Qatar Main 22nd FIFA Worldcup Bus Shuru Honay Hi Wala Hai. Dunya Bhar Main Football Kay Chahnay Walay “Soccer Fever” Main Mubtala Ho Rahay Hain. Yun Tou Football Ka Har World Cup Kisi Na Kisi Waja Say Mash'hoor Hua Laikin FIFA World Cup 1986 Kai Hawalon Say Buhat Yaadgar Hai. Is World Cup Ka Zikar Atay Hi, Argentina Ki Wo Shandaar Performance Aur Captain Diego Maradona Ka Bay-Misaal Khel Event Yaad Aa Jata Hay.
Mexico City Kay Estadio Azteca Stadium Main Honay Walay Quarter-Final Main England Kay Against Maradona Nay Tan-e-Tanha Maidaan Per Raj Kiya. Un Ki Skills, Speed Aur Experience Kay Samnay England Ki Team Bay-Bas Nazar Aai Thi.
Maradona Kay 2 Goals
Maradona Nay Pehla World Cup 1982 Main Khela Tha. Us Event Main Un Ki Performance Expectations Kay Mutabiq Nahi Rahi.
Doosray World Cup Main Maradona Nay Captain Ban Ker Argentina Ko Lead Kiya. Yahan Wo Khul Ker Aik Behtareen Player Kay Roop Main Samnay Aey. Unhonay Event Main 5 Goals Kiye Aur 5 Goals Assist Kiye.
Quarter-Final Main Maradona Nay England Kay Against Aisa Game Paish Kiya Kay Daikhnay Walay Hairan Reh Gaey.
Maradona Nay Is Match Main 2 Goals Score Kiye. Pehla Goal Controversial Tha. Yeh Goal Maradona Nay Head Lagatay Huay Apnay Hath Say Kia Tha.
August 2005 Main Maradona Nay Aik TV Show Main Interview Kay Doran Tasleem Kia Ke Yeh Goal Illegitimate Tha. Unhonay Intentionally Apnay Hath Say Ball Ko Goal Main Phainka Tha.
Laikin, Is Goal Kay 4 Minutes Baad, Dunya Nay Aik Hairat Angaiz Lamha Dekha.
Maradona Ko Apnay Half Main, Center Line Say Thora Faslay Per Ball Mili. Tez Raftar Maradona Nay Sirf 11 Seconds Main, 11 Bar Ball Ko Touch Kertay Hoay, England Kay 5 Outfielders Ko Dribble Kertay Huay Goal Kardia.
Is Goal Ko FIFA Nay History Kay Greatest Goal Main Top Per Rakha Hay.
Uss Football Ka Kya Hua?
Is Match Main Istemal Honay Wali Ye Historical Football 33 Lakh Dollar Main Neelam (Auction) Hogi. Yeh Auction London Main Wednesday Ko Horaha Hay. Graham Budd Company Is Auction Ko Dekh Rahi Hay.
Yeh Football Is Waqt Us Match Kay Tunisian Referee Ali Bin Naseer Ki Milkiyat Hay. Unhonay Is Ball Per Linesmen Aur Match Kay Fourth Official Say Sign Kerwali Thi.
Ali Bin Naseer Nay Kaha Hay Kay Football Kay Auction Say Anay Wali Raqam Ka Kuch Hisa Woh Charity Kerdain Gay. Baqi Raqam Say Woh Apni Quality Of Life Ko Thora Behtar Banaein Gay.
Auction Main English Captain Bhi
Is Match Main England Ki Kaptani Karnay Walay Terry Butcher Kehtay Hain Kisi Shak o Shubay Kay Baghair Yeh Dunya Ki Sab Say Famous Football Hai.
Unhon Nay Kaha Kay Auction Kay Waqt Us Room Main Hona Yaqeenan Buhat Ajeeb Hoga. Kyunkay Us Match Main Maradona Ka Pehla Goal Football Matches Main Honay Wali Saab Say Barri Na-insafi (Injustice) Thi.
Football Main “Hand Of God”
Us Match Main, England Kay Against Maradona Kay Pehlay Goal Par Ali Bin Naseer Nay Bataya Kay Jab Yeh Goal Score Hoa Tou Unhon Nay FIFA Ki Instructions Kay Mutabiq, Match Kay Linesman Bogdan Dochev Say Poocha. Linesman Center Line Per Agaya Tha Jis Ka Matlab Tha Kay Yeh 100% Goal Hay.
Bogdan Dochev Nay Is Goal Kay Hawala Say Bataya Tha Kay Unko Laga Tha Kay Is Goal Main Kuch Garbarr Hui Magar FIFA Protocols Kay Mutabiq, Assistants Ko Referee Say Us Kay Decisions Per Discussion Ki Permission Nahi Hoti. Taham Is Match Kay Baad, Bogdan Dochev Ka Football Career Khatam Hogaya. Unhonay Apnay Interview Main Maradona Ko 'Chota Admi' Bhi Qaraar Diya Tha.
Wo Jersey Bhi Auction Hui Thi
Is Match Main, Maradona Nay Jo Jersey Pehni Thi, Woh May 2022 Main 93 Lakh Dollar Main Auction Hoi Thi. Yeh Kisi Bhi Sports Memorabilia Ki Sub Say Zyada Qeemat Bhi Hay.
Maradona Ki Death 2 Saal Pehlay Ho Chuki Hay. Un Ko Behtareen Footballers Ki List Main Top Per Rakha Jata Hay. Un Say Related Football Ki Cheezon Ki Maqbuliyat Zahir Kerti Hai Kay BilaShuba, Maradona Jaisa Koi Nahi Tha.