Kisi Machar Ko Kabhi Itni Popularity Nahi Mili Jitni Dengue Phailanay Walay Machar Nay Hasil Ki Hay. Dengue Ka Khouf Apni Jaga Magar Yeh Sirf Aik Hi Machar Kay Katnay Say Phailta Hai, Aedes Aegypti Say.
Har Saal Dunya Bhar Main 40 Crore Log Dengue Say Mutasir Hotay Hain. Jin Main Say 40 Hazar Inteqal Ker Jatay Hain.
Dengue Fever South East Asia Main Common Hay. Is Kay Ilawa Western Pacific Islands, Latin America Aur Africa Main Bhi Is Kay Cases Samnay Atay Hain. Ab Is Kay Cases Europe Aur America Kay Southern Parts Main Bhi Report Ho Rahay Hain.
Dengue Virus Ki Qismain
Yeh Virus Aik Khas Female Machar Kay Katnay Say Phailta Hay.
Dengue Ki Mukhtalif Qismain Hoti Hain. Classic Dengue Fever Aur Mamoli Dengue Fever Khatarnak Nahi Hotay. Laikin Dengue Hemorrhagic Fever Kafi Khatarnak Hota Hay.
Dengue Hemorrhagic Fever Main Jism Main Blood Clots Ban Jatay Hain Aur Kuch Cases Main To Dimagh Ki Veins Phat Jati Hain.
Is Kay Ilawa, Inhain Dengue Virus 1, 2, 3, 4 Kay Naam Say Bhi Jana Jata Hay. Dengue Say Har Insan Zindagi Main Kam-az-Kam 4 Bar Mutasir Ho Sakta Hay.
Virus Kaisay Asr Kerta Hay
Dengue Machar Kay Katnay Per Her Sakhs Is Say Beemar Nahi Hota. Insan Ka Immune System Is ko Virus Say Mehfooz Ya Mutasir Kerta Hay.
Is Machar Kay Kaatnay Say Har 4 Main Say 1 Fard Main Hi Is Ki Alamat (Symptoms) Samnay Atay Hain.
Dengue Say Beemar Honay Walay 20 Main Say 1 Shakhs Hi Is Say Shadeed Mutasir Hota Hay.
Virus Ki Alamaat (Symptoms)
Dengue Kay Patients Main Is Ki Alamaat Machar Kay Katay Janay Kay 4 Say 6 Din Bad Samnay Aati Hain.
Ibtida Main Yeh Aam Bukhar (Fever) Samjha Jata Hay, Kuch Blood Tests Kerwanay Kay Bad Mareez Main Dengue Virus Ki Tasdeeq Hoti Hay.
Mareez Ko Tez Bukhar Kay Sath Drowsiness Yani Ghanoodgi Feel Hoti Hay.
In Patients Main Severe Headache (Shadeed Sar dard) Kay Sath Ankhon Kay Pitchlay Hissay Main Bhi Dard Hota Hay.
Is Say Mutasira Mareez Sar, Kamar Aur Tangon Main Sakht Dard Mehsoos Kerta Hay.
Aedes Aegypti Machar Kay Katnay Ki Waja Say Mareez Ko Kuch Dino Tak Matli (Nausea) Bhi Feel Hoti Rehta Hai.
Mareez Ki Back (Kamar) Per Red Nishan Parr Jatay Hain Jabkay Yeh Jism Kay Doosray Hisson Per Bhi Ho Saktay Hain.
Is Virus Kay Shikar Mareez Ki Heart Beat Aur Blood Pressure Bhi Tez Ho Sakta Hay Jis Say Mareez Bay-Chaini Ka Shikar Rehta Hay.
Mareez Ko Kia Kerna Chahiye?
Normally Dekha Gaya Hay Kay 1, 2, Din Kay Bukhar Kay Bad Mareez Doctor Kay Pas Chalay Jatay Hain. Yeh Doctor Normally Anti-Biotics Likh Daitay Hain, Jis Ki Waja Say Mareez Kay Bukhar Ki Shiddat Barh Jati Hai.
Mareez Ko Chahiye Kay, Bukhar Ki Surat Main CBC (Blood Test) Karwaey. Is Say Viral Infection, White Blood Cells Aur Platelets Ki Ta'daad Maloom Hojati Hay.
Ager Mareez Main Platelet Counts 30,000 Say Kam Hon, Tab Un Ko Hospital Main Admit Kiya Jata Hay.
Yeh Marz Kab Phailta Hay?
Yeh Marz Aam Toar Per Garm Mausam Main Phailta Hay, Is Ka Larva Meethay Pani Main Paida Hota Hay. Is Liay Barish Kay Mausam Main Dengue Ki Afzaish Ziada Hoti Hay.
Papitay Kay Pattay Ka Juice Faida Mand Nahi!
Doctors Kehtay Hain Kay Papaya Leaves Ka Juice Peenay Ka Dengue Kay Mareez Ko Koi Faida Nahi Hota.
Khoon Ki Beemarion Kay Mahir (Pathologist) Dr. Saqib Ansari Kehtay Hain Kay 2008 Main Pehli Baar Jab Yeh Virus Aya To Doctors Ko Bhi Is Kay Baray Main Ziada Ilm Nahi Tha. Laikin In 14 Years Main Papaya Leaves Ka Dengue Say Shifa Main Koi Faida Nahi Dekha Gaya Hai.
Unhonay Mazeed Bataya Kay 4th Aur 5th Day Fever Kam Hona Shuru Hota Hay. 5th Day Platelets Neechay Aana Shuru Hotay Hain. 7th Aur 8th Day, Platelets Barhnay Lagtay Hain. Papaya Leaves Ka Juice Ager 4th Aur 5th Day Say Use Kerna Shuru Bhi Kiya Tou Waisay Bhi Khudh Ba Khudh Platelets Behtar Hojatay Hain Aur Leaves Ko Is Ki Waja Qarar Dena Theek Nahi.
Phir Is Ka Ziada Istemal Nuqsan Deh Bhi Hosakta Hay.
Dengue Say Bachao Kaisay?
Bachon Kay Amraz Ki Doctor Sara Aslam (Pediatrician) Nay Bataya Kai Virus Ka Phelao Roknay Kay Liye Ghar Aur Surroundings Main Pani Jama Na Honay Dain.
Kitchen Aur Bathroom Main Pani Ager Bucket Main Rakha Ho Tou Us Ko Cover Kerdain.
Mosquito Repellents Ka Istamal Karain, Aur Full-Sleeves Kay Kapray Aur Pajamay Pehnain.
Dr. Sara Nay Bataya Kay Dengue Ka Fever Utarnay Kay Liye Paracetemol Hi Behtar Dawa Hay. Is Kai Ilawa, Brufen Say Koi Aur Dawa Nahi Leni Chahiye.