Books Aur Insaan Ka Talluq Bohat Purana Hay. Duniya Ke Har Mazhab, Har Mulk, Har Qaum Main Kitab Ko Aik Khususi Hesiyat Hasil Hay. Kyunkay Book Aisa Zariya Hay Jo Hamen Jeeney Ke Dhang Sikhati Hay, Hamara Hosla Barhati Hay Aur Aagay Barhnay Ke Rastay Dikhati Hay. Waqt Badalny Se Kitab Ki Surat Zaroor Badal Gayi Hay Magar Zarurat Kam Nahi Hui. Ye Baat Ab Scientific Tehqeeq Se Bhi Saabit Ho Gayi Hay Ke Suni Aur Dekhi Hui Cheez Ke Muqablay Main Parhi Hui Cheez Hafzay Mein Ziyada Arsay Tak Mehfooz Rehti Hai.
Lekin Aham Sawal Ye Hota Hay Ke Kaun Si Book Parhi Jaye? Jis Terhan Allam Ghallam Cheezen Khanay Se Hazma Kharab Ho Jata Hay Isi Tarha Fuzool Kitaben Parhnay Se Dimagh Bhi Kharab Ho Jata Hay. Is Liye Behtar Hota Hay Ke Is Silsilay Main Un Logon Ki Raye Aur Review Se Rahnumai Li Jaye Jo Bohat Ziyada Kitaben Parhtay Hain.
Bill Gates, Warren Buffet Samait Duniya Ke Kayi Kamyaab Business Men Kitabon Ke Bohat Shauqeen Hain Aur Apni Is Aadat Ka Fakhariya Izhaar Kartay Hain. Un Ka Kehna Hay Ke Ye Aisi Habit Hai Jo Creativity Ko Spark Karti Hay Aur Duniya Ke Mutaliq Aap Ki Understanding Ko Broad Karti Hai. In Barray Logon Ki Suggested Kitabon Mein Yeh 5 Inspirational Books Shamil Hain. Inhen Aap Apni Reading List Mein Zaroor Rakhen.
The Inner Game Of Tennis: The Classic Guide To The Mental Side Of Peak Performance
By W. Timothy Gallwey
Recommended By Bill Gates
Bill Gates Ke Mutabiq ‘1974 Ke Ye Book Aik Behtreen Guide Hay Ke Aap Kese Apnay Rastay Ki Khud Rukawat Bannay Se Bach Saktay Hain.’ Apnay Blog Gatesnotes Main Is Kitab Ke Mutaliq Bill Gates Ne Likha Hay Ke Wo Isay Kai Baar Parh Chukay Hain.
Kitab Ke Writer Timothy Gallwey Aik Successful Coach Hain. Unhon Neo Is Kitab Main “Inner Game” Ki Importance Ko Explain Kiya Hay. Gallwey Ke Mutabiq “Lapses In Concentration, Nervousness, Self-Doubt, Aur Self-Condemnation Jesi Habits Aap Ki Excellence Ko Rok Deti Hain, In Per Overcome Karnay Ke Liye “Inner Game” Main Mahir Hona Zaruri Hota Hay.
Bill Gates Likhtay Hain Ke Gallwey Ki Insights Se Un Ko Microsoft Main Apnay Career Main Bohat Madad Mili. Hum Akasr Self-Criticism Ka Shikar Ho Jatay Hain Jo Hamari Performance Ko Effect Karti Hay. Hamain Apni Mistakes Se Overwhelmed Nahi Hona Chahiye Bulkay Un Se Seekhna Chahiye. Is Tarah Performance Main Behtri Aati Hay.
The Outsiders: Eight Unconventional CEOs And Their Radically Rational Blueprint For Success’
By William N. Thorndike
Recommended By Warren Buffett
Private Equity Firm Housatonic Partners Ke Co-Founder Aur Managing Director William N. Thorndike Ne Is Kitab Main 8 CEOs Ke Career Path Ko Analyze Kiya Hay. In CEOs Ne Management Main Aik Bilkul Alag Approach Rakhi Jis Ki Wajah Se Un Ki Companies Ko Success Hasil Hui.
