Islamabad High Court Ne Mutanzaza Tweet Per Shehri Ke Khilaf Darj FIR Kharij Kar Di. Adalat Ne Hukum Mein Kaha Ke Aik Tweet Na To Fauj Ke Andar Baghaawat Ko Hawa De Sakti Hai. Aur Na Awam Mein Khauf-o-Hraas Peda Kar Sakti Hai.

Islamabad High Court Ke Justice Babar Sattar Ne Shehri Kashif Farid Ke Khilaaf Muqadmay Ki Samaat Ki. Un Par Mutanaza Tweet Ke Zariye Mubayyana Tor Par Musallah Afwaj Ko Badnam Karnay Ka Ilzaam Tha.

Kashif Farid Ke Khilaaf Mobayyana Tor Par Army Cheif Aur Fauj Ke Khilaaf Aik Tweet Karne Par FIR Darj Ki Gayi Thi.

FIR Mein Kaha Gaya Tha Ke Mulzim Ne Pakistan Penal Code (PPC) Ki Dafa 500, 501 Aur 505 Ke Tehat Jaraim Kiye.

Justice Babar Sattar Ne Remarks Diye Ke ‘Ghair Maqbool’ Twitter Account Se Ki Gayi Tweet Fauj Ya Awam Mein Baghaawat Ko Hawa Nahi De Sakti.

Adalat Ka Kehna Tha Ke Ye Muaqqif Na Qabil-e-Feham Hai Ke Kisi Ghair Maroof Twitter Account Se Ki Gayi Aik Tweet Se Fauj Ke Afsaraan Mein Baghaawat Peda Hosakti Hai. Ya Is Ki Wajah Se Wo Apne Faraiz Se Ghaafil Ho Saktay Hain.

Unhon Ne Mazeed Kaha Ke Ye Bhi Isi Terha Na Qabil-e-Feham Hai Ke Kis Terhan Se Aik Tweet Awam Mein Khauf-o-Haraas Ya Be Cheni Ka Sabab Ban Sakti Hai. Ya Jis Se Mutasir Ho Kar Awam Riyasat Ya Logon Ke Khilaaf Koi Jurm Kar Satke Hain.

FIA Ne Ikhtiyar Se Tjawuz Kiya, Islamabad High Court

Justice Babar Sattar Ne Kaha Ke FIA Ke Paas Muqadmay Ka Notice Lainay Ka Ikhtiyar Nahi Tha.

Hukm Namay Ke Mutabiq Section 500 Hatak-e-Izzat Ke Muamlay Mein Kisi Fard Ke Naam Ki Isha’at Se Mutaliq Hai. Lekin Tweet Mein Kisi Fard Ka Naam Nahi Liya Gaya Tha.

Adalat Ne FIR Ko Bunyadi Huqooq Ki Khilaaf Warzi Qarar Dete Huye Ye Bhi Kaha Hai Ke FIA Ki Janib Se Ghair Qanooni Iqdaam Kya Gaya.

Wazeh Rahay Ke PTI Ke Senator Azam Swati Per Bhi Aik Mutnaza Tweet Per FIR Darj Ki Gayi Hay Aur Unhen Giraftar Kiya Gaya Tha. Azam Swati Aaj Kal Zamanat Per Hain. Unhon Ne Ilzam Lagaya Tha Ke Hirasat ke Dauran Un Per Tashadud Kiya Gaya.

شیئر

جواب لکھیں