Karachi Main Street Crime Khatarnak Had Tak Barh Gaye, Police Ka Aitiraf.

Zyada Tar Wardaten Ghair Muqami Afrad Kar Rahe Hain, Police

Karachi Main Street Crime Ki Wardaten Barhnay Se Shehri Sakht Pareshan Hain. Shehr Ka Koi Kona, Koi Gali Mehfooz Nahi. Sham Dhalay Aur Raat Gaye Hi Nahi Bulkay Din Daharay Bhi Logon Ko Loot Liya Jaata Hay. Mazahmat Per Ye Daku Logon Ko Goli Marne Se Bhi Gurez Nahi Kartay. Social Media Per Rozana Sheher Ke Kisi Na Kisi Elaqay Se Aisi Wardat Ki Video Viral Hoti Hay. Dakooun Ke Khauf Ne Shehrion Ko Aik Tarah Se Zehni Mareez Bana Diya Hay Ko Log Apnay Shehr Main Hi Safar Kartay Huye Khauf Zada Rehtay Hain.

Aisay Main Guzishta Dinon Senate Ki Standing Committee Baraye Dakhla Ke Ijlas Main Sindh Police Hukkam Ne Bataya Kay Girfatar Kiya Janay Walay Ziyada Tar Afrad Ka Ta’aluq Mulk Ke Dusre Hisson Se Hay.

Mohsin Aziz Ki Sarbarahi Main Honay Walay Ijlas Main Qaima Committee Arkan Ne Karachi Main Barhti Hui Wardaton Per Tashweesh Ka Izhar Kiya Aur Sindh Police Ko Hidayat Ki Ke Mujrimon Ke Khilaf Crack Down Kiya Jaye.

Sindh Police Ne Satnding Committee Ke Saath Street Crime Ka Data Share Kiya. Data Ke Mutabiq 2011 Main Street Crime Ki 42,669 Wardaten Hui Theen Jab Ke 2021 Main 84,045 Wardaten Report Hueen.

Police Ne Dawa Kiya Ke 2022 Main Wardaten 2021 Ke Muqablay Main Kam Hui Hain. Zyada Tar Case Register Nahi Karaye Gaye.

Standing Committee Ki Rukn Senator Fauzia Arshad Ne Police Ke Aadad o Shumar Per Tahafuzat Ka Izhar Kartay Huye Kaha Ke Media Per Bohat Ziyada Wardaten Report Ho Rahi Hain. Unhon Ne Kaha Ke Haqeeqat Police Ke Dawon se Mukhtalif Hay.

Senator Samina Mumtaz Zehri Ne Bataya Ke Un Ke Aik Rishtedar Ka Phone Chori Hua Tou Police Ne FIR Tak Darj Nahi Ki.

Aik Aur Sawal Ke Jawab Main Poice Hukkam Ka Kehna Tha Ke Munashyat Bechnay Main Afghan Log Mulavis Hain. Police Ke Mutabiq Tamam Afghan Panahguzeen Registered Nahi Hain, Un Ki Registration Aur Unhen Wapas Bhejnay Ke Liye Iqdamat Kiye Ja Rahe Hain.

Is Se Pehle Aik Media Report Kay Mutabiq Karachi Main 9 Mahinay Main Street Crime Ki 56,500 Wardaten Report Hueen. Mazahmat Per 58 Afrad Ki Jaan Le Li Gayi Jabke 270 Afrad Zakhmi Huye. Is Arsay Main Shehrion Se 35 Hazar Motorcyclen Aur 19 Hazar Mobile Phone Cheenay Gaye.

Udhar Shehrion Ko Shikayat Hay Ke Barhtay Huye Street Crime Ke Bawajood Sarkon Per Qanoon Nafiz Karne Walay Idaron Ke Ehalkar Nazar Nahi Aatay. Logon Ka Kehna Hay Ke Agar Police Aur Rangers Ki Patroling Barhai Jaye Tou Jaraim Ki Wardaton Main Kami Layi Ja Sakti Hay.

شیئر

جواب لکھیں