur Faisalabad Main Bhe Mazboot Muqami Hukumat Qaim Karnay Kay Liye Iqdamat Kiye Jain Aur Soobay Aur Wafaq Main Baldiyat Ki Ziada Tar Powers Mayors Ko Shift Ki Jain.
Iska Sab Say Barra Faida Ye Hoga Kay Yeh Tamam Mayors Ki Seats Pakistan Ko Deliver Karnay Walay Leaders Dain Gi. Aisay Log Jo Batain Kam Aur Kaam Ziada Karain, Awam Kay Masail Ka Hal Dain. Yun Mulk Ko Achay Wazeer Malain Gay, Musheer Milain Gay, Balkay Mustaqbil Kay Wazeer-e-Azam Kay Liye Bhi Yeh Muqami Hukumat Ka Nizam Aik Nursery Ka Kam Karay Ga.