Ex Prime Minister Imran Khan Ne 23 Decemeber 2022 Ko Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Ke Assemblies Dissolve Karne Ka Elaan Kya Hai. Takay Mulk Main Fori General Elections Ho Saken.

Pakistan Main Assemblies Dissolution Ki History

Pakistan Mein Assemblies Ki Dissolutions, Prime Ministers Ya Chief Minsters Ki Rukhsati Koi Nai Baat Nahi. Liaquat Ali Khan Ke Qatal Ke Baad Se Mulk Mein Siyasi Afratafri Aur Chaos Urooj Par Pahonch Chuka Tha.

Pakistan Mein Sab Se Pehlay Jo Assembly Tori Gayi Who 1940 Ki Famous ‘Lahore Resolution’ Paish Karne Walay Molvi Fazlul Haq Ki Thi Jo East Bangal Ke Chief Misiter Thay. 8 March 1954 Ko East Bangal Mein Honay Walay Elections Mein Muslim League Ko Defeat Hui Thi Aur 4 Parties Ke ‘United Front’ Ne Kamyabi Haasil Ki Thi. 3 April 1954 Ko Sher-e-Bangal Maulvi Fazlul Haq Ne Ohda Sanbhala Tha. Governor General Ghulam Mohammad Ne Sirf 2 Mahinay Baad 29 May 1954 Ko East Bangal Ki Assembly Dissolve Kar Di Aur Governor’s Rule Laga Diya.

Raftar Bharne Do
From extreme left are Sher-e-Bengal A.K. Fazlul Huq and Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah. Muslim League Council Meeting in Bombay in the early 1940s. Photo: Dawn / White Star Archives

Pakistan Ki Pehli Constituent Assembly Ki Dissolution

Governor General Ghulam Mohammad Is Se Pehlay 17 April 1953 Ko Prime Minister Khawaja Nazimuddin Aur Un Ki Cabinet Ko Sack Kar Chukay Thay. Un Ke Baad America Mein Pakistani Safeer Mohammad Ali Bogra Ko Prime Minister Muqarrar Kya Gaya Tha. Mohammad Ali Bogra Ko Ehsas Tha Ke Governor General Ke Be Panah Powers Ki Wajah Se Mulk Mein Prime Minister Aur Is Ki Cabinet Ki Hesiyat Puppet Se Ziyada Nahi. Unhon Ne 21 September 1954 Ko Constituent Assembly Se Aik Bill Pass Karaya Jis Ke Tehat Ministers Aur State Ministers Ki Appointment Aur Sacking Ki Power Governor General Ke Bajaye Prime Minister Ko Haasil Ho Gayi. Governor General Ghulam Mohammad Ko Pata Chala To Woh Sakht Naraaz Huvay. Mohammad Ali Bogra Bill Ki Manzoori Ke Baad America Ke Dauray Par Chalay Gaye Thay. Un Ki Ghair Maujoodgi Mein Governor General Ne Jor Toar Karli Thi. Mohammad Ali Bogra Watan Wapas Puhanche To Airport Par Fauj Ne Unhein Tehweel Mein Le Kar Governor General Ke Samnay Paish Kardiya. Governor General Malik Ghulam Mohammad Ne Pakistan Ki Pehli Constituent Assembly Tornay Ka Farmaan Jari Kardiya.

Ghulam Muhammad; Dissolution Of Pakistan's First Constituent Assembly.
3rd Govenror Gneral Of Pakistan Malik Ghulam Muhammad

Governor General Ke Is Iqdaam Ke Khilaaf Constituent Assembly Ke Sadar Maulvi Tamizuddin Khan Ne Sindh Chief Court Mein Challenge Kya. 9 Feb 1955 Ko Justice Constantine Ne Assembly Ki Bahaali Ka Hukum Diya Magar Governor General Ghulam Mohammad Ne Faisla Supreme Court Mein Challenge Kardiya. 10 May 1955 Ko Supreme Court Mein Pakistan Ke Dusray Cheif Justice, Justice Munir Ki Sarbarahi Mein 5 Members Bench Ne 4-1 Se Faisla Sunaya Ke Ghulam Mohammad Ka Iqdaam Durust Tha. Yun Adalat Ne Bhi Aik Siyasi Hukoomat Ke Qatal Par Mohar Laga Di.

