Ye Final Pakistan Vs England Nahi Balkay Pakistan Bamuqabla Qismat Tha. Aik Below-Par Total Ko Defend Kartay Huay Pakistani Bowlers Nay Buhat Jaan Maari Laikin Ben Stokes Ki Qismat Ko Hara Nahi Sakay. Jin Ki 49 Balls Par 52 Runs Ki Not-Out Innings Nay England Ko Aik Martaba Phir World Champion Bana Dia. Jee! Pakistan ’92 Ko Repeat Nahi Kar Saka Aur T20 World Cup 2022 Final England Jeet Gaya. Yani ODI Kay Baad T20 Ka Bhi World Champion Ban Gaya.
ICC T20 World Cup 2022 Final
England vs Pakistan
13 November 2022
Melbourne Cricket Ground, Melbourne, Australia
Result: England 5 Wickets Say Jeet Gaya
PAK | 137-8 | |
---|---|---|
Shan Masood | 38 (28) | |
Babar Azam | 32 (28) |
ENG Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Sam Curran | 4 | 0 | 12 | 3 |
Adil Rashid | 4 | 1 | 22 | 2 |
ENG | (T:138) | 138-5 |
---|---|---|
Ben Stokes | 52* (49) | |
Jos Buttler | 26* (17) |
PAK Bowling | O | M | R | W |
---|---|---|---|---|
Haris Rauf | 4 | 0 | 23 | 2 |
Shadab Khan | 4 | 0 | 20 | 1 |
Qismat England Kay Sath
Aaj Melbourne Mein Qismat Shuru Say England Kay Sath Thi. Buhat Important Toss Jeeta, Pakistan Ko Pehlay Batting Di Aur 137 Runs Par Rok Bhi Dia. Phir Jab Chase Kartay Huay Aisa Lag Raha Tha Ke Pakistani Fast Bowlers English Batting Line Ko Kha Jaen Gay. Yahan Buhat Say ‘Oohs’ And ‘Aahs’ Kay Sath Wickets Bachatay Bachatay England Aakhir Tak Puhancha. Jahan Shaheen Ka Injured Ho Jana England Ki Qismat Ka Urooj Sabit Hua.
Keh Saktay Hain Ke England Ki Batting-Line Kay Samnay 137 Runs Ko Defend Karna Impossible Tha, Laikin Agar Qismat Sath Ho To Kya Nahi Ho Sakta? Jo Aaj Pakistan Kay Sath Thi Hi Nahi .
Turning Point
Shaheen Afridi Ka Zakhmi Hona Match Ka Turning Point Tha. Us Waqt England Ko 5 Overs Mein 41 Runs Ki Zarurat Thi Aur Batting Karna Buhat Mushkil Lag Raha Tha. Laikin Yahan Par Shaheen 1 Ball Phaink Kar Maidan Say Bahar Aa Gaey. Baqi 5 Balls Iftikhar Ahmed Ko Di Gaeen, Jin Ki Last Two Balls Par Ben Stokes Nay Aik 4 Aur Aik 6 Laga Dia. Yun Match Palat Gaya.
Pakistan Ko Final Blows
Is Over Kay Baad England Nay Peechay Murr Kar Nahi Dekha. Mohammad Waseem Kay Phainkay Gaey 17th Over Mein Moeen Ali Kay 3 Fours Kay Baad Pakistan Kay Paas Wapsi Ka Koi Rasta Nahi Bacha. England Nay 19th Over Ki Last Ball Par Target Chase Kar Lia Aur Yoon 2nd Martaba World Champion Ban Gaya.
Pakistan Ki Batting, Disappointing
Toss Haarnay Kay Baad Pakistan Players Kay Haath Pair Phoolay Huay Nazar Aaey. Wicket Aur Conditions Batting Kay Liay Mushkil Zaroor Theen Laikin Poori Innings Mein Aik Moment Bhi Aisa Nahi Tha Jis Main Pakistan Batsmen Dominate Kartay Huay Nazar Aaey Hon. Khud Sochain Approx. 50 Dot Balls Kay Baad Aap Kaisay Jeet Saktay Hain? Wo Bhi England Kay Khilaf?
Pakistan Ki Batting Ka Sab Say Disappointing Phase Tha Last 5 Overs. Jahan Pakistan Nay Sirf 31 Runs Banaey, Wo Bhi 4 Wickets Day Kar.
Pakistan Ki Janib Say Shan Masood Nay 28 Balls Par 38 Runs Banaey. Babar 28 Balls Par 32 Bananay Kay Baad Out Huay.
England Ki Tabahi Bowling
Pakistan Bowlers Ki Jitni Bhi Tareef Karain, Haqeeqat Ye Hay Ke Aaj Kay Match-Winner English Bowlers Thay. Especially Sam Curran Aur Adil Rashid Nay Zabardast Bowling Ki. Curran Nay 4 Overs Mein Sirf 12 Runs Diay Aur 3 Wickets Leen. Wickets Bhi Kis Ki? Mohammad Rizwan, Shan Masood Aur Mohammad Nawaz Ki.
Phir Adil Rashid Nay Bhi Apna Jadu Dikhaya. Unhon Nay Pehlay Aik Rash Shot Khelnay Walay Mohammad Haris Ko Out Kia. Aur Phir Aik Googly Par Din Ki Sab Say Barri Wicket Li, Yani Babar Azam Ki.
In Donon Bowlers Ki Waja Say Match Pakistan Ki Grip Say Aisa Nikla Kay Aakhir Tak Wapis Nahi Aa Saka.
Sam Curran Ko Na Sirf Match Balke Tournament Kay Behtareen Player Ka Award Bhi Mila.
Pakistan Ki Chhoti Si Khushi
Chase Kartay Huay England Ka Start Shaky Tha. Shaheen Afridi Ki ‘Mandatory’ First Over Wicket Nay Is Martaba Alex Hales Ko Out Kia. Phir Jab Haris Rauf Nay Phil Salt Aur Khatarnaak Jos Buttler Ko Out Kia To Match Aik Dam Zinda Ho Gaya.
England Ki 3 Wickets Zaroor Gireen Laikin Us Nay Momentum Nahi Khoya. Ben Stokes Nay 4th Wicket Par Harry Brook Kay Sath 39 Aur Phir Moeen Ali Kay Sath 48 Runs Ka Izafa Kia.
Naseem Shah Nay Second Spell Mein Buhat Zabardast Bowling Ki. Last Over Mein To Sirf 2 Runs Diay. Laikin Crucial Stage Mein Shaheen Ka Zakhmi Hona Pakistan Kay Liay Final Blow Sabit Hua.
Ben Stokes Ka Redemption
England Nay 2010 Mein Apna Pehla Aur Last T20 World Cup Jeeta Tha. Wo 2016 Mein Bhi Final Tak Puhancha. Jahan Ben Stokes Ko Last Over Mein 19 Runs Defend Karnay Ko Milay. Laikin Carlos Brathwaite Kay Consecutive 4 Sixes Nay England Ka Khwab Taurr Dia.
Aaj Wohi Ben Stokes Aik Match Winning Innings Khel Kar England Ko World Champion Bana Gaey. Dekhain Ye Hoti Hay Qismat!