Agar 2022 Ko Hum Artificial Intelligence Ka Saal Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Isi Saal Dall-E 2 Launch Hua, Phir Midjourney, Stable Diffusion 2 Aur Phir ChatGPT Aaey, Aur Aatay Hi Chha Gaey. Ab Dunya Hairan Bhi Hay, Aur Sath Hi Pareshan Bhi. Especially Big Tech Companies.

Rising AI, Falling Big Tech

Top 10 Tech Giants Ko Dekhain To 2022 Mein Un Ki Daulat Mein 40 Percent Kami Aai Hay. Meta, Jo Kabhi Silicon Valley Ka Bay-Taaj Badshah Tha, 2022 Mein Us Ki Value 70 Percent Down Hui Hay. Data Privacy Par Tanqeed, Regulatory Issues Par Cases Aur Sab Say Barh Kar Bad Economic Conditions Nay Meta Jaisi Big Tech Companies Ka Haal Kharab Kardia Hay.

Laikin Is Ka Matlab Ye Bilkul Nahi Ke Technology Ka Future Dark Hay. Is Waqt Jitna Scope Is Sector Mein Hay, Shayad Pehlay Kabhi Nahi Tha. Kyunke Ab Artificial Intelligence (AI) Aa Chuki Hay.

Big Tech Ko Decisive Blow?

Raftar Bharne Do

Artificial Intelligence Nay Bhi Big Tech Companies Ko Decisive Blow Lagaya Hay, Google Hath Pair Marta Nazar Aa Raha Hay. ChatGPT Kay Aanay Kay Baad google management "Code red" issue kar chuki hay, Kyunke as a search engine us Ka future mushkil main Parr Chuka hay.

Ab google main aI strategy par high profile meetings ho rahi hain, aur wo bhi apni AI prototypes aur products lanay ka kaam tez kar raha hay. especially dall-E aur midJourney jaisi art aur graphics bananay wali Technology kay muqablay par, jo is waqt market par chhai hui hain. phir google ka chatbot LaMDA (language model for dialogue applications) bhi jald launch ho sakta hay, google itni jaldi launching mein reluctant zarur hay, laikin us kay paas doosra koi raasta nahi hay.

itni jaldi kyun?

aakhir google ko itna khatra kyun hay? Kyunke chatGPT hay 'seedhi baat no bakwas', wo deta hay sawal ka fori aur behtareen jawab, to kaun google kay diay gaey laakhon links mein kai websites talash karta phiray?

laikin is 'Finding a straw in a haystack' yani bhoosay kay dher mein tinkay ki talash say Hi google kamata hay. google kay link with ads nay isay 2021 mein 208 billion dollars kama kar diay, yani total revenue ka 81%. to jab pait par laat parray gi to desparate steps to uthain gay Na.

chatGPT is waqt chappar pharr chal raha hay. sirf 5 dinon mein is kay 1 million users ho gaey. wo aisa kaam kar raha hay jo google kabhi nahi kar sakta. jaisa ke essay likhna, coding karna, yahan tak ke wo to therapist bhi bana hua hay.

Aik Naya Daur

Raftar Bharne Do

To hum keh saktay hain ke Ab Aik Naey Daur Ka Aghaz Hay. Artificial Intelligence Startups Ko Aisi new Opportunities Day Raha hay, Jo Unhain Pehlay Haasil Nahi Theen.

Ab unhain Business Automate Karna ho ya usay Aagay Barhnay Mein Madad Darkaar Ho, Sab Kamon Kay Liay Artificial Intelligence Say Kaam Lia Ja Raha Hay. Chatbots Buhat Tezi Say Virtual Assistant Ka Kaam Sanbhal Rahay Hain. laikin jahan oppurtunities hain, waheen khatray bhi hain. Post-Pandemic Era Mein, Jab Dunya Aik Recession Kay Qareeb Khari Hay, Aisi Technologies Ka Aana Bay-Rozgari Barhanay Ka Sabab Ban Raha Hay.

Haan! Kuch Arsay Machine Learning Mein Investment Zarur Hogi, Wahan Opportunities Aayen Gi, Laikin Jo Fields Artificial Intelligence Say Muta’sir Hongi, Un Ka Kya Hoga? Ye Aanay Wala Waqt Hi Bataey Ga.

شیئر

جواب لکھیں