Saal 2022 Bhi Khatam Ho Raha Hay. Is Saal Bhi Mukhtalif Famous Aur Aham Personalities Hum Se Juda Hueen. In Main Politics, Showbiz, Journalism, Sports Samait Har Sector Se Talluq Rakhnay Wali Shakhsiyat Shamil Hain.

Rehman Mailk

Raftar Bharne Do

Pakistan People’s Party Ke Senior Leader Aur Ex Interior Minister Senetor Rehman Malik Ka Inteqal 23 February 2022 Ko Hua. 70 Saal Ke Rehman Malik Corona Virus Se Mutasir Huvay Thay.

Rehman Malik Party Ke Un Logon Main Se Thay Jo Benzair Bhutto Aur Asif Zardari Ke Qareebi Sathiyon Main Shumar Hotay Thay.

Rehman Malik Siyasat Main Aanay Se Pehlay Interior Department Main Kaam Kartay Thay. PPP Ke Dusray Daur Yani 1993 Se 1996 Tak Wo FIA Ke Additional Director General Rahay.

Rehman Malik Ke Daur Main FIA Ne Mian Muhammad Shairf Ko Giraftar Kiya Tha.  Shehbaz Sharif Ko Bhi Isi Dauran Giraftar Kiya Gaya Tha.

Musharaf Daur Main Rehman Malik Ne Benazir Aur Nawaz Sharif Ko Aik Dusray Se Cooperation Per Razi Kiya. Benazir Ko Un Per Itna Aitmad Tha Ke Charter Of Democracy Per Bhi Rehman Mail Ke London Walay Ghar Main Sign Huvay Thay. Musharraf Se NRO Main Bhi In Ka Aham Role Samjha Jata Hay.

Benazir Pakistan Wapas Aayeen Tou Rehman Mailk Un Ke Chief Security Officer Thay. 27 December 2007 Ko Benazir Ko Rawalpindi Main Assassinate Kiya Gaya Tab Bhi Rehman Malik Un Ke Saath Thay. Is Incident Ke Baad Un Per Sawalat Bhi Utahye Gaye. 2008 Main PPP Ki Hukumat Aanay Ke Baad Un Ko Interior Minister Banaya Gaya Tha.

Bilquis Edhi

Raftar Bharne Do

Famous Social Worker Abdus Sattar Edhi Ki Wife Biquis Edhi 15 April Ko 74 Years Ki Age Main Dunya Se Rukhsat Hueen. Wo Apnay Shauhar Ke Saath 60 Saal Se Humanitarian Works Kar Rahi Theen. Wo Bilquis Edhi Foundation Ki Head Aur Edhi Foundation Ki Co-Chair Theen.

Bilquis Edhi Ke Philanthropist Works Per 1986 Main The Ramon Magsaysay Award Aur 2015 Main The Mother Teresa Memorial International Award For Social Justice Diya Gaya. Un Ko Pakistan Ka Second Highest Civilian Honour Hilal-I-Imtiaz Bhi Mila Tha. Bilquis Edhi Ko Un Ke Chahnay Walay Madar-e-Millat Ke Naam Se Bhi Pukartay Thay.

Aamir Liaquat Hussain

Raftar Bharne Do

9 June 2022 Ko Pakistan Main Lakhon Logon Ko Us Waqt Gehra Shock Laga Jab Unhen Aamir Liaqaut Hussain Ki Maut Ki Khabar Mili. Famous Tv Anchor Aur Member National Assembly Aamir Liaqaut Hussain Karachi Main Apnay Ghar Main Behosh Paye Gaye, Unko Hospital Le Jaya Gaya Magar Wahan Un Ka Inteqal Ho Gaya. Kaha Jata Hay Ke Un Ki Maut Room Main Generator Ka Dhuwan Bharnay Se Hui.

50 Saal Ke Aamir Liaqaut Hussain Ne 2001 Main Geo Tv Join Kiya Aur Un Ka Program Aalim On Line Bohat Famous Hua Tha. Pakistan Main Ramzan Transmission Ka Founder Bhi Unhi Ko Qarar Diya Jata Hay. 2002 Main Wo MQM Ki Taraf Se MNA Banay Thay. 2016 Main Wo PTI Main Shamil Ho Gaye Thay.

Inteqal Se Pehlay Aamir Liaqaut Private Life Main Kuch Problems Ka Shikar Thay. Unhon Ne Pehli Shadi Bushra Iqbal Se Ki Thi Aur Donon Ki Aik Beti Aur Aik Beta Hay. 2018 Main Aamir Liaquat Ne Tuba Anwar Se Dusri Shadi Ki Aur Bushra Iqbal Ko Talaq De Di. Magar Un Ki Dusri Shadi 4 Saal Se Bhi Kam Chali.

February 2022 Main Aamir Liaqaut Ne Bahawalpur Ki 18 Saal Ki Daniya Shah Se Shadi Ki. May Main Daniya Shah Ne Un Se Divorce Ke Liye Case File Kiya.

