America Mein Air Show Ke Dauran 2 Tayyaray Takra Kar Tabah Ho Gaye.

Riyasat Texas Ke Shehar Dallas Mein Dusri Aalmi Jang Ki Yaad Mein Air Show Munaqqid Kya Gaya. Show Ke Dauran Parwaaz Ka Muzahira Kartay Huye World War II Ke Zamane Ke Do Tayyaray Aapas Mein Takra Gaye. Aik Tayyarah Boeing B-17 Flying Fortress Aur Dusra Bail Bell P-63 Kingcobra Tha.


Social Media Par Viral Videos Mein Dekha Ja Sakta Hai Ke Dono Takkar Ke Baad Tayyaray Zameen Par Gir Gaye. Dono Tayyaron Main Aag Bharak Uthi. Dekhnay Walon Ki Cheekhen Nikal Gayeen.

American Hukkaam Ke Mutabiq Haadsay Ke Fori Baad Imdadi Karwaiyan Shuru Ki Gayeen. Tayyaron Par Sawaar Amlay Ke Mutaliq Wazeh Maloomat Nahi Di Gayeen. Taham 6 Afraad Ki Halakat Ka Khadsha Bataya Ja Raha Hai.

Haadsay Ka Shikaar Honay Walay Tayyaray Doosri Aalmi Jang Ke Dauran Istemaal Kiye Gaye Thay. Chaar Engine Walay B-17 Fighter Tayyaray Doosri Aalmi Jang Ke Dauran America Ki Aham Taaqat Thay Jabkay American Made Kingcobra Ziyada Tar Soviet Afwaj Ki Janib Se Istemaal Kya Gaya Tha.

شیئر

جواب لکھیں