Senegal Kay Hathon Shikast Aur Phir Netherlands Aur Ecuador Ka Match Barabar Hotay Hi Qatar Football Team FIFA World Cup Say Bahar Ho Gai Hay.

Jee Haan! World Cup Say Bahar Honay Wali Pehli Team Hi Host Ki Hay Aur Aisa History Mein Pehli Baar Hua Hay. Tareekh Ka Sab Se Mehnga World Cup Karwanay Wala Qatar Football Team Pehlay Hi Aik ‘Karnama’ Kar Chuka Tha. Wo Opening Match Mein Ecuador Say 2-0 Say Hara Tha. Is Say Pehlay Kabhi Host Team Apna First Match Nahi Hari Thi.

Senegal Kay Khilaf 3-1 Ki Shikast Nay Qatar Football Team Ko Buhat Nuqsan Puhanchaya. Laikin Ye Raat Ko Khela Gaya Netherlands Aur Ecuador Ka Match Tha Jis Nay Usay Officially Tournament Say Bahar Kia. Ye Match 1-1 Say Barabar Raha Aur Sath Hi Confirm Hogaya Ke Qatar Round Of 16 Ki Race Main Nahi Raha. Yani Qatar Ki Campaign World Cup Shuru Honay Kay Baad 5 Din Mein Hi ‘The End’ Ho Gai.

Khair, Is Match Mein Qatar Football Team Nay Apna Pehla World Cup Goal Zaroor Maar Lia. 78th Minute Mein Mohommed Muntari Ka Goal Ab Tak Tournament Mein Mezban Ka Only Goal Hay.

Hosts Ki History

Qatar Kay Liay World Cup Jeetna To Khair Na-Mumkin Tha. Laikin Hosts Ki History Bhi Kuch Khaas Nahi. Pehlay 2 World Cup Tournaments 1930 Mein Uruguay Aur 1934 Mein Italy Nay Host Kiay Thay Aur Wohi Champion Bhi Banay Thay. Laikin Us Kay Baad 88 Saal Mein Sirf 4 Teams Aisi Rahi Hain Jinhon Nay As A Host Title Jeeta.

Phir 1966 Mein England Nay Apna Only World Cup Jeeta. 1974 Mein Germany Nay Pehli Baar FIFA World Cup Trophy Uthai Aur Phir Argentina Nay 1978 Mein Buenos Aires Mein World Cup Jeeta.

Aakhri Baar Koi Mezban 1998 Mein World Cup Jeeta Tha, Jab France Nay Home Ground Par Kamyabi Haasil Ki.

Ab 24 Saal Ho Chukay Hain, Kisi Host Ko Trophy Naseeb Nahi Hui. 2006 Mein Germany Aur 2014 Mein Brazil Ko Zabardast Chance Mila, Laikin Wo Phir Bhi Nakaam Huay.

شیئر

جواب لکھیں