October 2021, Jab Facebook Khud Ko Rebrand Kar Ke Meta Bana, Ye Technology Ki Dunya Mein Sab Se Bari Development Thi.  Fashion Brands Se Leke Aam Log Sab Virtual Reality Ko Adapt Karne Lage Aur Shuru Mein Hi Isay Capitalize Karlia.  Metaverse Ne Buhat Si Digital/Virtual Opportunities Ko Logon Ke Samne Present Kia Aur In Opportunities Ka Faida Utha Kar Market Grab Karna Shuru Ki Virtual Influencers Ne. 

Social Media Influencers Ka Tou Sab Hi Ko Pata Hai Jo Bari Tazi Se Barhte Jarahe Hein Aur Unhe Brand Ambassadors Tak Banaya Jaraha Hai. Inki Khas "Khoobi" Jo Unhain Itna Famous Kar Rahi Hai Kuch Waqt Mein Khatam Ho Jaegi. Jee Han! Sahi Parha Aapne. Waqt Agaya Hai Digital Age Ka, Virtual Influencers Ka! Jo Bari Tazi Se Advance Ho Rahe Hain.

Waisay Aik Zamanay Mein Baray Brands Ke Virtual, Cartoonish Type Ke, Characters Zaroor The. Jaise 7Up Ka Fido Dido Ya Coca-Cola Ka Santa Claus.

Akhir Kaun Hein Ye Virtual Influencers? 

Raftar Bharne Do

Jaisay Influencers Ne Logon Ke Interest Ko Target Karke Trust Gain Kia Aur Niche Market Capture Ki. Waisay Hi Virtual Influencers Bhi Kuch Esa Hi Kar Rahe Hein. Laikin Aik Difference Ke Saath!

Virtual Influencers Jaisa Ke Naam Say Hi Zahir Hay Ek Digitally Generated Personality Hein, Jinhain Proper Human Characteristics Di Gai Hain. Inhain Copywriter, Designer Aur Programmers Control Karte Hein.

Ye Itne Realistic Hutey Hein Ke Aap Inki Pictures Scroll Karte Reh Jaeinge Par Aapko Kahin Kuchh Fake Nahi Lagay Ga. Jaisay Aik Hyper-Realistic World Hay Aur Ye Us Kay Characters Hain.

Na In Kay Nakhray Hain, Aur Na Availability Ka Wait Karna Parta Hay. Aap Bus Hukum Karein, Ye Wohi Present Kareinge, Jo Aap Chaheinge.

Ye Itni Tezi Se Famous Kaise Huay?

Beyoncé Charge Karti Hein $1,687,000 Aur Virat Kohli $1,088,000 Sirf Aur Sirf Ek Instagram Post Ke Liye, Waheen Ye Virtual Influencers "Sirf" $8,000 Charge Karte Hein.

Aam/Local Instagram Influencers Ko Hi Dekhlein, Ye Almost Lakh Rupee Tou Charge Hi Karlete Hein. Phir Demand Karte Hein Ke Brand Inhe Expensive PR Gifts Bhi Bhejein. Jabke Ek Virtual Influencer Ko Aapne Bus Direct Karna Hai Aur Wo Apki Exact Demand Aur Requirement Ke Mutabiq Ad/Marketing Post Generate Karke Deinge. Koi Zarurat Nahi Hogi Un Ko Kisi Expensive Gifts Bhejne Ki, Ya Koi Aur Kharcha+Nakhra Uthane Ki. 

Influencers Ka Karobar Mushkil Mein

Sawal Yehi Uthta Hai Ke Kia Virtual Influencers Iss Aaj Ki Influencer Community Ka Khatma Karsaktay Hain? Jawab Tou “Haan” Hi Nazar Araha Hai.

Jese Hamne Pehle Hi Kuch Reasons Batae Hein. Human Influencers, Jee Haan Ab Hamain Categorize Karna Parega. Ye Kabhi Kabhar Buhat Nakhre Karte Hein. Covid Ke Time Hi Dekhlein, Ek Brand Ko Lakhon Ka Nuksaan Uthana Para Jab Usne Ek Female Influencer Ko Ek Trip Par Bheja. Ye Trip Aik Advertisement Kay Liay Thi, But Wo Uss Trip Mein Bemaar Pargai. Kahay Pia Kuch Nahi, Glass Tora 12 Aanay.

