Artificial Intelligence Ki Hype To Ab Har Taraf Hay. Last Few Months Mein Kuch AI Tools Nay To Tehelka Macha Dia Hay. Text-To-Image Say Lay Kar Portrait Bananay Aur Ab Latest Writing Bot ChatGPT Tak, Jo Har Sawal Ka Jawab Day Sakta Hay.
Aik Content Writer Honay Kay Bawujood Hamain Ye Kehna Paray Ga Ke ChatGPT Aik Mind-Blowing Tool Hay, Aisa Tool Jisay Dekh Kar Apni Job Khatray Mein Parti Nazar Aa Rahi Hay.
Khair, Buhat Say Log Aisay Hain Jo ChatGPT Isteymal To Kar Rahay Hain, Laikin Jantay Nahi Ke Isay Kis Kaam Mein Laya Ja Sakta Hay, Aur Is Say Kis Tarah Zyada Say Zyada Faida Uthaya Ja Sakta Hay. Aayen Aap Ko Kuch ChatGPT Examples Dikhatay Hain:
1. New Ideas
Agar Aap Blogs Kay Liay Content Creation Kartay Hain To Kabhi Kabhi Fresh Aur Dilchasp Content Lana Buhat Challenging Ho Jata Hay.
Laikin Aap ChatGPT Ko Keh Stay Hain Ke Wo Aap Ko Kisi Khaas Subject Par New Ideas Day. Maslan, Aap Usay Kahain Ke “Give Me Ideas For Some Articles On Artificial Intelligence.”
Aur Sab Say Important Baat, Jo Bhi Jawab Milay Usay Review Zaroor Karain. 'Trust, But Verify' Par Jitna Amal Karna ChatGPT Par Zaruri Hay, Shayad Kaheen Nahi Hoga. Ye Creative Kaam Kay Liay Aik Acha Start Zarur Hay, Is Liay Isay Basline Banayen, Aur Dimagh Apna Larrayen!
2. First Draft
Aap Ko Climate Change Par Kuch Likhna Hay Aur Waqt Bilkul Nahi. To ChatGPT Par Jayen Aur Bus Ye Keh Dain: “Write A Blog Post About Climate Change.” Phir Dekhain Jadu!
Ye Final Blog To Nahi Hoga Laikin Aik First Draft To Aap Kay Samnay Aa Hi Jaey Ga. Isay Baseline Kay Taur Par Use Karain Aur Apni Expertise Ka Isteymal Kartay Huay Aik Achi Blog Post Bana Dain.
3. Content Title
Ye ChatGPT Ka Buhat Barra Aur Important Kaam Hay. Acha Title Banana Content Kay Liay Buhat Zaruri Hota Hay. Aap Nay Aik Mazaydaar Video Banai, Laikin Us Ka Title Aisa Nahi Kay User Ko Attract Karay To Usay Koi Nahi Dekhay Ga.
To ChatGPT Say Kahain Ko Wo Aap Kay Video Topic Par 5 Titles Bana Day. Phir Chahay Aap Exact Wohi Title Isteymal Na Bhi Karain To Aik Idea Zaroor Mil Jaey Ga.
4. Research Mein Madad
Research Kay Liay Google Aur Wikipedia To Bunyadi Source Thay Hi, Laikin Ab In Kay Sath ChatGPT Jaisay Behtareen Tool Ka Izafa Bhi Ho Chuka Hay. Chahay Isay Research Tool Kay Taur Par Use Karain Ya Apni Research Kay Liay Questions Par, ChatGPT Research Work Kay Liay Aik Zabardast Tool Hay.
Maslan Aap ChatGPT Say Pooch Saktay Hain Ke Football History Par Research Kartay Huay Mujhay Kaun Say Sawaal Poochnay Chahiyen?
Phir Un Sawalon Ko Apna Starting Point Banaey Aur Research Start Kardain.
5. Content Ko Short Karna
Hum Kyunke Website Aur Facebook Jaisay Platforms Par Likhtay Hain, Is Liay Jab Yahan Kay Content Ko Twitter, Instagram Aur Linkedin Par Share Karna Parta Hay To Phans Jatay Hain Ke Itni Bari Baat Itnay Kam Alfaaz Mein Kaisay Karain? To ChatGPT Hay Na!
Aap Isay Apnay Aik Do Paragraphs Dain Aur Kahain Ke Isay Short Karday. Lain Jee Aladin Ka Jin Hazir Hay Aur Seconds Mein Ye Kaam Ho Jaey Ga. Isay Bhi Apni Post Ki Baseline Banayen Aur Kuch Retouching Kar Kay Share Kardain.
ChatGPT Say Buhat Say Log Darr Rahay Hain, Unhain Lagta Hay Ke Ye Hamari Jobs Kha Jaey Ga. Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke ChatGPT Aap Ka Behtareen Sathi Ban Sakta Hay, Agar Aap Is Ka Best Use Seekh Jayen.
Waisay Aap Is Say Kya Kaam Lain Gay? Hamain Zaroor Batayen, Ho Sakta Hay Aap Ka Creative Idea Click Kar Jaey!