6 October 2021, ISPR Ki Taraf Say Press Release Jari Hoi Kay Lieutenant General Nadeem Ahmed Anjum Ko Lt. General Faiz Hameed Ki Jaga DG ISI Laga Dia Gaya Hay.

Sab Kuch Theek Tha Magar Sabiq Wazeer-E-Azam Imran Khan Kay Office Say Naye Chief Ka Notification Jari Nahi Hua. 1 Roz, 2 Roz, 3 Roz... Notification Takheer Ka Shikar Hua To Social Media Par Afwahon Ka Bazar Garam Hota Gaya.

Phir 26 October 2021 Ko, 6 October Ki Press Release Kay 20 Roz Baad, Prime Minister House Say Notification Jari Hogaya. Sath Hi Media Ko Bataya Gaya Kay ISI Chief Kay Liye Defense Ministry Ki Taraf Say 3 Naam Bhejay Gaye. Wazeer-e-Azam Nay Tamam Afrad Kay Interview Kiye Aur Lt. General Nadeem Anjum Ko Naya DG ISI Laga Dia Hay. Notification Kay Mutabiq Naye Chief Nay 19 November 2021 Say Apna Charge Sanbhal Lia.

Mamla Khatam Ho Gaya, Laikin Baat Agay Barhnay Lagi. Aik Page Aik Page Na Raha. Wazeer-e-Azam Imran Khan Kay Khilaf Tahreek-e-Adam Aitemad Paish Hoi Aur Imran Khan, Sabiq Wazeer-E-Azam Hogaye.

Free Advice

Aab Aik Aur Taa'enati Honay Ko Hay, Aik Aur Summary Tayyar Honay Ko Hay. Defense Ministry Ki Taraf Say Naye Army Chief Kay Liye Aik Summary Mojooda Wazeer-e-Azam Shehbaz Sharif Ko Bheji Jaye Gi. Jis Main Senior Tareen Army Kay Lt. Generals Kay Naam Hon Gay.

Wazeer-e-Azam Taza Taza Apnay Barray Bhai Nawaz Sharif Say Bhi Mil Kar Aye Hain Aur “Khalistun Merit” Ki Naseehat Bhi Sath Laye Hain. Ho Sakta Hay Koi Party Leader Number Bananay Kay Chakkar Main Shehbaz Sharif Ko Kahay Kay Aap To Imran Khan Say Barray Leader Hain, Agar Imran Khan Interview Kar Sakta Hay To Aap Kyun Nahi?

Ye Bhi Ho Sakta Hay Kay Koi Leader Ye Mashwara Day Kay Barray Mian Sahib Nay “Khalistun Merit” Ki Baat Ki Thi To Mulaqat Kar Kay Hi Is Baat Ko Yaqeeni Bana Lain Kay Faisla Merit Par Kia Jaye.

Imran Khan Ban'nay Ki Koshish Bilkul Nahi

To Jitnay Mounh Utnay Mushwaray. Aur Sab Kay Sab Aap Ko Imran Khan Say Barra Leader Bananay Par Tulay Houy Bhi Hon To Jazbati Mat Ho Jaey Ga.

Hamara Mushwara Tu Saaf Hay, Imran Khan Kay Aik Page Par Sirf 2 Log Thay. Aap Kay Aik Page Par Tu Pehlay Hi Bohat Rush Hay. Koi Aisa Faisla Naa Kijie Ga Jis Say Page Itnay Rush Ka Bojh Na Utha Paye Aur… Aur... Aur...

Mairay Mounh Main Khaak…!

شیئر

جواب لکھیں