Sardiyun Ka Mausam Jahan Apnay Sath Dryness Aur Skin Per Itching Hoti Hay Waheen Hair Dandruff ( Baloon Ki Khushki) Ka Masla Bhi Aam Toar Per Dekha Jata Hay. Dandruff Aap Kay Hairs Ko Weak Kerti Hai Aur Ap Ki Personality Per Bhi Asar Andaz Hoti Hay.

Baal Ki Khaal Utaarnay Ka Phrase, Yani Muhawara Aap Na Suna Hoga. Sardiyun Main Aap Kay Sir Ki Skin Yani Head Scalp Dry Hoker Aisay He Jharti Hay. Kuch Medical Researches Kay Mutabiq, Dandruff Say 42 % Bachay Aur 1 Say 3 % Adults Effected Hotay Hain.

Khushki Kay Kuch Reasons Hotay Hain. Dry Skin Kay Ilawa, Seborrheic Dermatitis, Hair Products Ki Waja Say Sensitivity Aur Head Scalp Per Aik Khas Qisam Kay Fungus Ki Waja Say Bhi Yeh Masla Hojata Hay.

In Ko Doar Kerkay Hairs Ko Healthy Banay Ki Home Remedies Bhi Hoti Hain Jo Is Maslay Ka Solution Kahi Jarahi Hain.

Tea Tree Oil

Yeh Special Tea Tree Oil Aap Ko Dandruff Say Nijaat Dila Sakta Hay. Is Main Moujod Powerful Antimicrobial Aur Anti-Inflammatory Properties Dandruff Ko Control Kernay Main Helpful Rehti Hain.

Tea Tree Oil Say Sensitive Skin Walon Ko Irritation Hosakti Hai Is Liye Yeh Kaha Jata Hay Kay Best Way Yeh Hay Kay Oil Ko Coconut Oil Main Mila Ker Skin Per Lagaya Jaei.

Coconut Oil

Coconut Oil Bhi Dandruff Khatam Kernay Ki Natural Remedy Hay. Yeh Skin Hydration Ko Behtar Bana Ker Dryness Doar Kerti Hay. Coconut Oil Eczema Ki Treatment Kay Liye Bhi Helpful Hota Hay Aur Yeh Eczema Bhi Khushki Ki Waja Banta Hay.

Women Per Ki Janay Wali Aik Study Report Main Yeh Bataya Gaya Kay Coconut Oil Laganay Say Scalp Microbiome Main Behtari Aei.

Coconut Oil Aur Is Kay Compounds Main Antimicrobial Properties Hoti Hain Jo Scalp Ko Healthy Rakhnay Main Supportive Hoti Hain.

Aloe Vera

Aloe Vera Main Antibacterial Aur Antifungal Properties Hoti Hain. Yeh Fungus Kay Against Bauhat Effective Results Daita Hay.

Aloe Vera Kay Istemaal Say Scalp Per Inflammation Ko Control Kernay Aur Dandruff Ko Khatam Kernay Main Madad Milti Hai.

Minimize Stress Level

Stress Ko Agerchay Dandruff Ki Waja Nahi Kaha Jasakta Mager Is Kai Bais Itching Aur Skin Dryness Hoti Hay.

Long Term Stress Ki Waja Say Immune System Per Asar Parta Hay Jo Ap Ki Body Ki Abilities Ko Nuqsan Pouhanchata Hay. Is Waja Say Fungus Say Fight Kernay Ki Ability Ko Nuqsan Pouhanchta Hay. Yeh Fungus Hairs Main Khushki Honay Ki Waja Hota Hay.

Seborrheic Dermatitis ( Common Cause Of Dandruff) Ka Shikar 166 Afraad Per Aik Study Main Yeh Baat Samnay Aei Kay Stress Ki Waja Say In Main Dermatitis Symptoms Ziada Thay.

Stress Reduce Kernay Kay Liye Meditation, Yoga, Deep Breathing Aur Aromatherapy Bauhat Helpful Rehti Hai.

Apple Cider Vinegar

Apple Cider Vinegar Kay Health Per Bauhat Benefits Hotay Hain. Is Ko “Natural Remedy For Dandruff” Bhi Kaha Jata Hay. Yeh Is Liye Bhi Hota Hay Kion Kay Vinegar Ki Acidity Scalp Ki Dead Skin Ko Stimulate Kerti Hay Jis Say Khushki Ko Control Kia Jasakta Hay.

Is Kay Usage Say Skin Ka Ph Bhi Balance Rehta Hay Aur Fungal Growth Ko Reduce Kerkay Dandruff Khatam Ki Jasakti Hay.

Baking Soda

Baking Soda Ko Jald Dandruff Khatam Kernay Ka Quick, Homebased Aur Readily Available Remedy Kaha Jata Hay. Is Kay Istemal Say Scalp Kay Dead Skin Cells Remove Kiye Jasaktay Hain Aur Scaling Aur Itching Reduce Hoti Hay. Is Mai Moujoud Antifungal Properties Say Dandruff Treatment Main Bhi Help Milti Hay.

Wet Hairs Main Baking Soda Laga Ker Massage Kiye Jai Aur 2 Say 3 Minutes Baad Shampoo Kerkay Hairs Ko Towel Say Dry Kernay Say Itching Mai Bhi Relief Hota Hay.

Dandruff Bhaganay Kay Liye Aur Bhi Kai Home Remedies Moujoud Hain. In Per Amal Kerkay Desired Results Mil Saktay Hain. Taham Kuch Severe Cases Main Ager Faida Na Ho Tou Additional Treatment Required Hota Hay. Ager Antifungal Aur Antibacterial Ingredients Say Ap Ko Faida Na Ho Tou Dermatologist Say Consult Kerkay Medicines Bhi Use Ki Jasakti Hain Jo Ap Ko Dandruff Say Nijat Diladain Gi, Mager Phelay Yeh Wali Remedies Kerkay Tou Dekhain. 

شیئر

جواب لکھیں