FIFA World Cup 2022 Mein Jahan Qatar Kay Khilaf Zabardast Propaganda Jari Hay, Waheen Iran Football Team Ki Bhi Alag Hi Kahani Chal Rahi Hay.

England Kay Against Match Mein Team Nay Apna Qaumi Tarana Hi Nahi Parha. Ye Iran Mein Anti-Government Protests Par Honay Walay Crackdowns Kay Khilaf Ehtajaj Ka Aik Tareeqa Tha. Aur Aisa Karnay Ki Is Say Ghalat Jaga Aur Is Say Ghalat Waqt Ho Nahi Sakta Tha.

Mulk Ki Sab Say Bari Team, Dunya Kay Sub Say Baray Stage Par Pehla Match Khelnay Ja Rahi Hay Aur Aap Ka Zehn Match Par Nahi Balkay Political Statement Denay Par Hay. Is Mindset Ka Asar To Performance Par Parrna Hi Tha Aur Kuchh Hi Dair Mein Nazar Bhi Aa Gaya. Iran Football Team Nay England Kay Hathon 6 Goals Khaey Aur Aakhir Mein 6-2 Say Haar Gaya.

Sabaq Seekh Lia

Lagta Hay Is Bhayanak Shikast Nay Iranian Football Team Kay Hosh Thikanay Laga Diay Hain. Aaj Wales Kay Khilaf Iran Apnay ‘Asal Roop’ Mein Nazar Aaya. Qaumi Tarana Bhi Parha Aur Jeeta Bhi.

Is Match Mein Wales Ko Shuroo Mein Kuchh Moqay Milay Jo Us Say Zaya Ho Gaey. Laikin Second Half To Sirf Iran Ka Tha. Irani Forwards Ki Shoots 2 Martaba Goalpost Ko Chhoo Kar Nikal Gaeen.

Phir 84th Minute Mein Aa Gaya Match Ke Decisive Moment. Welsh Goalkeeper Wayne Hennessey Ka Box Say Nikal Kar Kia Gaya Khatarnaak Save Wales Ko Buhat Mehnga Parr Gaya. Referee Nay Replay Dekh Kar Hennessey Ko Red Card Dikha Dia.

Phir Kya Tha? Wales Kay Haath Pair Phool Gaey. Iran Nay Stoppage Time Main Is Situation Ka Poora Poora Faida Uthaya, Aur Aik Nahi 2 Goals Score Kardiye.

98th Minute Mein Rouzbeh Cheshmi Nay Aur Phir 3 Minute Baad Ramin Rezaeian Ball Opponent Kay Net Main Puhanchai.

Is Kamyabi Nay Iran Football Team Kay Next Round Mein Janay Kay Chances Paida Kar Diay Hain. United States Kay Khilaf Us Ka High-Electric Match Ab Aur Zyada Important Ho Gaya Hay. Agar Iran Jeeta To Round Of 16 Mein Puhanch Sakta Hay. Wo Alag Baat Kay England Kay Hathon 6 Goals Khana Us Ki Raah Mein Rukawat Ban Sakta Hay. Khair, Umeed Par Dunya Qaim Hay!

MWDLPts.
England11003
Iran21013
USA10101
Wales20111
شیئر

جواب لکھیں