'Google Play Store Ki Services Pakistan Main 1st December Se Unavailable Ho Jayen Gi.'

Aaj Subah Lakhon Pakistanion Per Ye Khabar Bijli Ban Kar Giri. Khas Taur Per Gamers Bohat Pareshan Ho Gaye. Message Aur Call Kar Kar Ke Ye To Ye Khabar Aagay Barhatay Ya Is Ki Tasdeeq Kartay Rahay. Twitter Per Bhi 'Google Play Store' Top Trend Ban Gaya. Lekin Aap Pareshan Na Hon. Google Play Store Kahin Nahi Ja Raha. Kyunke Play Store Band Ya Unavailable Honay Ki Khabar Fact Nahi Fake Hay.

Pakistan Ke Aik Baray Media Outlet Nay Apni Khabar Main Facts Ko Kuch Twist Kiya. Asal Main Baat Sirf Itni Si Hay Ke State Bank Of Pakistan Ne Nay International Services Providers Ki 34 Million Dollars Ki Due Payment Rok Di Hay. Ye Payment Telecom Companies i.e. Jazz, Ufone, Telenor Aur Zong Ki Taraf Se Direct Carrier Billing (DCB) Ke Teht Google, Meta Aur Amazon Ko Ki Jani Hain.

Direct Carrier Billing Kya Hay?

Naam Say Hi Zahir Hay Ke Aap Ka Mobile Carrier Aap Ki Taraf Say International Services Providers Ko Direct Payment Karta Hay. Customer Jab Online Koi Cheez Khareedna Chahta Hay, Laikin Us Kay Paas Credit Ya Debit Card Na Ho To Us Kay Liay Ye Barri Sahulat Hoti Hay.

Direct Carrier Billing 2026 Tak Dunya Mein 74 Billion Dollars Tak Puhanch Jaey Gi. Kyunke Is Waqt Bhi Dunya Mein 1 Billion Say Zyada Adults Aisay Hain Jo Unbanked Ya Underbanked Hain. Aur Aisay Afrad Ki Pakistan Mein Ta’daad To Buhat Zyada Hay.

Khair, State Bank Ne Mumkina Taur Per Pakistan Main Dollar Ki Kami Ki Wajah Se Ye Step Uthaya Hay. Is Pabandi Ki Wajah Se Ye Hoga Ke Aisay User Jo Direct Carrier Billing Ke Zariye Play Store, Meta Ya Amazon Ki Services Hasil Kartay Thay Wo Nahi Kar Saken Ge.

Federal Minister for Information Technology & Telecom Syed Amin Ul Haq Ne Raftar Se Baat Kartay Huye Tasdeeq Ki Ke Google Play Store Ki Free Services Pakistan Main 1st December Ke Baad Bhi Available Rahen Gi. Sirf Direct Carrier Billing Se Payment Nahi Ho Saken Gi. In-App Purchases Ki Payment Credit Card Aur Debit Card Se Ho Sakay Gi.

Google Play Store Ki DCB Band Honay Se Kiya Hoga?

Direct Carrier Billing Band Honay Se Aisay Gamers Aur Users Affect Hon Gay Jo Mobile Balance Se Payment Kar Ke Services, Apps Ya In-App Purchases Kartay Hain. Ab Unhain Credit Cards Aur Debit Cards Istamal Karna Parain Gay.

Koi Ilaj?

Is Silsilay Mein Ministry Of Telecommunication, Pakistan Telecommunication Authority Aur Mulk Ki 4 Biggest Cellular Companies Nay State Bank Ko Aik Joint Letter Bheja Hay, Ke Wo Apna DCB Ko Revoke Karnay Ka Faisla Wapis Lay. Amin Ul Haq Ka Kehna Tha Ke Sukook Bond Ki 1 Billion Dollar Ki Payment Ki Waja Se Pressure Hay. Umeed Hay Ke Mumala 1-2 Din Main Hal Ho Jaye Ga Aur DCB Bhi Jari Rahay Gi.

Kya Google Play Store Services Band Ho Sakti Hain?

Pakistan 22 Crore Population Ka Bara Mulk Hay. Jis Ki 8.5 Crore Abadi Naujawanon Per Mushtamil Hay. Google Ya Koi Aur Tech Company Itni Bari Market Ko Asani Se Nahi Chhor Sakti.

Google Play Store Ko In-app Purchases Ke Ilawa Free Apps Main Dikhaye Janay Walay Ads Se Bhi Bohat Income Hoti Hay. Tou Google Sirf 34 Million Dollars Ke Liye Billions Of Dollars Ki Market Main Apni Services Band Nahi Kar Sakta. Europe Main Google, Meta Waghera Per Millions Of Dollars Fine Lagta Rehta Hay. Lekin Ye Companies Wahan Apni Services Band Nahi Karteen Bulkay Legal Battle Larti Hain.

Isi Tarah Agar State Bank Of Pakistan Ne Payments Per Ban Lagaye Rakha Tou Pakistan Ki Cellular Companies Aur International Tech Giants Ke Paas Qanooni Jang Ka Option Khula Hay.

شیئر

جواب لکھیں