New Technology Ho, Koi Dusri Language Ho Ya Koi Advanced Skill, Aaj Ke Competitive Environment Mein Survive Karna Hai To New Cheezein Tou Seekhni Hi Parain Gi. Magar Jahan Competition Hai Wahan Time Bhi Tezi Se Aagey Nikal Raha Hai. To Esa Kia Karein Jis Say Hum Apne Sikhne Ki Salahiyat Ko Barha Sakhein? Wo Hay Quick Learner Ban'na.

Ek Quick Learner Hona Aap Ko Competition Se Ek Step Aagey Rehna Ka Edge Deta Hai. Ye Hein Kuch 6  Scientifically Proven Steps Jo Aap Kay Kuch New Learn Karne Mein Tezi Laa Sakte Hein. Aayen Seekhtay Hein 6 Best Ways To Learn Faster.

Kisi Ko Sikhayein

Best Ways To Learn Faster

Studies Ke Mutabiq Agar Aap Kisi Aur Ko Sikhayein, Ya Pretend Hi Karain Ke Apke Samne Ek Student Hai Ya Koi Audience To Aapki Learning Spirit Barh Jaati Hai Aur Aap Cheezein Foran Yaad Bhi Rakh Lete Hein. Apka Mind-Set Engage Ho Jaata Hai Presentation Ki Taraf, Is Expectation Se Learning Aur Achi Ho Jaati Hai.

Kam Time Mein Parhein

“30 Mins Mein Koi Kuch Nahi Seekhta Aur Kuch Seekhne Ke Liye 50 Mins Bohat Ziada Hein”, Ye Kehna Hai Learning Strategists Ka. Koi Course Lein To Usay Brief Karke Yaad Karna Shuru Karein, Mind Ko Exhaust Na Karein. Thore Waqt Ka Target Rakh Kar Yaad Karein, Phir Next Session Shuru Karne Karne Se Pehle 10 Mins Ka Break Ho Jaye.

Iss Practice Ko Micro Learning Sessions Kehte Hein. Yaad Bhi Asaani Se Hoga, Aur Recall/Revision Bhi Bhi Easily.

Take Notes By Hand

Best Ways To Learn Faster

Laptop Pe Typing Speed Se Kaam To Jaldi Hota Hai Par Pen Ya Pencil Utha Kar Paper Pe Note Down Karne Se Cheezein Dimagh Mein Sahi Beth'ti Hein. Research Ke Mutabiq Ye Pata Chala Hai Ke Jab Students Apne Hath Se Notes Banate Hein Tab Wo Ziada Active Hote Hein, Aur Active Hona Important Concepts Ko Dimagh Mein Easily Feed Karna Hota Hai. Aap Distractions Se Bhi Dur Rehte Hein Jese Ke Online Activities On Browsers.

Mental Spacing Ka Power

Ye Step Jitna Parhne Mein Ajeeb Lag Raha Hai Utna Karne Mein Asaan Hai. Agar Aap Ek Lawn Ko Hafte Mein Ek Bar 90 Mins Tak Paani Deinge Ya Hafte Mein 3 Bar 30 Mins Tak, Lawn Ziada Green Tab Hi Ho Ga Jab Aap Spacing Dein Ge, Yaani 30 Mins Hafte Mein 3 Bar. Ese Hi Apka Mind Work Karta Hai.

Ek Theory Kehti Hai K Short Intervals Mein Kuch Ziada Sekhna Kabhi Work Nahi Karta. Ap Ye Kar Sakte Hein Ke Jo Cheez Apne Seekhni Hai Usse Kuch Times Mein Bant Lein Phir Time By Time Utha Kar Usse Aram Se Seekhein. Apka Mind Fresh Aur Adaptation Ke Liye Phir Hamesha Ready Rahega.

So Jayein, Aram Karein

Best Ways To Learn Faster

Jab Aap Koi New Cheez Seekhein Tou Aram Se Sojaein, Ye Ek Best Tariqa Hai Yaad Rakhne Ka. Neend Apki Memories Ko Aur Mazboot Karti Hai Jo Aapne Pure Din Banayi Hoti Hai Aur Phir New Experiences Ke Liye Apki Brain Fresh And Ready Ho Jata Hai.

Research Kehti Hai Ke Neend 2 Tareeqe Se Apki Memory Ko Strong Karti Hai. Pehli Ke Ek Neend Se Behal Insaan Kabhi Bhi Kuch Seekh Nahi Sakta Aur Dusra Ye Jab Neend Puri Karke Apka Mind Active Hota Hai Tou Wo Nayi Cheezon Ko Learn Aur Store Bhi Jaldi Karta Hai.

Thora Change Layein

Seekhnay Ka Aik Aur Behtareen Tareeqa Yeh Hai Ke Aik Se Ziyada Tareeqon Se Seekhnay Par Focus Di Jaye. For Example, Sirf Podcast Sun'ney Ke Bajaye Verbally Aur Visually Khud Se Present Karein.

Is Mein Yeh Describe Karna Shaamil Ho Sakta Hai Ke Aap Ne Kisi Dost Se Kya Seekha, Note Lena, Ya Mind Map Tayyar Karna. Aik Se Ziyada Tareeqon Se Seekh Kar, Aap Apne Mind Mein Knowledge Ko Mazeed Strong Kar Sakte Hain.

شیئر

جواب لکھیں