Pakistan India Test Series Ko “Ashes” Say Bara Muqabla Kaha Jata Hay. 1952 Say Donon Teams Nay 58 Test Matches Khelay, Laikin Pichlay 15 Saal Say Koi Test Nahi Hua. Kyun? Waja Hay Donon Mulkon Ki Political Tussle, Jis Ka Nuqsan Cricket Fans Ko Ho Raha Hay. Laikin Ab Pak-India Test Match Karwanay Kay Liye Kuch Halchal Shuru Hui Hay, Kaheen Aur Nahi Australia Kay Melbourne Cricket Ground Main.
Pakistan Aur Neutral Venues
Pakistan Nay Apni Cricketing History Main Kafi Arsay Tak UAE Ko Home Ground Banaey Rakha. Mulk Main Security Issues Ko Jawaaz Bana Kar International Teams Yahan Anay Say Inkaari Raheen. Jis Ki Waja Say 20 Saal Kay Arsay Main Green Shirts Nay UAE Main 35 Test Matches Khelay.
Laikin, Is Say Bhi Pehlay 2002 Main Australia Kay Against Colombo Main Test Matches Bhi Khelay Gaey, Balke 2010 Main Bhi Pakistan Aur Australia Kay Test Matches England Main Huay Thay.
Pakistan India Test Series
Agar Pak-India Test Matches Ki Baat Karain To India Ki Team 2005-2006 Main Test Series Kay Liay Pakistan Bhi Ai Thi. 2007 Main Pakistan Kay India Tour Kay Baad Donon Teams Kahi Test Cricket Main Aamnay Samnay Nahi Aa Sakeen.
Yani 15 Saal donon rivals ka koi test nahi hua, magar dilchasp baat: ye Time Period Sab Say Longest Nahi. Is Say Pehlay Pakistan Aur India Kay Darmiyan 1960 Say 1978 Tak 18 Saal Koi Test Series Nahi Hoi Thi. Yeh Woh Doar tha Jis Donon mulkon main 2 Wars Bhi Hoi Theen, Aur political Tension apni peak par thi.
phir waqt badla, 80s mein 10 Saal Main donon kay 20 Test Matches huay. wo waqai Best Era Tha, jis mein Pakistan Nay India Ko first match kay baad koi Match bhi Jeetnay Nahi Diya. 1982-83 ki consecutive victories aur phir 198 ka bangalore test usi daur mein khelay gaey.
pakistan vs india test cricket in 1980s
Mts. | Won | Lost | Draw | |
---|---|---|---|---|
Pakistan vs India | 22 | 4 | 1 | 0 |
Australia Main Pakistan India Series Hogi?
Khair, wo zamana to ab guzar gaya. Ab MCC Aur Victoria Government Nay Pakistan Aur India Test Match Ki Hosting Kay Liye Australian Government Say Contact Kiya Hay. Pakistan Aur India Ki Teams October Main T20 World Cup Match Main Amnay Samnay Aai Theen. Yeh Match Intehai Kamiyabi Say Hua Tha, balke itna kamyab hua ke australia ki raal tapaknay lagi aur idea aya kay kyun na MCG main Pak-India Test karwaya jaey.
MCC Kay Chief Executive Stewart Fox Nay Australia vs South Africa Boxing Day Test Kay Doran Radio Commentary Main Kaha Kay Pak-India Test Match Ko Host Karna Acha Lagay Ga, Balkay Is Ground Par To 3 Test Matches Shandaar Hon Gay. Umeed Hay Ke Har Din Full House Hoga.
Cricket Australia Kya Kehta Hay?
Cricket Australia Nay Is Hawalay Say Kaha Hay Kay Neutral Venue Par Test Series Ya Test Match Kehlana Pakistan Cricket Board Aur Indian Cricket Board Kay Hath Main Hai. Agar Dono Boards Kay Darmiyan Koi Agreement Hota Hay To Cricket Australia Ko Yeh Matches Host Karnay Main Dilchaspi Hogi.
Yeh Bhi Bataya Kay Dono Teams Kay Supporters Ki Baari Ta'daad Australia Main Hai Aur Aisa Koi Bhi Event Donon Teams Kay Liye Behtareen Hoga.
Kya India Tayar Bhi Hay?
Laikin… Sawal Ye Paida Hota Hay Kay Kya India Pakistan Kay Sath Khelnay Ko Tayar Bhi Hay? Hamain To Wo Khelnay Kay Mood Main Nazar Nahi Aata. BCCI Aisi Kisi Offer Ko Qubool Karnay Wala Nahi Hay, Chahay Wo Kitni Hi Lucrative Deal Kyun Na Lagti Ho.
BCCI Kay Aik Senior Official Ka Kehna Hay Ke ICC Aur Asian Events Kay Ilawa Pakistan Say Khelnay Ka Sawal Hi Paida Nahi Hota. "Na Hum Pakistan Ja Rahay Hain Aur Na Us Kay Saat Kaheen Aur Khelain Gay."
Pakistan Aur India Kay Buhat say modern day greats Aik Doosray kay Against Test Khelay Baghair hi Retire Ho Chukay Hain. Ab Dekhna Yeh Hay Kay Babar Azam Aur Shaheen afridi Jaisay Star Players Virat Kohli Aur Rohit Sharma Kay Against koi Test Match Khel Sakain Gay, ya ye arman dil main liay hi cricket chhor jaen gay.