Dunya Tezi Say Badal Rahi Hay. Sirf Computer Aur Mobile Technology Mein Aanay Wali Changes Hi Dekh Lain, Aap Ko Andaza Ho Jaey Ga Ke Kitna Bara Inqilab Hay Jo Hamari Nazron Kay Samnay Aa Raha Hay, Balkay Aa Chuka Hay.

Abhi Zyada Time Nahi Guzra Ke Hamaray Hathon Mein Bhari-Bharkam, Green Screen Walay Aur Buttons Say Chalnay Walay Mobiles Hotay Thay, Jin Mein Calls Kay Ilawa Hamari Wahid Dilchaspi Snake Game Mein Hoti Thi. Aur Aaj? Aaj To Ye Pocket Phones Personal Computers Say Bhi Zyada Powerful Ho Chukay Hain.

Is Century Mein Computer Buhat Tezi Say Tabdeel Hua Hay, Zyada Tez, Zyada Intelligent, Laikin Utna Hi Portable. Ab To Ye Hamari Zindagi Ka Aik Important Hissa Ban Chuka Hay.

Laikin Kya Aap Jantay Hain Ke Shuru Say Scientists Ka Goal Aik Hi Tha: Aisi Machine Banana Jo Insaan Jitni Hoshiyar Aur Aqalmand Ho, Yani Artifically Intelligent Ho. 1950 Mein Claude Shannon Nay Aik Remote Controlled Mouse ‘Theseus’ Banaya Tha, Jo Bhool-Bhulaiyon (Labyrinth) Mein Apna Raasta Dhoond Sakta Tha Aur Usay Yaad Bhi Rakhta Tha.

Aaj Ka Computer To Is Say Kaheen Zyada Intelligent Hay. Artificially Intelligent Systems Ki Language Aur Speech Recognition Ability Buhat Tezi Say Barh Rahi Hay. Handwriting Samajhni Ho Ya Kisi Ki Boli, Artificial Intelligence Ab Insaan Ko Bhi Peechay Chhor Rahi Hay.

Artificial Intelligence Ki Tareekh

Ye Dekhain, Is Chart Mein Insaan Ki Salahiyat Ko 0 Samjha Gaya Hay Aur Dekhain Ke Computer Kis Tarah Kuch Hi Arsay Mein Is Tak Puhanch Chuka Hay. Chahay Baat Handwriting Pechan’nay Ki Ho, Speech Ya Image Recognition Ki, Reading Comprehension Ho Ya Language Understanding. Har Lihaz Say Ab Artificial Intelligence Insaan Say Tez Ho Chuki Hay Aur Usay Har Test Mein Haraa Sakti Hay.

Aaj Aap Ka Phone Tak Aap Kay Photos Ko Samajh Kar Unhain Khud Categorize Kar Sakta Hay Aur Speech Recognition Aap Ki Instructions Par Amal Kar Sakti Hay.

Baat Ab Sirf Image Recognition Tak Nahi Rahi, Balkay Image Generation Tak Ja Puhanchi Hay. Text-To-Image Generation Nay To Sab Kuch Mumkin Kar Dia Hay. Bus Aap Kuch Alfaaz Likhain, Ye Aap Kay Diay Gaey Text Say Aik Tasveer Samnay Lay Aaey Ga, Sirf Kuch Seconds Mein. DALL-E Aur Midjourney Ye Kaam Kar Rahay Hain Aur Kamaal Kar Rahay Hain.

Artificial Intelligence Ki Tareekh

Speech Recognition Ka Andaza Lagana Hay To Google Hi Ko Dekh Lain. Aap Jo Bhi Bolain, Kya Angrezi Aur Kya Urdu, Jo Bhi Kahain Gay Ye Samajh Lay Ga, Aur Jo Output Aap Ko Chahiye Wo Samnay Lay Aaey Ga. Emails Ka Jawab, Kisi Zaban Ki Translation, Videos Ko Automatically Transcribe Karna Aur Buhat Kuch.

Bas Ye Lambay Aur Complex Text Nahi Likh Sakta. Maslan Novel Likha. Laikin Jis Tarah AI Aagay Barh Raha Hay, Wo Din Dor Nahi Jo Aisa Bhi Ho Jaey Ga. Phir Jis Tarah AI Say Banay Aik Artwork Nay Inaami Muqabla Jeet Lia Tha, Ho Sakta Hay Jald Hi Kisi Robot Ka Likha Hua Novel Bestseller Ban Jaey?

Artificial Intelligence Ki Tareekh
USA Mein Fine-Art Competition Mein No. 1 Par Aanay Wala Artwork

Aur Ye Sab Kuch Hamari Aankhon Kay Samnay Ho Raha Hay. Jo Pehlay Sirf Science Fiction Tha, Ab Haqeeqat Ban Chuka Hay. Ye Wo Technology Hay Jo Hum Sab Ko Muta’sir Karay Gi. Aik Taraf Jo Kaam Hum Bari Mushkil Say Kia Kartay Thay, Ab Buhat Aasani Say Hoga, Aur Dusri Janib Ye Ke Hamari Naukri Bhi Ja Sakti Hay, Jis Kaam Ki Hamain Salary Milti Thi, Ab Wo Koi Robot Kar Raha Hoga.

شیئر

جواب لکھیں