Pakistan Main Difai Saz-o-Samaan Ki Numaish IDEAS 2022 Ka Aghaz Ho Chuka Hay. Wazir Kharija Bilawal Bhutto Zardari Ne Event Ka Iftitah Kiya.
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif Ne Twitter Paigham Main Kaha Ke IDEAS Aik Aisa Platform Ban Chuka Hay Jo Global Defence Market Main Pakistan Ki Peshraft Ko Numayan Karta Hay. Khushi Ki Baat Hay Ke Hamara Defence Sector Technology Ke Is Duar Ki Zaruriyat Puri Kar Raha Hay.
IDEAS 2020 Mian Na Sirf Pakistan Main Bannay Walay Hathyaron Aur Deegar Saman Ki Numaish Ki Jati Hay. Bulkay Dost Aur Bradar Mumalik Bhi Apni Masnooat Pesh Kartay Hay.
Is Saal Dunya Bhar Ke 64 Mumalik Se 500 Defense Manufacturers Aur 260 Delegates Shareek Hain. Junoobi Asia Ki Ye Sab Se Bari Numaish 4 Din Tak Jari Rehti Hay.
Har 2 Saal Baad Honay Wala International Defence Exhibition and Seminar (IDEAS) Event Is Baar 4 Saal Baad Ho Raha Hay. Kiun Ke 2020 Main Covid19 Ki Waba Ki Waja Se Numaish Nahi Ho Saki Thi.
IDEAS 2022 Main China Ke Sath Turkey Ki Representation Sab Se Zyada Hay. Turkey Ki Sarkari STM Aur ASFAT Samait 28 Companiyan Apni Masnooat Ki Numaish Kar Rahi Hain. Jin Main Military Hardware, Jadeed Drone, Mini UAV Systems Aur Cyber Security Solution Shamil Hain.
Turkish Company STM Ke Hukkam Ke Mutabbiq Unhon Ne Apna Naval Platform Aur Tactical Mini UAV System Numaish Ke Liye Pesh Kiya Hay.
STM Pehlay Hi Pakistan Ki Navy Ko Jadeed Bananay Ke Liye Taawun Kar Rahi Hay. Company Innovative Aur Modern Defence Technology Ki Numaish Kar Rahi Hay.
Turkey Ki STM500 Submarine
STM IDEAS 2022 Main If (I)-Class Frigate, Pakistan Navy Fleet Tanker (PNFT) Aur STM500 Submarine Pesh Kar Rahi Hay. Ye Submarine Turkey Ke Muqami Wasail Se Tayyar Ki Gayi Hay.
Company Ne Turkey Ka Pehla Mini Atatck Drone KARGU, Surveillance Drone Togan Aur Fixed-Wing Attack Drone ALPAGU Bhi Pesh Kiya Hay.
STM Ke Ohdedar Ka Kehna Tha Ke Hum Na Sirf Turkish Navy Aur Security Forces Ki Zaruriyat Puri Kar Rahae Hain Bulkay Apna Tajruba Aur Technology Dost Mumalik Ke Saath Bhi Share Kar Rahay Hain.
Turkey Ka Pakistan Ke Defence Sector Se Taawun
STM Aur ASFAT Pakistan Main Kai Aham Mansubon Main Shamil Hain. 2018 Main Pakistan Navy Ke Hawalay Kiya Gaya PNS MOAWIN Isi Silsilay Ki Aik Kari Tha.
Company Pakistan Ki Agosta-Class 90B submarine Ko Jadeed Bananay Main Bhi Madad De Rahi Hay. Is Ke Elawa Aaj Kal STM 4 Ada-Class Corvettes Ke Project Per Kaam Kar Rahi Hay.
July 2018 Main Pakistan Ne 4 MILGEM-class Ships Ke Liye ASFAT Se Muahida Kiya Tha. Jis Ke Tehat 2 Jahaz Turkey Main Banaya Janay Thay Aur 2 Pakistan Main. Is Ke Saath Saath Ik Ki Technology Bhi Transfer Ki Jaye Gi.
MILGEM Jahaz 99 meters (325 feet) Lambay Hain Jo 2400 Tons Ki Displacement Capacity Ke Saath 29 Nautical Mile Ki Raftar Se Safar Kar Saktay Hain.
MILGEM Anti-Submarine Combat Frigates Jo Radar Ki Nazron Se Ojhal Rehti Hain. Wo Bhi Pakistan Navy Ki Salahiaton Main Khasa Izafa Karen Gi.
October 2019 Mian Turk Sadar Recep Tayyip Erdoğan Ne Pakistan Navy Chief Adm. Zafar Mahmood Abbasi Ke Saath Istanbul Main MILGEM Ada Class Corvette Ki Tameer Ka Iftitah Kiya Tha.
Turkey Dunya Ke Un 10 Mumalik Main Shamil Hay Jo Apne Qaumi Wasail Se Jangi Jahaz Design Aur Tameer Kar Saktay Hain.