Pakistan Mein Runs Ki Ganga Beh Rahi Hay, Sub Haath Dho Rahay Thay Ke Kane Williamson Aaey Aur Poora Naha Liay. Karachi Test Mein “Kane Baba” Ki 200 Runs Ki Not Out Innings 2022 Mein Pakistan Mein Kisi Bhi Batsman Ki Pehli Double Hundred Hay. Hay To Ye Williamson Kay Career Ki 5th Test Double Century, Laikin Hay Buhat Special. Kaisay? Aayen Aap Ko Batatay Hain.

Sab Say Pehlay To Ye Pakistani Sarzameen Par New Zealand Kay Kisi Batsman Ki First Double Hundred Hay.

Williamson Say Pehlay Pakistan Mein 200+ Ki 33 Innings Kheli Ja Chuki Theen, Laikin Kabhi Koi New Zealand Ka Batsman Is Muqam Tak Nahi Puhancha Tha. Last Time Sri Lanka Kay Thilan Samaraweera Thay, Jinhon Nay Pakistan Mein 214 Runs Banaey Thay. Us Kay Baad Kisi Batsmen Ki Pakistan Mein First Double Hundred Yahi Kane Williamson Ki Hay.

Mulk Say Bahar, Pehli Baar

Phir Doosri Khaas Baat, Ye Williamson Ki Mulk Say Bahar First 200 Hay. Wo Is Say Pehlay 4 Double Centuries Bana Chukay Thay. Laikin Hamesha Aisi Innings Apnay Mulk Mein Hi Kheli. Pehli Baar Wo Kisi Doosray Mulk Mein Ye Karnama Karnay Mein Kamyab Huay Hain.

Kane Williamson Ki Double Centuries

RunsBF4s6sVSVenueDate
251412342Raftar Bharne Do WIHamiltonDec 2020
242*438180Raftar Bharne Do SLWellingtonJan 2015
238364280Raftar Bharne Do PAKChristchurchJan 2021
200*257190Raftar Bharne Do BANHamiltonFeb 2019
200*395211Raftar Bharne Do PAKKarachiDec 2022

Most Double Centuries

Phir Kane Williamson Ki Ye Innings Unhain Sab Say Zyada Double Centuries Bananay Wala Kiwi Batsman Bhi Bana Gai Hay. Un Ki Double Hundreds Ki Ta’daad Ab 5 Ho Chuki Hay. Ye Record Pehlay Brendon McCullum Kay Paas Tha Jinhon Nay Apnay Career Mein 200+ Ki 4 Innings Kheli Theen. Stephen Fleming Aur Ross Taylor Kay Career Mein 3,3 Double Centuries Theen. Par Ab Kane Williamson Ka Raj Hay!

Baby Ko 'Pakistan' Pasand Hay

Pakistan Kay Khilaf Khelna Kane Williamson Ko Buhat Pasand Hay. Un Kay Sub Say Zyada Test Runs Aur Centuries Sab Pakistan Kay Khilaf Hi Hain.

Green Shirts Kay Against Kane Williamson Nay Sirf 13 Test Matches Mein 1442 Runs Bana Rakhay Hain. Doosri Kisi Team Kay Against Un Kay Runs Ki Ta’daad 1,000 Bhi Nahi. Phir Pakistan Kay Khilaf Unhon Nay 5 Centuries Aur 4 Fifities Bhi Bana Rakhi Hain.

Agar Hum Williamson Ki Test Cricket Mein Last 3 Centuries Dekhain, To Wo Bhi Pakistan Kay Khilaf Hain. December 2020 Mein Mount Maunganui Mein 129 Runs Ki Innings, Phir Next Test Mein 238 Runs Aur Ab Karachi Mein 200*.

Pakistan Ka Dushman: Kane Williamson

Test Cricket Mein

vsInnsRunsHSAve.100s50s
Raftar Bharne Do Australia1869916641.1122
Raftar Bharne Do Bangladesh8683200*113.8334
Raftar Bharne Do England2585313237.0834
Raftar Bharne Do India2487113137.8625
Raftar Bharne Do Pakistan23144223868.6654
Raftar Bharne Do South Africa1666517647.5032
Raftar Bharne Do Sri Lanka18992242*66.1335
Raftar Bharne Do West Indies1797025160.6234
Raftar Bharne Do Zimbabwe639311378.6013

Mulkon Mulkon!

Is Double Century Kay Sath Kane Williamson 10 Mulkon Mein Centuries Bananay Walay Batsman Bhi Ban Gaey Hain. Un Ka Naam Ab Rahul Dravid, Mahela Jayawardena, Mohammad Yousuf, Saeed Anwar Aur Kumar Sangakkara Jaisay Greats Kay Sath Aa Raha Hay, Jinhon Nay 10 Different Countries Mein Test Centuries Keen.

Laikin, World Record Younis Khan Kay Paas Hay, Jinhon Nay 11 Mulkon Mein Triple Figure Ki Innings Kheleen. Agar Williamson South Africa Mein Aik Century Bana Lain To Wo Younis Khan Ka Ye Record Barabar Kar Saktay Hain.

شیئر

جواب لکھیں