Pakistan Ab Bhi Zinda Hay. T20 World Cup Main Ab Bhi Pakistan Ka Aik ‘Thorra’ Sa Chance Baqi Hay. South Africa Kay Against Aik Zabardast Kamyabi Main Mohammad Haris Ka Dia Gaya Initial Momentum, Us Kay Baad Iftikhar Ahmed Aur Shadab Khan Ki Shandar Fifties Kaam Aaen. Bowling Main Shaheen Afridi Tak Chal Parray, Mohammad Waseem Ki Nailed Yorkers Aur Shadab Khan Ki Googlies Nay Bhi Kamal Dikhaya. Aaj Sab Kuchh Tha, Nahi Thi To Babar Azam Ki Performance Nahi Thi.

Babar Azam Sirf Aaj Nahi Balkay Poooray World Cup Mein Nakaam Hi Rahay Hain. India Ke Khilaaf Most Important Match Mein Woh 0 Par Out Hue. Phir Zimbabwe Aur Netherlands Jaisay Kamzor Opponents Ke Against Bhi 4,4 Runs Hi Bana Sakay.

Babar Ki Form Ka Ye Masla Bohat Mushkil Karnay Wala Hai. Isi Ki Wajah Se Woh T20 Ranking Mein Apni Number One Position Bhi Kho Bethay. Asia Cup Mein Nakami Ke Baad England Ke Khilaaf 1,2 Achi Innings Zaroor Theen. Phir Jab New Zealand Tri-Series Mein 2 Matches Mein 76 Aur 55 Runs Banaey To Hamein Barri Umeed Ho Gayi Thi Ke ‘Captain’ World Cup Mein Chalein Gay. Lekin Saari Umeedon Par Pani Phir Gaya.

Babar Azam Ki Last 10 T20i Innings

RunsBalls4s6sVs.Date
4410Raftar Bharne Do ENG2 Oct 2022
222540Raftar Bharne Do BAN7 Oct 2022
79*53110Raftar Bharne Do NZ8 Oct 2022
212330Raftar Bharne Do NZ11 Oct 2022
554090Raftar Bharne Do BAN13 Oct 2022
151430Raftar Bharne Do NZ14 Oct 2022
0100Raftar Bharne Do IND23 Oct 2022
4910Raftar Bharne Do ZIM27 Oct 2022
4510Raftar Bharne Do NED30 Oct 2022
61500Raftar Bharne Do SA3 Nov 2022

Lagta Hai India Ke Khilaaf Match Mein Duck Ke Baad Babar Azam Ka Confidence Shatter Ho Gaya. Woh Phir Kisi Team Ke Khilaaf Nahi Chal Sakay. Zimbabwe Ke Against Pakistan Ki Shikast Ki Bunyaad Bhi Unhi Ke Out Honay Se Parri Thi. Pakistan Nay Tournament Ki Pehli Kamyabi Netherlands Ke Against Haasil Ki, Lekin Babar Ka Hissa Is Mein Bhi Kuch Nahi Tha.

Ab South Africa Ke Against Pakistan Ki Itni Shandaar Jeet Thi, Lekin Babar Azam Ne Kheli 15 Balls Par Sirf 6 Runs Ki Disappointing Innings. Woh Taqreeban Adhay Ghantay Tak Maidan Mein Mojood Rahay Lekin Kar Kuch Nahi Sakay.

Saal 2022 Babar Azam Ke Liye On-Off Raha Hai. 23 Matches Mein 31.25 Ke Average Se 625 Runs, Aur Strike Rate Bhi Kuch Khaas Nahi, Sirf 126. 77. Ab To Sab Keh Rahay Hain “When Will This Pass?”

Babar Azam Aur Saal 2022

In T20 Internationals

Inns.RunsHSAve.SR10050
23625110*31.25126.7714
شیئر

جواب لکھیں