Khoubsurat Baal Yani Healthy Hairs Hamari Personality Ka Hisa Hotay Hain. Ager Ap Kay Baal Kharab Horahay Hain Aur Un Ki Waja Say Ap Pareshan Rehtay Hain Tou Yaqeenun Aap Ki Personality Per Bhi Is Ka Asar Parta Hay.
Red Book Poll Kay Mutabiq 74 % Women Ka Kehna Hay Kay Jis Din Unkay Baal Achay Nahi Lagtay, Unka Din Kharab Guzarta Hay Aur Woh Khudh Ko Confident Nahi Samajhtein. Aisa Aam Toar Per Ziada Hota Hay. Leken Jis Din Aap Kay Baal Achay Lagtay Hain, Us Dinn Tou Aap Over The Moon Hoti Hongi.
Baalon Kay Masail Main Saab Say Ziada Challenge Hair Damage, Dullness, Thinnings, Dryness, Breakage Aur Dandruff Ka Hota Hay.
In Ki Daikh Bhal Kay Liye Laazmi Toar Per Efforts Chaheye Hoti Hain. Yeh Efforts Agerchay Time Taking Hoti Hain Mager Yeh Zaror Hay Kay In Kay Results Bauhat He Positive Hotay Hain.
American Hair Expert Nay Kuch Tips Batai Hain Jin Per Amal Ker Kai Hairs Ko Smarter Aur Healthy Banaya Jasakta Hay.
Brush Your Hair
Yeh Lazmi Banalain Kay Head Wash Kernay Say Pehlay Brush Kerain. Aisay Kernay Say Baalon Mai Say Uljhao (Detangle) Khatam Hojata Hay. Wet Hairs Jaldi Break Hotay Hain . Dry Hairs Ko Brush Kerna Behtar Rehta Hay. Dry Hairs Main Brushing Say Natural Oils Scalp Tak Chala Jata Hay.
Apply Conditioner
Ager Ap Kay Hairs Long Hain Tou Ap Ziada Conditioner Use Ker Saktay Hain. Mager Ager Ap Kay Ziada Lambay Baal Nahi Tou Ap Ko Chaheye Kay Thora Sa Conditioner Head Bath Laitay Hoay Zaror Use Kerain. Is Say Scalp Ko Hydration Milti Hay. Hairs Main Conditioner Apply Kernay Ka Behtar Tareeqa Yeh Hay Kay Samnay Say Hairs Ki Roots Main Halkay Hath Say Conditioner Massage Kerain. Is Kay Bad Conditioner Ko 1 Minute Tak Hairs Main Laga Chour Dain Aur Phir Wash Kerain. Is Kay Usage Say Ap Healthy Hairs Ko Bharpor Enjoy Kerain Gaey.
Use Hair Mask
Hairs Ko Hydrated Aur Smooth Rakhnay Kay Liye Moisturizing Hair Mask Ya Phir Deep Conditioner Zaroori Hay. Yeh Amal Week Main Aik Baar Kerna Chaheye. Ager Ap Hot Tools Frequently Use Kertay Hain Tou Ap Ko Moisturizing Week Mai 2 Say 3 Baar Kerna Chaheye. Is Say Hairs Soft Aur Shiny Hojatay Hain.
Balanced Diet Is Must
Aap Ko Pata Hona Chaheye Kay Ap Kia Kha Rahay Hain. Ap Ki Healthy Diet Ap Kay Sehatband Hairs Kay Liye Zarouri Hotay Hain. Hairs Kay Liye Protein Rich Diet Zarori Hoti Hai. Fish, Eggs, Meat Aur Beans Ap Kay Hairs Ko Bauhat Balanced Aur Shining Rakhtay Hain. Is Kay Ilawa Vitamins C Aur E Bhi Ap Kay Hairs Ko Healthy Bana Daitay Hain. Berries, Spinach, Aur Avocados Say Aap Kay Healthy Hairs Mazeed Strong Hojatay Hain.
Hot Water For Hairs Is Not Good
Daily Hot Water Bath Ap Kay Healthy Hairs Ko Weak Kerdaita Hay. Ap Ka Scalp Hot Water Ko Ziada Bardast Nahi Kerta Aur Hairs Ki Roots Weak Hojati Hain. Ager Ap Hot Water Bath Lai Rahay Hain Tou Last Main Cold Ya Moderate Water Say Head Wash Kerain Takay Hair Cuticles Band Hojaein Aur Hair Fall Na Ho.
Sleep On Silk
Sotay Hoay Cotton Ka Pillow Cover Use Na Kerain. Silk Ka Pillow Cover Apkay Hairs Kay Liye Behtar Rahay Ga. Is Say Ap Kay Hairs Main Friction Reduce Hogi. Lambay Baal Rakhnay Walay Loog, Baalon Ko Un-Tie Kerkay Laitain Takay Woh Uljhay Nahi.
Get A Hair Trim
Aap Ko Regularly Hair Trim Kerwanay Chaheye. Is Say Hairs 2 Munh Kay Nahi Hotay Aur Aap New Hair Style Bhi Try Kertay Rehtay Hain.
Healthy Hairs Kay Liye Above Mentioned Tips Kay Sath Stress Free Life Style Bhi Zaroori Hota Hay. Aap Kay Khoubsurat Baal Aap Ko Confident Bananay Kay Sath Smart Aur Good Looking Bhi Banatay Hain. Tou Phir Dair Kaisi, Tips Follow Kerain Aur Khudh Ko Impressive Bana’ain.