Ek Zamana Tha Jab Bankers Kay Mazay Thay, Log Dekhte The Wah Wah Karte. Banker Huna Bhi Muashray Mein Bari Achi Field Samjhi Jaati Thi Aur Har Koi Banker Ban'na Chahta Tha. Chahe Low Level Ki Job Hi Kyun Na Ho. KyunKay Future Tou Bright Dikhta Tha Na!

Phir Zamana Badla, Dunya Badli, To Banking Bhi Badal Gayi. Purana Waqt "Enjoy" Karnay Walay Ab Kehtay Hain Ab Banks Ka Wo Haal Nahi. Aur Haqeeqat Bhi Yahi Hay. Employees, Especially Ek Fresh Graduate, First Job Employee Ke Sath Jo Sulook Banks Mein Ho Raha Hai Wo Na-Qabil-e-Bardasht Ho Gaya Hai.

Bad Bad Banks!
89483991

Ziada Kaam, Kam Inaam

Pakistan Ke Labor Laws Kay Mutabiq Ek Salaried Employee Ka Working Hour Window Ziada Se Ziada 8 Ghante Ka Hona Chahiye. Agar Is Say Ziada Hoga Tou Wo Overtime Count Ho Ga Aur Salary Mein Alag Se Compensate Hoga. Par Yahan Banks Mein Tou Working Hours Ka Koi Hisab Kitab Hi Nahi. Aur Employees Ko 12 Ghante Ki Shift Par Majboor Kia Jaata Hai. Jiska Koi Overtime Bhi Salary Mein Add Nahi Hota.

In Say Behtar Tou Rider Aur Tea Boys Ke Haal Hein Jo Apne Time Se 1 Ghante Dair Ruk Jaein Tou Uska Overtime Count Ho Kar Salary Mein Compensate Zarur Huta Hai. Agar Ghalti Se Bhi Ek Employee Apne Waqt Pe Ja Ra Ho Tou Usko Aisay Dekha Jata Hai Jaisay Wo Buhat Bara Jurm Kar Raha Ho.

Ek Fresh Graduate, Chahe Usne Bachelors Kiya Hua Ho Ya Masters, Us Ki Minimum Salary Rs. 19,000 Se Lekar Rs. 25,000 Tak Hai, Jis Main Alag Se Koi Medical Ya Fuel Ki Facility Bhi Nahi Di Jaati. Aur Is Minimum Salary Mein 12 Ghanto Ka Kaam Karwaya Jaata Hai.

Bad Bad Banks!

No Target, No Salary

Ab Baat Aati Hai Targets Ki. Har Front-End Staff Jaisa Ke Personal Banker, Relationship Manager, In Sab Ko Monthly Targets Milte Hein, Current Accounts Ke, Savings Account Ke Aur Sab Se Ziada Jisko Tarjeeh Di Jaati Hai Wo Hai 'Bancassurance' Yaani Bank Ke Through Life Insurance.

Low To Upper Designation Har Level Ke Employee Ko Number Of Account Opening Aur Un Mein Deposits Ke Targets Diye Jaate Hein. Agar Aap Ye Given Targets Month-End Se Pehle Nahi Puray Karte Tou Kuch Banks Tou Apki Salary Hi Rok Dete Hein. Following Month Bhi Pura Nahi Hua Tou Uss Month Bhi 'No Salary'.

Yun Kitne Logon Ki Kai Kai Months Ki Salary Ko Roki Gayi Hai.  

Bad Bad Banks!

Pressure Cooker

Ek Employee Ki Career Building Aur Kam Karne Ki Salahiyat Barhanay Mein Working Environment Ka Mein Buhat Bara Haath Hota Hai. Laikin Banks Mein Good Working Environment To Kia, Usay Office Environment Mein Ghusnay Bhi Nahi Diya Jaata.

Ek Fresh Graduate Ko Jab Personal Banker Ya Koi Front End Sales Ki Job Milti Hai Tou Usay Shuru Se Hi Pressurize Kiya Jaata Hai Ke Targets Attain Karne Hain.

Job Description Mein Ye To Bataya Jaata Hai Ke Targets Milein Gay Aur Ussi Ke Hisab Se Evaluation Ki Jaegi, Laikin Ye Kahin Nai Likha Hota Ke Aapko Buri Terha Se Beyizzat Bhi Kiya Jaega. Aur Branch Ke Andar Aane Ki Ijazat Bhi Tab Milegi Jab Target Purey Ho Jaen Gay.

Fresh Graduates Jahan Organizational Experience Ka Soch Kar Bank Mein Naukri Karte Hein, Wo Bichare Account Opening Aur Insurance Sell Karne Ke Liye Maare Maare  Har Jaga Phirtay Rehte Hein.

Beech Mein Khabar Ye Bhi Ayi Thi Ke Isi Pressure Ki Waja Se Kisi Banker Ki Heart Attack Se Death Ho Gayi. Pata Ye Chala Ke Kitne Mahino Se Uski Salary Ruki Hui Thi. Aur Uske Upar Aisa Pressure Rozana Ka Kiya Jaata Tha.

Salary Comparison of Bank Staff

High Tou Buhat High, Low Tou Buhat Low!

Banks Mein Agar Low To High Level Salary Comparison Kiya Jaye Tou Ismein Bhi Ek Nai Kahaani Balke Puri Film Dekhne Ko Mil Jaegi. Branch Manager Jo Day-End Aur Month-End Ki Reporting Aur Over All Sirf Work Monitor Karta Hai Uski Salary Rs. 150,000+ Hai, Dusri Taraf Personal Banker Aur Other Sales Staff Jo Front Pey Reh Kar Hadd Se Ziada Kaam Karte Hein, Unki Salary Rs. 19,000 – Rs. 25,000 Hai. Ek Teller (Cashier) Ki Bhi Issey Ziada Salary Hoti Hai.

Personal Bankers, Relationship Managers Aur Tamam Front-End Sales Staff Ko Bank Ka Backbone Tou Kaha Jaata Hai, Laikin Unhain Incentives Waisay Nahi Diye Jaate.

Raftar Bharne Do

Kuch Aasra Mila

July 2022 Mein Minimum Salary Rs. 19,000 Se Rs. 25,000 Par Increase Hui. Iss Minimum Salary Increase Ke Baad Kuch Banks Starting Mein Rs. 30,000 Tou Offer Kar Rahe Hein Par Sath Sath Upper Level Ki Bhi Salary Mein Ek Barra Change Nazar Aya Hai. Par Kiya Ye Minimum Rs. 25,000 Iss Mahengai Mein Kaafi Hai? Pakistan Ke Inflation Rate Ka Haal Dekh Ke Tou Nai Lagta. 

شیئر

جواب لکھیں