Lagta Hay Elon Musk Kay Dimagh Ki Phirki Ghoom Chuki Hay. Kehtay Hain Agar Apple Nay Twitter Ko Apnay App Store Say Nikala To Mein Alternative Phone Laun Ga.

Aik Tv Host Liz Wheeler Kay Tweet Kay Jawab Mein Musk Nay Kaha Ke Mujhe Umeed Hay Aisa Nahi Hoga, Laikin Agar Koi Raasta Nahi Bacha To Wo Muqablay Par Apna Smartphone Laen Gay.

Ye Jawab Milnay Par Wheeler Nay Aik Poll Tweet Kia Ja Kaha Ke Kya Aap Telonphone Lain Gay? Jis Par Approx. 53 Hazar Vote Aaey Hain Aur 56.2 Percent Logon Kay Jawab Hay ‘Haan’.

Tesla Aur SpaceX Kay Maalik Musk Nay October Mein 44 Billion Dollars Say Twitter Khareeda Tha. Phir Twitter Mein Bari Changes Laey. Pehlay Hazaron Logon Ko Naukri Say Nikala. Phir Donald Trump Samait Banned Accounts Bhi Khol Diay.

Ab Ye Naya App Store Wala Hungama Khara Ho Gaya Hay. Twitter Kay Liay Bura Shugoon Ye Hay Ke Apple Kay Marketing Executive Phile Schiller Nay Last Week Apna Twitter Account Delete Kia Tha. Asal Mein Apple Apps Kay Liay Buhat Sakht Guidelines Rakhta Hay, Jinhain Follow Karna Buhat Zaruri Hay. Hate Speech, Bullying, Harassment Aur Sexually Explicit Content Ki Bilkul Ijazat Nahi.

To Aap Ko Kya Lagta Hay Waqai Twitter Ko App Store Par Ban Kar Dia Jaey Ga? Aur Phir Musk Waqai Alternative Phone Lay Kar Aaen Gay? Hamain To Nahi Lagta, Kyunke Musk To Kuch Bhi Boltay Rehtay Hain.

شیئر

جواب لکھیں