Pakistan Main Aik Baar Phir Technocrat Government Ki Baatein Chal Rahi Hain. April 2022 Main PDM Ne Imran Khan Ko No Confidence Motion Ke Zariye Hataya. Shahbaz Shareef Wazir-e-Azam Tou Ban Gaye Lekin Na Mulk Main Political Stability Aayi Aur Na Economy Ki Haalat Behtar Hui. IMF Naye Loan Ke Liye Mazeed Sakht Conditions Laga Raha Hay. Foreign Exchange Reserves Roz Baroz Kam Hotay Jarahay Hain. Mulk Ke Default Honay Ki Baaten Bhi Ki Jarahi Hain.
Technocrat Government Se Kis Ko Faida Ho Ga?
Aik Taraf Imran Khan Hukoomat Par Siyasi Dabao Barha Rahay Hain Aur Naye Election Ka Mutalba Kar Rahay Hain To Doosri Taraf Economic Problems Hukoomat Ke Liye Sar Ka Dard Banay Huay Hain. Analysts Ke Mutabiq Imran Khan In Dinon Most Popular Leader Hain. Agar Election Aglay 3, 4 Mahinay Main Ho Jatay Hain To PTI Ke Dobarah Iqtidaar Main Anay Ka Wazeh Chance Hay. Udhar PDM Hukoomat Ne Pichlay 8 Mahinay Main Bijli, Petrol, Gas Ki Prices Aur Interest Rate Barha Kar Aisay Faislay Kiye Hain Jis Se Ittihadi Jamaten Khaas Tor Par PMLN Awam Main Mazeed Unpopular Hui Hay.
Aisay Main Mulk Main Do Dhai Saal Ke Liye Technocrat Government Qaim Karne Ke Liye Salah Mashwaray Ho Rahay Hain. Experts Ka Kehna Hai Ke Is Tajweez Ka Maqsad Ye Hay Ke Technocrat Government Wo Sakht Faislay Karay Jo PMLN Ki Sarkar Nahi Karna Chahti. Noon League Apni Hukoomat Janay Par Siyasi Shaheed Ban Jaye Gi Aur Party Se Naraaz Honay Walay Voter Dobarah Is Ke Sath Ajayeen Ge. Is Ke Sath Sath Imran Khan Ki Popularity Kam Ho Jaye Gi Aur Electibles Un Ka Sath Chorney Lagen Gay. Yahi Wajah Hai Ke PTI Chairman Imran Khan Ne Wazeh Tor Par Aisay Kisi Bhi Setup Ko Reject Kar Diya Hay. PTI Ke Deegar Rehnuma Bhi Aisi Tajweez Ki Sakht Mukhalfat Aur PDM Hukoomat Par Tanqeed Kar Rahay Hain.
Kiya Constitution Main Aisay Setup Ki Ijazat Hay?
Problem Ye Hay Ke Pakistan Ke Constitution Main Technocrat Government Ki Koi Gunjaish Nahi Hay. Assemblies Agar Dissolve Kar Di Jayen Tou Caretaker Hukoomat Qaim Hoti Hay Jo 3 Mahinay Main Election Karanay Ki Paband Hoti Hay. Is Nigaran Hukoomat Main Tou Technocrat Shamil Ho Saktay Hain Lekin Agar Long Term Setup Banana Hoga Tou Us Ke Liye Constitution Suspend Karkay Emergency Lagani Paray Gi. Is Ke Elawa Is Iqdaam Ko Supreme Court Se Bhi Endorse Karana Hoga. Kher Taaqat War Halqay Chahain To Pakistan Main Marshal Law Governments Ko Bhi Adalat Ki Janib Se Jawaz Mil Jata Hay.
Technocrat Hukoomat Hoti Kya Hay?
Technocracy Aik Aisa Tarz-e-Hukoomat Hay Jis Main Policy Makers Elect Honay Ke Bajaye Apni Expertise Aur Skills Ki Bunyaad Par Select Kiye Jatay Hain. Yeh System Awami Numaindagi Aur Jamhoriat Ke Bilkul Khilaaf Hay Is Liye Duniya Bhar Main Is Ki Mukhalfat Ki Jati Hay. Democracy Ka Basic Principle Hi Yahi Hay Ke Awam Ki Zindagion Se Mutaliq Faislay Karne Ka Haq Awam Ke Muntahib Kiye Huay Logon Hi Ko Hona Chahiye. Presidential System Main Aisa Hota Hay Ke Sadar Apni Cabinet Main Kisi Field Ke Expert Logon Ko Shamil Karta Hay. Lekin Is System Main Bhi Sadar Ko Elect Karne Walay Numainday Election Se Muntakhib Kiye Jatay Hain Aur Aik Parliament Hoti Hay Jahan Qanoon Saazi Aur Deegar Faislay Hotay Hain.
Kya Pakistan Main Kabhi Technocrat Hukoomat Rahi Hay?
Pakistan Ban'nay Ke Baad Quaid-e-Azam Mohammad Ali Jinnah Governor General Aur Liaquat Ali Khan Pehlay Wazir-e-Azam Banay. Liaquat Ali Khan To Qiyam-e-Pakistan Ki Siyasi Jad-o-Jehad Main Shamil Thay Aur Head OF Goverment Ban'nay Ka Haq Rakhtay Thay. Lekin Us Waqt Election Na Honay Ki Wajah Se Un Ki Cabinet Main Aisay Log Shaamil Thay Jinhen Technocrat Kaha Ja Sakta Hay. Un Main Civil Servant Malik Ghulam Mohammad Ka Naam Top Of The List Hay. Wo Mulk Ke Pehlay Finance Minister Banay. Yahi Ghulam Mohammad Pakistan Ke Teesray Governor General Banay. Unhon Ne Prime Minister Khwaja Nazimuddin Aur Un Ki Cabinet Ko Sack Karkay Mulk Main Siyasi Hukoomat Ke Qatal Ki Riwayat Dali. Is Ke Baad Unhon Ne Pakistan Ki Pehli Constituent Assembly Bhi Dissolve Ki Aur Aik Dictator Ke Tor Par Mulk Ko Chalaya.
