Pakistan Ki Cricket History Main Buhat Say Umpires Aaey, Kuch Nay Apna Naam Banaya To Koi Kuch Arsay Main Hi Pas-E-Manzar Main Chala Gaya. Javed Akhtar Say Lai Ker Shakoor Rana Tak Aur Asad Rauf Say Lai Ker Mohammad Nazir Tak, In Sab Umpires Nay International Cricket Main Bhi Umpiring Kay Faraiz Anjam Diye. Laikin Jo Place Umpire Aleem Dar Ko Hasil Hua, Woh Pakistan Kay Kisi Umpire Kay Hissay Main Nahi Aaya. Unhon Nay International Cricket Main Apnay Decisions Say Aik Arsay Tak Izzat Kamai. Laikin Ab Youn Lag Raha Hay Kay Un Ka "Waqt" Poora Ho Chuka Hay.

Pakistan Balke Dunya Kay Best Umpire Rehnay Walay Aleem Dar Ab Career Kay Low Point Par Hay. Aik Zamanay Main Un Kay Kisi Decision Ko Challenge Karna Aasaan Nahi Tha. Bazahir Na-Mumkin Honay Walay Decisions Main Bhi Woh Kamal Maharat Say Right Decision Detay.

Thora Peechay Chaltay Hain, Aleem Dar Umpiring Say Pehlay First Class Cricketer Bhi Rahay Hain. Unhonay 1986 Say 1998 Tak Domestic Cricket Kheli. 30 Saal Ki Age Main Cricket Say Retire Huay Aur Umpiring Ki Taraf Agaey Aur Youn 53 Saal Kay Aleem 22 Saal Say International Umpire Hain.

ICC Panel Main Entry

Aleem Dar Nai February 2000 Main Pakistan Aur Sri Lanka Kay One Day International Match Say International Umpiring Career Ka Debut Kiya. 2002 Main Woh ICC International Panel Of Umpires Main Shamil Kiye Gaey. April 2004 Main Un Ko Elite Panel Of ICC Umpires Main Shamil Kiya Gaya. Aleem Dar ICC Umpire Of The Year Award 2005 Aur 2006 Main Hasil Karnay Main Kamiyab Rahay. Unhon Nay ICC Best Umpire 2009, 2010 Aur 2011 Ka Award Bhi Apnay Naam Kiay.

Aleem Dar Ka Career

Aleem Dar Ab Tak 167 Test Matches Main 141 On Field Aur 26 Matches Main TV Umpire Ki Responsibility Ada Ki Hay. Woh 285 ODI Main Say 219 Matches Main On Field Aur 66 Main TV Umpire Reh Chukay Hain. 85 T20 International Matches Main 69 Main On Field Aur 16 Main Tv Umpire Rahay Hain.

Aleem Dar Kay Decisions, Overturn!

Ab Masla Yeh Hay Kay Aleem Kay Decisions Main Wo Baat Nahi Rahi Jis Kay Liye Who Famous Thay. Woh Unbiased Aur Fair Umpire To Hain Magar Ab Un Kay Decisions Overturn Hona Shuru Ho Gaey Hain. LBW Kay Mamlay Main Aleem Ko Challenge Karna Aasan Nahi Tha Magar Ab Yeh Baat Nahi Rahi. Once Aleem Dar Kay Decisions Spot On Aur Irreversible Thay, Magar Ab Un Kay Standard Ki Umpiring Aik Saal Say Down Hoti Jarahi Hai.

Pakistan Aur New Zealand Kay Darmiyan 1st Test Match Main, Pakistan Ki Batting Kay Doran Aleem Nay Captain Babar Azam Ko LBW Out Dai Dia. Babar Nay Review Liye Aur DRS Main Yeh Clear Hogaya Kay Ball Stumps Ko Clearly Miss Kar Rahi Thi.

New Zealand Ki Jab Batting Ai, Nauman Ali Ki Ball Per Devon Conway LBW Thay. Pakistan Kay Bowlers Nay Appeal Ki Magar Aleem Dar Nay Out Nahi Diya. Pakistan Nay Review Liye Aur Decision Pakistan Kay Haq Main Agaya.

New Zealand Kay Batter Tom Blundell Jab LBW Hoay To Unhonay Review Nahi Liya. Baad Mai Slow Motion Main Pata Chala Kay Faint Edge Hua Tha Magar Aleem Dar Is Ko Judge Na Ker Sakay.

Is Say Phelay England Kai Against Test Series Main Debut Kernay Walay Abrar Ahmed Ki Bowling Per, Pehlay 2 Decisions Par Aleem Dar Nay Batter Ko Out Nahi Dia Tha Magar DRS Per Woh Review Lenay Kay Baad Decision Over Turn Hoay Thay. Is Innings Main Bhi Aleem Dar Kay Total 3 Decisions Over Turn Hoay Thay.

Phir Pakistan Ki 2nd Innings Main Jab Saud Shakeel 94 Kay Score Per Batting Ker Rahay Thay To Mark Wood Ki Leg Side Say Bahar Jati Ball Per Wicket Keeper Kay Hathon Catch Out Diay Gaey. Umpire Aleem Dar Nay Leg Umpire Marais Erasmus Say Discuss Kiya Aur Third Umpire Joel Wilson Say Consult Kiya. Aleem Dar Nay Out Ka Soft Signal Dia. Is Liye TV Umpire Nay Replay Dekhnay Kay Baad Bhi Out Hi Qaraar Diya.

Replay Main Dekha Jasakta Tha Kay Wicket Keeper Kay Gloves Main Jatay Huay Ball Ground Say Bhi Touch Hui Thi. Laikin Aleem Dar Ka Soft Signal Saud Shakeel, Aur Pakistan Ko Bhi, Buhat Mehnga Par Gaya.

Aik Zamana Tha Kay Aleem Dar Hawk Eye Ko Shikast Dai Detay Thay. Un Kay Fans Lakhon Mai Thay Magar Ab Un Par Bhi Ungli Uth Rahi Hay. “Once Upon A Time” Wo Dunya Kay Best Umpire They, Laikin Aik Kay Baad Doosra Decision Overturn Honay Say Un Ki Credibility Par Question Mark Lag Gaya Hay.

Shayad Waqt Aa Chuka Hay Ke Aleem Dar Apnay Career Ka Sochain. Is Say Pehlay Ke ICC Khud Aleem Dar Ko “Out” Kar Day.

شیئر

جواب لکھیں