Pakistan Ka First Martial Law

August 1955 Mein Governor General Ghulam Mohammad Ki Beemari Ki Wajah Se Major General Iskandar Mirza Governor General Banay. Unhon Ne Mohammad Ali Bogra Ko Sack Karkay Chaudhry Mohammad Ali Ko Prime Minister Appoint Kardiya.1956 Mein Mulk Ka Pehla Constitution Ban Gaya Magar Political Turmoil Jari Rahi. October 1958 Tak Sirf 3 Saal Mein 4 Prime Ministers Tabdeel Huvey. Constitution Ke Tehat Governor General Ki Post Khatam Ho Chuki Thi Aur Iskandar Mirza Sadar Ban Gaye Thay.

 October 1958 Mein Army Cheif General Ayub Khan Ne Iskandar Mirza Ke Sath Mil Kar 1956 Ka Constitution Aur Assemblies Tor Kar Martial Law Laga Diya.

Raftar Bharne Do

1962 Mein General Ayub Khan Ne Naya Constitution Aur Naye Presidential System Ke Tehat Nai Assemblies Banayeen. 25 March 1969 Ko Army Chief General Yahya Khan Ne Sadar Bantay Hi Assemblies Dissolve Kar Deen Aur Constitution Abrogate Kar Diya. Un Ke Daur Mein Pakistan Bhi 2 Tukre Ho Gaya.

Raftar Bharne Do

Zulfiqar Ali Bhutto Ki Hukumat Ka Khatima

1977 Mein Teesray Fauji Dictator General Zia ul Haq Ne Zulfiqar Ali Bhutto Ke Khilaf Coup Kita. Unhon Ne Bhi Martial Law Laga Kar 1973 Ka Constitution Aur Assemblies Tor Den. General Zia Ne 1985 Mein Non Parties Bunyadon Par Election Karaye Aur Constitution Mein 8th  Amendment Kartay Huvay Assembly Tornay Ka Presidential Power Hasil Kar Liya. 1988 Mein Air Crash Mein Apni Maut Se Pehlay Unhon Ne Prime Minister Mohammad Khan Junejo Ko Sack Kardiya Aur Apni Hi Banai Hui Assemblies Dissolve Kar Di Theen.

Raftar Bharne Do

Jamhuriat Ka Bar Bar Qatal

6 Augst 1990 Ko President Ghulam Ishaq Khan Ne Pehli Musalman Khatoon Prime Minister Benazir Bhutto Ko Ohday Se Hataya Aur Assemblies Tor Deen. Ghulam Ishaq Khan Ne April 1993 Mein Nawaz Sharif Hukoomat Ko Bhi Chalta Kya Aur Asmblies Tehleel Kar Deen. Supreme Court Ne Nawaz Sharif Ki Hukoomat Reinstate Ki Lekin Phir Army Cheif General Abdul Wahid Kakar Ke Formulay  Ke Tehat July 1993 Mein Ghulam Ishaq Khan Aur Nawaz Sharif Dono Ko Ohday Chornay Paray.

Raftar Bharne Do

Benazir Bhutto Dubarah Prime Minister Baneen Magar Is Baar Bhi Un Ki Hukoomat Muddat Poori Na Kar Saki Aur 1996 Mein Assemblies Tor Di Gayeen. Is Baar Kisi Bureaucrat Ya Dictator Ne Nahi Balkay Un Ki Apni Party Se Talluq Rakhnay Walay President Farooq Laghari Ne Unhein Ohday Se Hataya Tha.


October 1999 Mein General Pervez Musharraf Ne Prime Minister Nawaz Sharif Ko Sack Kar Kay Jail Mein Daal Diya Aur Assemblies Tor Deen.

Raftar Bharne Do

Is Ke Baad Prime Ministers To Apni Muddat Poori Na Kar Sakay Magar Assemblies Ne Apni Muddat Zaroor Poori Ki.

Imran Khan Ne Misaal Qaaim Ki

3 April 2022 Ko Imran Khan Ne Aik Nai Exapmle Set Ki. No Confidence Motion Se Bachney Ke Liye Unhon Ne National Assembly Dissolbe Kar Di Thi, Lekin Supreme Court Ne Usay Reinstate Kar Diya. Wo Pakistan Ke Pehlay Prime Minister Banay Jinhon Ne Yeh Iqdaam Kiya.

Past Mein Jab Bhi Assemblies Dissolve Ki Gayeen Tou Ziyada Tar Un Ka Reason Political Chaos Aur Law And Order Situation Ko Qarar Diya Gaya.

Ab Imran Khan Ne Party Leader Ke Tor Per Punjab Aur Khyber Pakhtunkhwa Ki Assemblies Dissolve Karnay Ka Elaan Kya Hai. Agar Aisa Ho Gaya To Yeh Pakistan Ki Tareekh Ka Aik Munfarid Waqea Ho Ga.

شیئر

جواب لکھیں