Cricket World Mein Pakistan Different Aur Unique Kyun Hain? Apnay Fast Bowling Assets Ki Waja Say. Hum To Kehtay Hain Pace Is Pace Yaar! Aur History Utha Kar Dekh Lain, Fazal Mehmood Say Aaj Shaheen Afridi Tak, Pakistan Kay Super Stars Zyada-Tar Fast Bowlers Hi Rahay Hain. Laikin Ab To Lagta Hay Pakistan Say Fast Bowling Hi Khatam Ho Chuki Hay. 2022 Mein Pakistani Pace Bowlers Ki Performance Dekh Kar Itni Mayoosi Hui Hay Ke Bus Kya Batayen.

Chalain, One Day Ya T20 Internationals Jaisay Shorter Formats Mein To Keh Saktay Hain Ke Wo Batsmen-Friendly Cricket Hay, Laikin Test Cricket To Aaj Bhi 20 Wickets Ka Game Hay. Jis Mein Fast Bowlers Important Role Play Kartay Hain. Unhain Reverse Swing Mil Jata Hay, Wo Conditions Ka Faida Utha Saktay Hain Aur Har Din Kay Sath Kharab Hoti Pitch Ka Bhi. Laikin Pakistan Bowlers Nay Is Format Mein Kya Kia? Kuch Bhi Nahi.

Karachi Mein New Zealand Kay Against Karachi Test 2022 Mein Pakistan Ka 9th Test Match Hay. First 3 Days Ka Khel Ho Chuka Hay Aur Pakistan Kay 438 Runs Kay Jawab Mein New Zealand 6 Wickets Par 440 Runs Bana Chuka Hay. Is Match Ko Mila Kar Pakistani Pace Bowlers Pooray Saal Mein 44.37 Kay Average Say Sirf 45 Wickets Lay Sakay Hain. 

2022: Pakistani Pacers Ki Test Performance

Mat.OversRunsWktsBBMAve.Econ.
95541997455-8144.373.60

Agar Pakistan Kay Last 3 Matches Dekhain To Hadd Hi Ho Gai Hay. Fast Bowlers Ko 182 Kay Bhari Bharkam Average Say Sirf 2 Wickets Mili Hain. England Kay Against Multan Test Mein To Fast Bowlers Aik Wicket Ko Bhi Tarastay Rahay. Baqi 2 Wickets England Aur New Zealand Kay Khilaf Karachi Test Matches Mein Mohammad Wasim Jr. Ko Mili Hain. 

Is Kay Muqablay Mein Zara Spinners Dekhain, Jinhon Nay Inhi Matches Mein 76 Wickets Li Hain. Jitwa To Wo Hi Nahi Sakay Laikin At Least Performance To Behtar Dikhai Hay.

2022: Pakistani Spinners Ki Test Performance

Mat.OversRunsWktsBBMAve.Econ.
9847.232997611-13443.303.89

Pakistan Jeeta To Pooray Saal Mein Sirf 1 Test Hi, Australia Aur England Kay Khilaf Bari Test Series Mein Shikast Bhi Khai, Laikin Hamaray Liay Koi Gham Pakistan Ki Fast Bowling Ka Ye Haal Dekhnay Say Barra Nahi.

Pakistani Pace Bowlers Ko Individually Bhi Dekhain To Koi Bhi Green Shirt Worthy Nahi. Pakistan Ki Jo Fast Bowling Legacy Hay, Usay Dekhtay Hain Hum Is Say Kaheen Zyada Expect Kartay Hain. 

2022: Pakistani Pacers Ki Individual Test Performance

Mat.OversRunsWktsBBMAve.
Naseem Shah5148.4555184-5830.83
Shaheen Afridi4125.1407134-5831.30
Hasan Ali4114.033752-2367.40
Mohammad Ali249.026142-465.25
Faheem Ashraf336.011122-555.50
Mohammad Wasim248.119221-7196.00
Haris Rauf113.07811-7878.00
Mir Hamza120.0560--

Yahan Ye Sawal Paida Hota Hay Ke Aakhir Aisa Ho Kyun Raha Hay? Pehla Factor To Ye Hay Ke Test Mein Selection Kay Liay T20 Balkay PSL Performance Ko Benchmark Banaya Ja Raha Hay.

Doosra Problem Bataya Jata Hay Hay Wickets Ka Ke Aisi ‘Phatta’ Pitches Par Wickets Laina Buhat Mushkil Hay. Laikin Aik Minute! Abhi England Kay 40 Saala James Anderson Nay Bhi To 2 Matches Mein 8 Wickets Li Theen Na? Pat Cummins Bhi To Yaheen Par 3 Matches Mein 12 Wickets Lay Gaey Thay? Yani Masla 'Sirf' Pitches Ka Nahi Hay.

Jis Tarah Jimmy Aur Cummo 1,2 Format Hi Kheltay Hain, Usi Tarah Pakistan Ko Bhi Different Formats Kay Liay Apnay Players Ko Dedicate Karna Hoga. Ye Shaheen Afridi, Haris Rauf Aur Naseem Shah Ko Har Format Mein Use Karnay Ka Hi Nateeja Hay Ke Teenon Zakhmi Ho Kar Bahar Bethay Hain. Is Liay Pakistan Ko Apni Selection Aur Strategy Donon Ko Badalna Hoga, Warna Pakistan Kay Fast Bowling Junoon Kay Liay Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Raj'ioon Parh Lain. 

شیئر

جواب لکھیں