Aap Kay Nazdeek Kisi Kamyab Insaan Ki Kia Pehchan Ya Definition Hoti Hay? Jo Bhi Ho, Laikin Ye Baat Tay Hay Ke Aik Kamyab Insaan Doosron Say Zara Mukhtalif Hota Hay Aur Hamesha Khoob Say Khoob-Tar Ki Jusutju Mein Rehtan Hay. Aayen Aaj Is Raaz Say Parda Uthatay Ke Aakhir Wo Kaun Si Baatein Hain Jo In Successful People Mein Common Hoti Hain.
Writing
Aap Kisi Bhi Baat Ko Gehrai Mein Sochna Aur Samajhna Chahtay Hain To Writing Is The Key. Koi Choti Moti Presentation, Youtube Video Ya Podcast Dekh Ya Sun Kar Hum Khud Ko Us Subject Ka Master Samajhnay Lag Jatay Hain, Laikin Jab Us Baat Ko Explain, Especially Write, Karnay Ka Kaha Jata Hay To Pareshan Ho Jatay Hain. Kyun? Kyunke Ye Kaam Aasan Nahi.
Is Liay Successful Log Likhtay Hain, Us Say Seekhtay Hain Aur Ye Baat To Aap Jantay Hi Hain Ke Jitna Aap Seekhain Gay, Utni Hi Mustaqbil Kay Liay Behtar Tayaar Ho Sakain Gay.
Public Speaking
aap ki one-on-one communication zaruri hay, aap shayad kar bhi laitay hon, laikin public speaking aik alag hi game hay. chahay aap kay ideas kitnay hi shandaar hon, laikin unhain present karnay ki skill achi na ho to Aap Kay Liay Aik Kamyab Insan Ban'na mushkil ho Jaey Ga.
Successful People Ki Hamesha Yehi Koshish Hoti Hay Kay Woh Presentation, Speaking Aur Ideas Sharing Per Command Hasil Karain.
Problem Solving
Aik aam insaan ko opportunities mein problems nazar aatay hain, laikin aik Kamyab Insaan Har Problem Main Opportunities Dekhta Hay. un ki zabardast skill hoti hay aik na-mumkin problem ko chhotay chhotay tasks mein divide karna aur youn unhain khatam karna.
Dil Bara Hona
log ye yaad nahi rakhtay ke aap nay kya kaha, ya aap kya kartay hain? haan! wo yaad rakhtay hain aap ki waja say unhain kaisa feel hua. yani crucial haalat mein aap ka behaviour log hamesha yaad Rakhtay Hain.
Successful Log dil bara rakhtay hain, sakhi hotay hain aur is Usool par hamesha Amal Kartay Hain.
Baat Karna
ye bhala kya baat hui? baatein to hum kartay hi rehtay hain, balke baatein banatay bhi hain. nahi! hum baat kar rahay hain baat cheet ki, har cheez par muzakraat ki. kyunke baat karain gay to baat banay gi.
ye kamyab logon ki aik bari skill hay ke wo mushkil say mushkil situation ka solution bhi baat say nikaaltay hain. wo kisi bhi situation ko face karnay say ghabratay nahi, Kyunke Apnay Khan Sahib To Buhat Pehlay Keh Gaey Ke "Aap Nay Ghabrana Nahi!"
Ego Check
Successful Insaan Hamesha Kuch Na Kuch Seekhta Rehta Hay. Jabke Aik Aaam Insaan Ko Us Ki Ego Aagay Barhnay Nahi Deti. Wo Kuch Naya Sekhnay Ya Kisi Kay Experiences Say Kuch Hasil Karnay Ko Ghair-Zarori Samajhtay Hain.
Doosron Ki Baton Say Experience Hasil Karna Aur Field Of Interest Kay Mutabiq Kuch Naya Karnay Ka Jazba Hamesha Successful Insan Ko Agay Lay Jata Hay. Is Kay Liay Wo Apni Ego Ko Aik Taraf Rakhtay Hain Aur Seekhnay Kay Liay Tayar Rehtay Hain.
Emotional Intelligence
Kisi Say Baat Kartay Huay Aap Kay Alfaz Ka Intikhab Aap Ki Zahanat Ko Sabit Karta Hay. Is Liay Aap Ko Pata Hona Chahiye Ke Samnay Walay Say Kis Tarah Aur Kaun Si Baat Karni Hai.
Smart Aur Successful People Kam Waqt Main Aur Aasan Alfaz Main Baat Karnay Ka Art Jaantay Hain. Woh Apnay Ooper Command Rakhtay Huay To-The-Point Aur Valid Baat Karnay Kay Aadi Hotay Hain, Jin Say Un Ki Soberness Aur Authenticity Barh Jati Hai.