Is Dauran Aamir Liaquat Ki Na Zeba Vidoes Bhi Samnay Aayeen Jis Ka Ilzam Daniya Shah Per Laga. Aamir Liaquat Ne Apni Aakhri Video Main Mulk Chhornay Ka Ailan Kiya Tha Lekin Us Se Pehlay Wo Dunya Hi Chhor Gaye.

Masood Khwaja

Raftar Bharne Do

Tv Aur Stage Ke Famous Comedian Masood Khwaja 20 June 2022 Ko Inteqal Kar Gaye. Wo Kidney Disease Main Mubtala Thay Aur Rawalpindi Ki Holy Family Hospital Main Un Ka Elaj Chal Raha Tha.

Tanveer Jamal

Raftar Bharne Do

Veteran Tv Actor Aur Producer Tanveer Jamal 13 July Ko Apnay Fans Ko Rota Hua Chhor Gaye. Un Ka Inteqal Cancer Ki Wajah Se Hua, Japan Main Un Ki Treatment Ho Rahi Thi Lekin Wo Ye Battle Jeet Na Sakay. 35 Saal Ke Career Main Unhon Ne Jangloos, Godfather, Tasweer Aur Teri Raza Samait Kai Dramon Main Key Role Kiye Thay.

62 Years Ke Tanveer Jamal Ne Apnay Career Ka Start Japan Main Fashion Model Ke Tor Per Kiya Tha. Unhon Ne Shadi Bhi Japani Khatoon Se Ki, Jin Se Un Ke 3 Bachay Hain. Unki Family Japan Hi Main Muqeem Hay.

Nayyara Noor

Raftar Bharne Do

Bulbul-e-Pakistan Ke Naam Se Mashhoor Singer Nayyara Noor Ka Inteqal 21 August 2022 Ko Hua. Unhon Ne Saikron Songs Main Apni Dilkash Awaz Ka Jadu Jagaya.

Hunaid Lakhani

Raftar Bharne Do

8 September 2022 Ko Iqra University Ke Founder Chancellor Aur Sindh Bait ul Maal Ke Ex-Chairman Hunaid Lakhani Ka Dengue Fever Se Inteqal Ho Gaya. 49 Years Age Ke Huniad Lakhani PTI Ke Leader Thay. Wo Sindh Main Flood Ke Baad Relief Works Ke Liye Interior Sindh Gaye Thay Jahan Unhen Dengue Fever Ho Gaya Tha.

Arshad Shairf

Raftar Bharne Do

24 October Ko Famous Anchor Aur Journalist Arshad Sharif Ko Kenya Main Police Ne Qatal Kar Diya. Arshad Sahirf Life Threat Ki Wajah Se Mulk Chhor Kar Chalay Gaye Thay. Wo Pehlay Dubai Gaye Magar Unhen UAE Chhornay Per Bhi Majboor Kiya Gaya. Investigation Ke Liye Kenya Janay Wali Committee Ke Mutabiq Arshad Shairf Ko Target Kar Ke Qatal Kiya Gaya. Un Ke Murder Ka Case Supreme Court Main Chal Raha Hay.

Mufti Rafi Usmani

Raftar Bharne Do
2022 Kis Kis Ko Le Gaya? 1

18 November 2022 Ko Famous Religious Scholar Mufti Rafi Usmani Ne 86 Years Ki Age Main Is Dunya Se Kooch Kiya. Wo Mufti Shafi Usmani Ke Betay Aur Mufti Taqi Usmani Ke Bhai Thay.  1986 Say 2022 Tak Woh Daraul Uloom Karachi Kay Sadar Rahay. Woh Wifaq ul Madaris Kay Vice President Bhi Thay.

Tariq Teddy

Raftar Bharne Do
2022 Kis Kis Ko Le Gaya? 2

19 November Ko Punjab Ke Stage Ka Aik Bara Naam Apnay Madahon Ko Udaas Kar Gaya. Faisalabad Stage Se Lahore Stage Tak Tariq Teddy Ne Beshumar Dramon Main Kaam Kiya Aur Logon Ke Chehron Per Muskrahaten Bikhereen. 46 Saal Ke Tariq Teddy Lever Ki Bimari Main Mubtala Thay.

Ismail Tara

ismail tara
ismail tara

Pakistan Showbiz Ki Aik Aur Famous Personality Ismail Tara Ka Inteqal 24 November Ko Karachi Main Hua. Ismail Tara Ko PTV Ke Golden Period Ke Show Fifty Fifty Se Shohrat Mili. 73 Saal Ke Ismail Tara Ne Career Ka Aaghaz Stage Se Kiya Tha.

In Ke Elawa 2022 Main Inteqal Karnay Wali Deegar Famous Personalities Main Ex President Rafiq Tarar, Businessman SM Munir, Actor Tony Naveed Rashid, Actor Afzal Ahmed, Ex Director FIA Dr. Rizwan Aur Cricket Umpire Asad Rauf Sahmil Hain.

شیئر

جواب لکھیں