Android Ki Bhi Puri Aik Alag Dunya Hay, Aur Is Mein Buhat Kuchh Aisa Hay Jo Khufiya Hay. In Secrets Tak Aap Ko Puhanchatay Hain Kuchh Codes, Jo Buhat Kaam Kay Features Daitay Hain. Aaen Aaj Aap Ko Android Secret Codes Kay Baaray Mein Batatay Hain. In Secret Codes Ko Waisay Unstructured Supplementary Service Data Kehtay Hain, Mukhtasar Kahain To USSD.

Bus Ye Khayal Rahay Ke Ye Codes Har Android Phone Par Kaam Nahi Kartay. Kuchh Codes To Aisay Hain Jo Kisi Khaas Company Kay Mobile Par Hi Chaltay Hain.

Caller ID Hide Karain

Ye Buhat, Buhat Important Code Hay. Kabhi Kabhi Aap Ko Aisi Jaga Call Karna Parti Hay, Jahan Aap Apna Number Show Nahi Karna Chahtay. Especially Khwateen Is Ma’mlay Mein Buhat Pareshan Rehti Hain. To Aap Kay Liay Aik Secret Code Hay #31#.

Call Kay Liay Number Dial Karnay Say Pehlay Dialer Par Ye Code Dalain. Agar Baad Mein Aap Apna Number Show Karna Chahain To *31# Likh Dain.

Device information

Aap Android Mein Device Information Dekhna Chahtay Hain To Ghoom Ghaam Kar Settings Mein Janay Aur Dhoondnay Ke Behtar Hay Dialler Mein Ye Code Daal Dain: *#06#. Is Say Aap Ka IMEI Number Samnay Aa Jaey Ga, Yani International Mobile Equipment Identity.

Phone, Battery, Network Status

Aap Apnay Phone Dialler Mein *#*#4636#*#* Likhain Gay, Aap Kay Samnay Phone Kay Sath Sath Us Ki Battery Aur Networks Kay Baray Mein Maloomat Aa Jaen Gi.

Service Mode

Samsung Mein Aik Best Code *#0*# Hay. Kyunkay Ye Aap Ko Phone Ka Hardware Diagnostic Menu Deta Hay. Jis Say Aap Sab Sensors Kay Sath Sath Speaker, Touchscreen, Camera Aur Vibration Bhi Check Kar Saktay Hain. Ye Feature Used Smartphone Khareednay Mein Buhat Kaam Aata Hay.

Android Secret Codes

Laikin Agar Aap Nokia Ka Android Phone Rakhtay Hain To *#*#372733#*#* Aisa Hi Zabardast Code Hay. Ye Aap Ko Phone Kay Service Mode (FQC Menu) Tak Access Deta Hay. Is Mode Mein Aap Phone Kay Kai Test Kar Saktay Hain.

Sony Kay Phones Mein Is Kaam Kay Liay *#*#7378423#*#* Aur Xiaomi Mein *#*#64663#*#* Ka Code Kaam Aata Hay.

Haan, Samsung Kay Phones Mein Battery Status Pata Karna Ho To *#0228# Ka Code Dalain.

Android Secret Codes Ki Aik Lambi List Hay, Laikin Buhat Say Khatar-Naak Bhi Hain, Maslan Factory Data Reset Aur Hard Reset Kay Codes Bhi Hain, Jo Sirf Kisi Emergency Situation Mein Sirf Expert Ko Hi Use Karnay Chahiyen. Kya Khayal Hay?

Codes Say Aagay

Smartphones Kay Ma’mlay Mein Dunya Kay Har Mulk Ki Standard Requirements Set Alag Hoti Hain. Electronic Devices Us Kay Mutabiq Hi Operate Karti Hein. Har Mulk Mein Smartphones Bhejne Se Pehle Manufacturers Ko In Requirements Ka Andaza Huta Hai Tou Ussi Hisab Mobile Ke Andar Region Set Hota Hai Jese Key Kuch Regions Mein Headphones Ke Volume Mien Ek Upper Limit Set Hoti Hai Aur Kahin Nahi, Kahin Theme Store Hoti Hai Tou Kahin Nahi.

Raftar Bharne Do

Xiaomi Aur Redmi Phones Ki Settings Ke Andar Region Change Bhi Ho Sakta Hai. Yun New Aur Locked Features Ko Access Kar Saktay Hein. Region Change Sirf MIUI (Smartphone Firmware) Ke Latest Versions Mein Hi Ho Sakta Hai, Aur Kuch Models Jese Xiaomi Mi A1, A2, A3 And Mi A2 Lite Mein Apply Nahi Hota.

Different Region Settings:

Pakistani Region:

Raftar Bharne Do

Xiaomi Aur Redmi Phones Pakistani Region Mein Volume Ki Upper Limit Set Hoti Hai. Jiski Waja Se Aap Ko Headphones Mien Ziada Awaz Nahi Aati, Aur Theme Store Bhi Available Nahi Hota.

UK Region:

Raftar Bharne Do

Xiaomi Phones Mein Ads Ka Barra Masla Hota Hai. Laikin Jab Aap UK Region Select Kartay Hein Tou Ads Bilkul Khatam Ho Jaate Hein. Still Ek Downfall Ye Hai Ke Yahan Theme Store Bhi Chala Jata Hai.

US Region:

US Region Select Karnay Say Gesture Control Aur Smooth Ho Jaega. Headphones Aur Speaker Mein Sounds Clear, Volume Aur Bass Barh Jaata Hai. Themes Ka Access Bhi Mil Jaega.

Raftar Bharne Do

Singapore Region:

Same As United States Par Aur Ziada Louder.

Raftar Bharne Do

India Region:

India Mein Koi Volume Restrictions Nahi Hai, Par Singapore Ke Volume Se Ziada Nahi. Themes Store Mein Bey Tahasha Fonts Available Ho Jaeinge. Aur Firmware Capability Aur Latest Updates Pehle Mil Jaeingi.

Mexico & China:

India Kay Ilawa In Regions Mein Aap Beta Tester Bhi Ban Sakte Hein Aur Faida Ye Hai Ke Apko Latest Firmware Updates Sab Se Pehle Milti Rahein Gi.

شیئر

جواب لکھیں