In Companies Main General Cinema, Ralston Purina, Berkshire Hathaway, General Dynamics Aur Capital Cities Broadcasting Shamil Hain.
Warren Buffet Ne 2012 Main Letter To Shareholders Main Likha Tha Ke Ye Capital Allocation Main Excellence Ka Muzahira Karnay Walay Ceos Ke Mutalliq Aik Shandar Kitab Hay.
Conflicted: How Productive Disagreements Lead To Better Outcomes
By Ian Leslie
Recommended By Adam Grant
“Conflicted,” Main British Journalist Ian Leslie Shandar Tareeqay Batati Hain Ke Hum Logon Se Kis Tarah Productively Disagree Kar Saktay Hain. Ye World Ke Kuch Best Hostage Negotiators, Divorce Mediators, Diplomats, Therapists Aur Police Negotiators Ki Advices Per Mushtamil Hay. Adam Grant Ne Apni Linkedin Post Main Likha Ke “Ye Book Sikhati Hay Ke Hum Kese Behtar Communicate Kar Saktay Hain Aur Common Ground Dhoond Saktay Hain”
Is Book Ke Har Chapter Main Tips Di Gai Hain Ke Kis Tarah Workplace Ya Ghar Main Aik Tense Argument Ko Re-Farme Kiya Ja Sakta Hay Aur Usko Creativity, Communication Aur Connection Ki Opportunity Main Badla Ja Sakta Hay. Grant Ke Kehna Hay Ke Ye Aik Behterrn Book Hay Jo Zindagi Ke Conflicts Solve Karnay Ka Tariqa Batati Hay.”
‘The Power Of Starting Something Stupid’
By Richie Norton
Recommended By Brené Brown
Is Book Ke Author Richie Norton Ke Mutabiq Success Ka Secret Kabhi Kabhi Aiasay Kaam Karnay Main Bhi Hota Hay Jin Ko Dusray Stupid Samjhtay Hain. Un Ka Kehna Hay Ke “Stupid New Smart”. Wo Is Word Ko Redefine Kartay Huay Aisi Ability Qarar Detay Hain Jo Self-Doubt Ko Overcome Kar Kay Career Main Risk Lenay Ka Hosla Deti Hay.
Brené Brown Ne Apni Website Per Likha Ke Ye Book Career Main Unstuck Honay Ke Real Solution Provide Karti Hay.
“The Power Of Starting Something Stupid” Readers Ko Sikhati Hay Ke Wo Kese Apnay Dreams Ko Sach Kar Saktay Hain. Is Main Time Ya Paisay Ki Kami Ki Rukawat Ko Dur Karnay, Brave Bannay Aur Network Banay Ke Liye Step-By-Step Guide Di Gayi Hay.
‘How To Win Friends And Influence People’
By Dale Carnegie
Recommended By Barbara Corcoran
Dale Carnegie Ki Tamam Books Classic Shumar Hoti Hain. Magar 1936 Main Pehli Baar Publish Honay Wali Ye Book Sab Se Famous Aur All Time Bestselling Business Book Hay.
Barbara Corcoran Aksar Ye Book Parhnay Ki Advice Deti Hain. 2018 Main Unhon Ne Aik Tweet Main Likha Ke Business Karnay Walay Har Shaksh Ko Ye Kitab Parhni Chahiye.
Dale Carnegie Ko Self-Improvement Genre Ke Pioneer Main Shumar Kiya Jata Hay. Barbara Corcoran Ne Aik Interview Main Kaha Ke Logon Ki Skills Barhanay Aur Team Mates Ke Sath Helthy Aur Relationship Qaim Karnay Ke Liye Carnegie Ki Di Gayi Advices Ko Wo Khas Tor Per Pasand Karti Hain.
Un Ka Kehna Tha Ke Ye Aik Powerful Book Hay Jo Young People Ko Jeenay Ka Dhang Sikhati Hay.