Presidential System Aur Martial Law
Pakistan Ke Fourth Governor General Aur Pehlay Sadar Iskander Mirza Bhi Technocrat Thay. Unhon Ne Bhi Siyasi Hukoomaton Ke Takhtay Ulatnay Ki Riwayat Jari Rakhi. Unhee Ke Kehnay Par Ayub Khan Ne Mulk Main Marshal Law Lagaya. Ayub Khan Ke Gayarah Sala Iqtidaar Ko Bhi Kisi Had Tak Technocrat Setup Kaha Ja Sakta Hay. Ayub Khan Ne Mulk Main Basic Democracy Ka Nizaam Introduce Karaya Aur Mulk Ko Presidential System Ke Tehat Chalaya. Un Ki Cabinet Main Bhi Awam Ki Taqdeer Ke Faislay Karne Walay Awam Ke Muntakhib Numainday Nahi Thay.
Yahya Khan Ka 2 Sala Iqtidaar, General Zia ul Haq Ki 11 Sala Hukoomat Aur Pervez Musharraf Ka 10 Sala Daur Bhi Technocrat Setup Hi Thay, Jahan Bazahir Election Bhi Huay Magar Asal Hukmarani Fard-e-Wahid Ki Thi Aur Us Ki Cabinet Aur Advisors Main Technocrat Shamil Thay.
Duniya Main Kahan Kahan Technocrat Governments Raheen?
Russia Ki Sabiq Hukoomat Aur China Ke Government System Ko Bhi Technocracy Kaha Jata Hay Kyunkay Wahan Ki Hukoomat Main Ziyada Tar Professional Experts Hotay Hain. Magar Pakistan Main Jis Setup Ki Baat Ki Ja Rahi Hay Is Ki Sab Se Barri Misaal Bangladesh Hay.
Bangladesh Model
Bangladesh Main 2 Popular Parties Awami League Aur National Party (BNP) Hain. Awami League Ki Leader Sheikh Hasina Wajid Aur National Party Ki Chairperson Begum Khaleda Zia Hain. Un Dono Ki Hukoomaton Par Corruption Ke Allegation Lagey. 2006 Main Khaleda Zia Ki Hukoomat Khatam Honay Ke Baad Se Political Instability Peda Honay Lagi. January 2007 Main Bangladesh Main Corruption Aur Violence Ke Khatmay Ke Naam Par Military Establishment Aur Supreme Court Ne 2 Saal Ke Liye Technocrat Government Banai. World Bank Ke Aik Ex Official Syed Fakharuddin Ko America Se La Kar Mulk Ka Prime Minister Banaya Gaya. Non-Elected Wazir-e-Azam Ne Us Waqt Ke Army Cheif Moinuddin Ahmed Ko Extension Di. Fauj Ki Himayat Se Chalnay Wali Is Hukoomat Ke 2 Saal Main ‘Minus 2” Formulay Par Kaam Kya Gaya Lekin Decemeber 2008 Main Jab Election Huay To Awam Ne Hasina Wajid Aur Khaleda Zia Ki Parties Ko Hi Vote Diye. Sheikh Hasina Wajid Majority Se Prime Minister Muntakhib Ho Gaeen. Yun Bangladeshi Model Buri Tarha Nakami Ka Shikaar Hua.
Tunisia Ki Technocrat Government
Tunisia Main Revolution Ke Baad October 2011 Main General Election Huay. Ye 1956 Main Mulk Ki Azadi Ke Baad Pehlay Free Election Thay. Election Ke Baad Bhi Lekin Political Turmoil Aur Economic Crisis Barqarar Raha. Jis Ke Baad January 2014 Main Mehdi Jomaa Ko Interim Prime Minister Banaya Gaya. Unhon Ne Technocrat Government Banai Jis Ne October 2014 Main Election Karaye. Unhon Ne Feb 2015 Main Iqtidaar Nai Hukoomat Ko Saunp Diya. Un Ki Government Ko Kisi Had Tak Kamyaab Kaha Ja Sakta Hay.
Romania Ka Experience
Romania Main November 2015 Main Political Crisis Ke Baad Prime Minister Ne Resign Diya Tou President Ne Aik Technocrat Dacian Cioloș Ko Prime Minister Nominate Kya. Unhon Ne Apni Cabinet Main Saray Technocrat Shamil Kiye Jis Ki Parliament Ne Majority Se Manzoori Di. Unhon Ne Decemeber 2016 Main Naye Elections Kara diye Magar Political Stability Phir Bhi Nahi Aa saki. Guzishta 5 Saal Main Romania Main 8 Prime Ministers Tabdeel Ho Chukay Hain.
Pakistan Ke Siyasi Dhanchay Ko Dekhte Huay Kaha Ja Sakta Hay Ke Yahan Bhi Kisi Technocrat Setup Ki Kamyabi Ke Imkaan Nah Honay Ke Barabar Hay. Aur Agar Aisa Kya Gaya Tou Is Se Mulk Main Chaos Aur Uncertainty Barhnay Ka Khadsha Hay.