Twitter Blue Ka Ma’mla To Buhat Kharab Ho Gaya, Jisay Pause Karnay Kay Baad Ab Twitter Verified Nai Changes Ki Taraf Barh Raha Hay.

CEO Elon Musk Kehtay Hain Ke Next Week Say Twitter Blue Ko Tentatively Yani Tajurbati Taur Par Phir Shuru Kia Jaey Ga. Is Test Launch Kay Liay Buhat Si Changes Ki Gai Hain. Jin Kay Mutabiq Companies Ko Aik Gold Check Mark Milay Ga Aur Government Officials Ko Grey Colour Ka. Individuals Kay Liay Blue Mark Hoga.

Musk Kehtay Hain Ke Sub Verified Accounts Ab “Manually Authenticated” Hon Gay. Us Kay Baad Hi Unhain Related Check Dia Jaey Ga.

Is Waqt Twitter Par 4 Lakh Say Zyada Blue Ticks Hein, Jo Mukhtalif Celebrities, Politicians, Journalists, Government Departments Aur Bari Corporations Kay Hain. Laikin Musk Ka Kehna Hay Ke Ab Blue Tick Sab Kay Liay Hay, Chahay Wo Celebrity Ho Ya Na Ho.

Last Quarterly Results Kay Mutabiq Twitter Kay Daily Approx. 238 Million Users Hain. Laikin Musk Ki Janib Say Khareeday Janay Kay Baad Ye Ta’daad 250 Million Users Kay Sath All-Time High Ho Gai Hay.

Aik Taraf Itni Sari Controversies Hain, Doosri Taraf Ye Afwah Bhi Ke Twitter Mar Raha Hay. Laikin Haqeeqt Ye Hay Ke Twitter Users Roz Barthay Ja Rahay Hain. Wo Kehtay Hain Na Ke ‘Badnaam Jo Hon Gay To Kya Naam Na Hoga?”

شیئر

جواب لکھیں