Mubarak Ho, Ya Shayad Na Ho... Magar Dunya Ki Abadi 8 Arab Ho Gai Hay.

Is Waqt Dunya Main Sab Say Ziada Log China Main Rahtay Hain, India Doosray Number Par Hay. Phir America Aur Indonesia Kay Baad Ataa Hay Hamara Number, Yani Dunya Main Panchwan Number.

Jab Dunya Ka Score 8 Arab Hua To Pakistan Ki Mumkina Abadi 231,038,637 Ho Gai, Jo Dunya Ka 2.83% Banta Hay.

Shayad Pakistanion Nay Bangladesh Ki Alehdagi Ka Bohat Dukh Lia, Aur Apni Abadi Barhanay Par Khoob Zor Daina Shoro Kardia. Data Kay Mutabiq Population Growth Rate Jo 1970 Main 2.69% Tha Woh 1980 Main Barah Kar 3.36% Ho Gaya. Aur 1983 Ko Apni Buland Tareen Satah 3.42% Par Pohanch Gaya.

Bachay 2 Hi Achay  

Zia Daur Main Abadi Ko Control Karnay Kay Liay Ye Nara Mut'arif Karaya Gaya “Bachay 2 Hi Achay.”

Awam Nay Is Naray Par Sochna Shuru Kia, Magar Kuch Log Aisay Bhi Thay Jo Puri Tawanai Say Sabit Karnay Par Tulay Huay Thay Kay Woh Jitnay Bachay Paida Karain Gay, Sab Kay Sab Achay Hi Hon Gay.

Is Campaign Main Chunkay Tadad Ka Zikar Tha, Is Liye Mazhabi Halqon Ki Taraf Say Tanqeed Ka Bhi Samna Karna Para Aur Kuch Logon Nay 2 Ko Target Kar Kay Is Say Ziada Bachay Paida Karnay Par Zaur Dia.

Aur Shayad 2 Say Ziada Honay Walay  Bachon Kay Dil Main Bhi Kabhi Kabhi Khayal Ataa Ho Kay  Achay Pahlay Walay 2 Hi Hain.

Khair, Is Naray Ka Bus Itna Hi Asar Hua Kay Population Growth Rate 1980 Main 3.15% Tak Aa Gaya. Yani Hukumat Ki Campaign Kay Khatir-Khwa Nataij Naa Milay, Jis Par Nara Hi Badal Dia Gaya.

“Kam Bachay, Khushhal Gharana”

Aik To Naray Say 2 Bachay Nikal Diye, Phir Kam Bachon Ko Khushhali Say Munsalik Karnay Ki Koshish Ki Gai. Pichli Campaign Kay Asraat Aur Naray Ki Tabdeeli Nay Mil Kar Kaam Kia Aur Population Growth Rate Main Mazeed Kami Hoi, Aur Yeh 2000 Main Kam Ho Kar 2.83% Hogaya. Jabkay 2010 Main Mazeed Kami Say 2.28% Tak Aa Gaya. 2020 Main Pakistan Ka Population Growth Rate 2% Tak Gir Gaya.

Magar Dunya Kay Population Change Rate Say Abhi Bhi Hum Bohat Zyada Thay, Dunya Main Yeh Rate  Taqreeban 1% Tha.

Tasveer Ka Dosra Rukh

Hukumat Kay Population Control Programmes Par Tanqeed Karnay Walon Ki Aik Baat Kisi Hadd Tak Theek Thi Kay Hukumat Nay Jitna Zaur Population Ko Control Karnay Par Lagaya, Utni Wasail Ko Barhanay Aur Human Resource Devolvement Kay Liye Koshishain Nahi Keen.

 Chalain Is Sawal Ka Jawab Talash Kartay Hain:

 Sirf Abadi Main 5th Number Par

Abadi Main To Hum 5th Number Par Hain, Baqi Indicators Main Kahan Hain? Is Liye Hukumat Say Chand Sawal Karnay To Bantay Hain.

Kia Ham Literacy Rate Main 5th Number Par Hain?

Nahi, United Nations Kay Data Kay Mutabiq 5 Ko 28 Say Multiply Karain, Aur Us Main 2 Add Karain, Yeh Hay Taleem Main Hamara Muqam! Dunya Main 142nd Number.

Sehat Main Hum 5th Number Par Hain?

Nahi. World Population Review Ki 2020 Ki Rankings Main Hum Dunya Main Sehat Ki Sahulaton Main 138th Number Par Thay.   

Kia Hum Muashi Maidan Main 5th Par Hain?

Nahi. GDP Main Hamara Number Dunya Main 40th Hay. Aur Agar Per Capita Aamdani Ki Baat Karain To Hum Aur Bhi Peechay Hain. Pehlay 100 Main Bhi Nhi, Balkay Hamara Number Hay 135th.

2 Bachon Kay Ilawa Aur Kia Kia Acha?

Population Control To Achi Baat Hay, Magar Awam Ka Mayar-e-Zindagi Bahtar Bananay Kay Iqdamat Buhat  Kam Hain. Financial Leakages, Corruption, Bureaucracy Ka Kamzor Stucture Honay Ki Waja Say Hamara Taleemi Mayaar, Sehat Ki Sahulatian, Physical Infarstructure Bohat Kam Aur Ghair Mayaari.  

In Sab Ko Behtar Banana Hoga. Ab Tu Globalization Ki Baat Hoti Hay Aap Kay Pass Jo Bhi Skill Hay Woh Alami Mayaar Ki Honi Chahiye. Arts Par Tawajjo Ko Kam Kar Kay Science & Technology, Information Technology, Engineering, Medicines Jaisay Shobon Main Kaam Karna Hoga.

Yahi Kal Hay, Jis Kay Liye Hukumat Aur Hum Sab Ko Aaj Kuch Na Kuch Karna Hoga.

شیئر

جواب لکھیں