Iss Situation Mein Virtual Influencers Ka hona Ek Advantage Hai. Inki Koi Physical Ya Geographical Limitations Nahi Hoti. Buhat Si Multinational Companies Ne Inke Sath Partnerships Bhi Karli Hain.

Insaan Chahe Apne Attitude Ko Kitna Bhi Groom Karley, Virtual Dunya Ko Match Nai Kar Paraha. Ye Kehna Bilkul Theek Hai Ke Insaan Ki Replacement Koi Nahi, Par Jab Insan Hi Virtual Influencers Ko Wujood Mein Laraha Hai Aur Itna Famous Kar Raha Hai, Tou Aap Kar Bhi Kiya Sakte Hein?

2022 Mein Influencer Marketing Factory Ne Ek Virtual Influencer Survey Conduct Kiya Tha Jiske Mutabiq 58% Log At Least 1 Virtual Influencer Ko Follow Karte Hein. In Mein Say 35% Consumers Ne Kaha Ke Unho Ne Products Ki Purchasing In Virtual Influencers Ki Promotion Ki Waja Se Ki Hai. In Consumers Ka Shumar 18-44 Kay Age Group Mein Hota Hai.

Most Famous Virtual Influencers

Buhat Se Reasons Hein Jinki Waja Se Virtual Influencers Itna Famous Ho Rahe Hein. Par Sab Se Bari Waja Inke Accessibility Hai. Ek Influencer Ka Core Purpose Ziada Se Ziada Logon Ko Reach Karna Hota Hai. Aur Internet Ne Inko Ek Opportunity Di Hai Jisse Ye Har Waqt Ek New Content Banate Hein Jiski Engagement Khoob Huti Hai.

Most Famous VI Kuch Yun Hein :

Lu Do Magalu

Raftar Bharne Do
Influencers, Khair Manao! 1

Virtual Influencers Mein Pehla Bara Naam Hay Lu Do Magalu Ka. Jiski Instagram Following 6 Million Hai. Ye Pehli Bar iBlogTV Ko Promote Karne Ke Liye August 2019 Mein Built Ki Gai Thi. Lu Ne Social Media Par Kaafi Popularity Gain Ki Hay. Jis Mein Ye Unboxing Videos, Product Videos Aur Software Tips Deti Hai. 2019 Mein Isne Almost $552 Million In Profit Gain Kiya.

Raftar Bharne Do

Miquela Sousa

Popularly Known As Lil Miquela, Jiski Instagram Par Following 3 Million Tak Hai, Ek Global Pop Star Hai. Time Magazine Ke Article “Top 25 Most Influential People on The Internet” Mein Iska Naam Bhi Aa Chukka Hai, Jab Ke Ye Insan Bhi Nahi Ek Vitual Human Robot Hai. 2016 Mein Isne Logon Ki Kaafi Attention Gain Ki Jab Isne Apni Daily Life Instagram Mein Share Karni Shuru Ki. Miquela Bare Brands Ke Sath Kaam Bhi Kiya Hai Jese Ke Ugg, Calvin Klein, Prada Aur Samsung. Iski Yearly Income Almost $12 Million Dollars Hai.

Raftar Bharne Do
Influencers, Khair Manao! 2

Kyra

Kyra, Ek Aur Virtual Influencer Jo Lil Miquela Ki Terha Hi Hai Par Bani India Mein Hai Jiski Instagram Following 203K Hai. January 2022 Se Ye Online Aana Shuru Hui. Apni Daily Life Ko Share Karti Hai Jismein Fitness, Clothing Aur Bhi Buhat Kuch Promote Kiya Jaata Hai. India Ki Bari Travel Agencies Bhi Isse Advertisement Karati Hein Jese Ke Amer Fort.

Raftar Bharne Do

Maaya Pappaya

Pakistan Ki Pehli Advanced Virtual Influencer Hai Maaya Pappaya. Instagram Pe Isey Pehli Post Ke Zariye September 2022 Mein Release Kiya Gaya. Filhal Ye Pakistan Mein Bilkul Hi New Idea Hai, Tou Iski Following Itni Nai, Par Agar Iske Visuals Ko Dekha Jae Tou Future Bara Dikhai Day Raha Hai.

شیئر

جواب لکھیں