Jis Tarha Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah Ki Shakhsiyat Pakistan Ki Pehchan Hai. Isi Tarha Mazar-e-Quaid Karachi Ki Pehchan Ban Chuka Hai. September 1948 Mein Babay-e-Qaum Ka Intqaal Huva Tou Un Ke Burial Ke Liye Aisay Muqam Ka Selection Kiya Gaya Jahan Un Ke Shayan Shaan Mausoleum Banaya Jasakay.

Quaid-e-Azam Memorial Fund

20 September 1948 Ko Quaid-e-Azam Ke Baad Governor General Ban'nay Walay Khwaja Naazimuddin Ki Sarbarahi Main Quaid-e-Azam Memorial Fund Banaya Gaya Aur Aik Rupay, 5 Rupay Aur 100 Rupay Ke Coupon Jari Kiye Gaye. Awam Ye Coupon Khareed Kar Babay-e-Qaum Ke Mazaar Ki Taamer Main Hissa Mila Saktay Thay.

Raftar Bharne Do

Is Fund Main Kitney Rupay Jama Huvay Is Ki Tafseel Tou Nahi Millti Lekin Mazar-e-Quaid Ki Construction Kai Barson Tak Shuru Nah Ho Saki. Bas Qabar Par Aik Tent Laga Diya Gaya Tha. Awam Wahan Aakar Apnay Mehboob Quaid Ki Qabar Par Fatiha Khawani Kar Liya Kartay Thay. Is Dauran Quaid-e-Azam Ke Do Qareebi Saathi Wazir-e-Azam Liaquat Ali Khan Aur Sardar Abdul Rab Nishtar Ka Bhi Inteqal Ho Chuka Tha Aur Un Ki Tadfeen Quaid-e-Azam Ki Qabar Ki Paas Kar Di Gayi Hay.

Liaquat Ali Khan Ke Baad Se Mulk Main Political Chaos Tha. Kursi Ki Jung Zoroan Par Thi. Aisay Mein Hukmraanon Ke Paas Itna Waqt Kahan Tha Ke Woh Quaid-e-Azam Ki Aakhri Aaram Gah Ki Taamer Ke Liye Be Aaram Hotay.

Mausoleum Ke Design Ka Process Bohat Slow Chal Raha Tha. Allama Iqbal Ka Mazaar Design Karnay Walay Architect Zain Yar Jung, Public Works Department Ke Architect Mehdi Ali Mirza Aur Aik Turkish Architect Ne Apne Design Jama Karaye Magar Ye Sab Reject Ho Gaye.

Mazar Ke Design Ke Liye International Competition

1957 Ke Shuru Mein Government Of Pakistan Ne Mausoleum Ke Liye 61 Acre Land Allot Ki. Isi Saal Quaid-e-Azam Memorial Fund Ki Committee Ke Kehnay Par International Union Of Architects (IUA) Ne Mazaar Ke Design Ke Liye Aik International Competition Karaya Jis Mein 17 Mulkon Ke 57 Architects Ne Hissa Liya.

Feb 1958 Mein Jury Ne London Ki Aik Firm Reglan Squire And Partners Ke Design Ko Winner Qarar Diya. 25 Hazaar Rupay Ki Prize Money Bhi Un Ke De Di Gayi. Ye Design Khoubsurti Mein Apni Misaal Aap Tha Aur Ban'nay Ke Baad Art Of Construction Ka Shahkaar Qarar Diya Jata. Magar Newspapers Main Tasweer Publish Honay Ke Baad Awam Ne Usay Na Pasandeeda Qarar Diya. Logon Ka Aitraaz Tha Ke Yeh Design Islami Stlye Of Construction Aur Quaid-e-Azam Ki Personality Se Match Nahi Karta.

Mazar-e-Quaid
Reglan Squire Ka Proposed Design

Fatima Jinnah Ki Khwahish

Quaid-e-Azam Ki Behan Mohtarma Fatima Jinnah Ne Shayad Akhbaron Mein Publish Honay Walay Un Letters Ki Wajah Se Ya Zaati Tor Par Napasand Honay Ki Wajah Se Reglan Squire Ke Design Ko Reject Kar Diya. Fatima Jinnah Ne Hukoomat Ko Proposal Dia Ke Mazaar Ka Design Bombay Ke Architect Yahya Merchant Se Banwaya Jaye Jin Ka Kaam Quaid-e-Azam Ko Bhi Pasand Tha. Government Of Pakistan Ne Yahya Merchant Se Rabta Kya To Unhon Ne Kuch Hi Arsay Mein Maujooda Design Tayyar Kardiya Jisay Fatima Jinnah Ne Bhi Pasand Kya. Is Ke Baad Government Ne 12 Decemeber 1959 Ko Design Ke Approval Ka Elaan Kya.

Kehte Hain Ke Yahya Merchant Ne Yeh Design Uzbekistan Ke Shehar Bukhara Mein Waqay Ismael Samani Aur Dili Mein Ghayas Uddin Tughlaq Ke Mazar Se Inspire Ho Kar Banaya Tha.

Raftar Bharne Do
Bukhara Main Ismail Samani Ka Shrine
Raftar Bharne Do
New Delhi Main Ghayas Uddin Balban Ka Mazar

Mausoleum Ki Construction 12 Saal Baad Start Hui

31 July 1960 Ko Saddar Ayub Khan Ne Mausoleaum Ka Foundation Stone Rakha. Mazaar Ki Taamer 10 Saal Tak Slow Slow Hoti Rahi. April 1969 Mein Yahya Khan Ne Mazaar Ka Visit Kya Aur Construction Jaldi Complete Karnay Ki Hidayat Ki. Finally, 15 January 1971 Ko Babay-e-Qaum Ka Maqbara Mukammal Ho Gaya.

Raftar Bharne Do

29 January Ko China Ki Muslim Association Ne Mazaar Ke Liye Khubsurat Fanoos (Chandelier) Ka Tohfa Diya. 2016 Mein China Ki Government Ne Fanoos Tabdeel Karne Ki Offer Ki Jisay Pakistan Ne Manzoor Kya Aur Quaid-e-Azam Ke Mazaar Mein Naya Fanoos Lag Gaya. 1.2 TonKe Is Fanoos Mein 12 Kilogram Gold Istemaal Hua Hay.

Raftar Bharne Do
China Ki Muslim Association Ne Mazaar Ke Taraf Se Diya Gaya Chandelier
شیئر

جواب لکھیں