Comedy Programs Ki History Dekhain To Pakistan Mein Jo Muqam ‘Fifty Fifty’ Ko Haasil Hay, Aaj Tak Koi Doosra TV Show Us Kay Qareeb Bhi Nahi Puhanch Saka. Aur ‘Fifty Fifty’ Ka Naam Laitay Hi Sab Say Pehlay Zehn Mein Kaun Sa Actor Aata Hay? Jee Haan! Ismail Tara. Wo Ismail Tara Jo 73 Saal Ki Umar Tak Sab Ko Hansta Hansaata Raha, Aur Phir Dunya Say Chala Gaya. Youn Pakistan Mein Comedy Ka Aik Aur Era Khatam Ho Gaya.

Stage Industry Say Career Ka Aghaz Karnay Walay Ismail Tara Pakistan Ki Media Industry Kay Behtareen Comedians Main Say Aik Thay.

Ismail Tara Ki Stage Per Entry

1964 Say Stage Adakari Ka Aghaz Kernay Walay Ismail Tara Ko Apnay Her Kirdar Kay Sath Poora Insaf Kernay Per Maharat Thi. Stage Per Kaam Kernay Ki Waja Say Ismail Tara Ko Chehray Kay Expressions Badalnay Aur Awaz Kay Utaar Charhao Per Bhi Ubour Tha. Kisi Bhi Kirdar Main Dhal Janay Ka Fun Un Ko Khoob Ata Tha.

Ibtida Main Unhonay Apna Naam Bananay Main Struggle Ki Magar Jab Woh TV Industry Ki Taraf Aey To Amar Hogaey.

Fifty Fifty Nay Hit Kardia

PTV Say 1978 Main Jab Fifty Fifty Show Shuru Hua To Ismail Tara Aur Majid Jahangir Nay Apnay Mizah Say Sab Ko Fan Bana Liya. Dono Ki On-Screen Chemistry Nay Un Ko Asia Ki Best Comedian Jori Bana Diya.

Is Sitcom Kay Disco Chor Say Lay Ker Chulbulay Kirdaron Main Ismail Tara Nay Saab Ko Khoub Hansaya. Is Comedy Show Main Ismail Tara Kabhi Michael Jackson Banaey Hoay Nazar Atay Tou Kabhi Police Constable Kay Role Main Khoub Jajtay.

Bihari Accent Main, Majid Jahangir Kay Sath Unki Performance Is Show Ki Jaan Tha.

Ismail Tara Nay Jis Waqt 50-50 Main Kaam Kiya, Woh Zia Ul Haq Ka Doar Tha. Media Censorship Urooj Per Thei. Tv Kay Programs Per Nashar Honay Wala Her Content Per Sakht Nazar Rakhi Jati. Taham, 50-50 Nay Sab Hurdles Cross Kerkay Na Sirf Pakistan Balkay Dunya Bhar Main Maqboliyat Kay Jhanday Garh Diye. Baad Main, 50-50 Apnay Content Ki Waja Say, Zia Era Ka Pressure Bardasht Na Ker Saka Aur Us Ko 1984 Main Band Kerdia Gaya. 

Ismail Tara Nay Zeba Shehnaz Kay Sath Bhi Mil Ker Bhi Bauhat Yadgar Roles Kiye. Dono Ki Jumlay Bazi Kisi Bhi Program Main Dekhnay Walon Ko Hans Hans Ker Bai Haal Kerdaiti Thei.

Ismail Tara Ki Movies

70s Aur 80s Main, Pakistani Movies Main Comedians Kay Role Define Hotay Thay. Unki Jandar Adakari Kisi Bhi Movie Ko Uthanay Kay Liye Eham Hoti Thei. Ismail Tara Bhi TV Kay Sath Films Ki Taraf Aey Aur Chah Gaey. Ismail Tara Ka Movie Debut 1981 Main Us Waqt Hoa Jab Woh “Faslay” Naami Movie Main Kaam Kertay Nazar Aei.

1994 Main Ismail Tara Nay Shamim Ara Ki Film "Hathi Meray Sathi" Main Aisa Kaam Kiya Kay Woh Apnay Career Kay Pehlay “Nigar Award” Kay Haqdar Tehray.

Is Kay Bad, Musalsal 5 Years Tak Woh “Best Comedian” Kay Nigar Award Kay Haqdar Qarar Paye. Yani Lehri Kay Baad Kay Kisi Bhi Comedian Kay Sub Say Zyada Nigar Awards. 1995 Main "Munda Bigra Jaye", 1996 Main "Chief Sahab" Aur 1998 Main "Deewarain" Movie Main Ismail Tara Apnay Fun Kay Urooj Per Nazar Ai.

Drama Main Bhi 'Tara' Ka Raj

Ismail Tara Nay 'Fifty Fifty' Kay Ilawa Bhi Choti Screen Per Raj Kiya. Pakistan Main Ma'yari Films Ban’na Band Hoeen To Ismail Tara TV Ki Taraf Phir Chalay Aei. 2005 Main Rubber Band, 2008 Main Yeh Zindagi Hay Aur Nadaaniyan, 2012 Main One Way Ticket Aur Pak Villa, 2013 Main Orangi Ki Anwari Aur Phir Bulbulay Samait Kai TV Dramas Main Ismail Tara Nazar Aey.

2018 Ki Cartoon Film Donkey Raja Main Bhi Ismail Tara Nay “Chacha” Kay Kirdar Main Apni Awaz Ka Jadu Jagaya.

Ismail Tara As A Mimicry Artist

Ismail Tara Ko Mimicry Karnay Main Kamal Hasil Tha. Stage Per Performance Kay Bad Woh Comedy Ki Is Qism Main Achay Khasay Pakkay Ho Chukay Thay.

Fifty Fifty Main Woh Mimicry Aur Comedy, Donon Main Behtareen Adakar Kay Toar Per Nazar Aey.

Jahan Doosray Adakar Indecent Jumlon Aur Over Acting Samait Insulting Remarks Ka Sahara Laitay, Waheen Ismail Tara Nay Comedy Ki Hudood Mai Rehtay Huay Mimicry Say Her Kirdar Main Jaan Daal Di. Halwai Say Lai Ker Qasai Tak Aur Darzi Say Lay Kar Maskharay Tak, Ismail Tara Her Role Main Khoob Jaan Daal Daitay Thay. Un Kay Barjasta Jumlay Aur Phir Chehray Ka Utaar Charhao Kamal Ka Tha.

Ismail Tara Nay 58 Years Media Industry Main Kaam Kiya. Unka Kaam Aur Talent Kabhi Kisi Introduction Ka Muhtaj Nahi Raha. Pakistan Main Jab Bhi Famous Comedians Ka Naam Aey Ga, Ismail Tara Hamesha, Her List Main Jagmagaey Ga.

شیئر

جواب لکھیں