Warren Buffet Ki Net Worth $116 Billion Hay. Nick Saban Ne 7 National Titles Jeetay Hain. Ye Donon Apnay “Inner Scorecard.” Ke Tehat Zindagi Guzartay Hain.

Inner Scorecard Kiya Hay Aur Isay Kesay Use Karen?

Success Ko Measure Karnay Ke 2 Tariqay Hotay Hain. 

• Outer Scorecard
• Inner Scorecard

Zyada Tar Log Pehla Scorecard Use Kartay Hain, Magar Jo Log Best Hotay Hain Wo Dusra Walay Scorecard Per Focus Kartay Hain. Chaliye In Donon Ko Break Down Kartay Hain.

Inner Scorecard

Outer Scorecard

Zyada Tar Log Success Ko • Fame, • Money, • Status, • Influence, • Accolades, • Recognition, Aur • Achievement Se Measure Kartay Hain.

Outer Scorecard Extrinsic (Beruni) Motivation Per Based Hota Hay Aur Ye Fickle (Na Payedar) Hota Hay. Ye ‘Log Kiya Kehtay Hain’ Se Define Hota Hay.

 Problem Ye Hay Ke Ye Outcome-Focused Hota Hay Aur Outcomes Mostly Hamaray Control Main Nahi Hotay. Is Liye Outer Scorecard Ke Zariye Khelna Aqalmandi Nahi Hay.

Inner Scorecard

Jo Best Afrad Hain Wo Apni Success • Effort, • Values, • Principles, • Standards, • Excellence, • Commitment Aur • Performance Se Measure Kartay Hain.

Ye Scorecard Intrinsic (Androoni) Motivation Per Based Hota Hay Aur Reliable Hota Hay. Ye Sirf Is Baat Se Define Hota Hay Ke ‘Aap Apnay Baray Main Kia Sochtay Hain.’

Inner Scorecard Outcome-Focused Nahi Bulkay Process-Focused Hota Hay Aur Outcome Ke Muqablay Main Process App Ke Control Main Hota Hay. Real Success Ke Liye Isi Scorecard Per Focus Karna Chahiye.

Inner Scorecard Ke Kuch Simple Principles Hain.

• Present Main Jiyen
• Process Per Focus Karen
• Sab External Voices Ko Ignore Karen
• Apni Behtreen Performance Den
• Outcome Ko Bhool Jayen


Inner Scorecard Concept Ka Credit Usually Warren Buffett Ko Diya Jata Hay. Warren Buffet Ko Ye Un Ke Walid Ne Sikhaya Tha Aur Unhon Ne Is Ke Mutabiq Hi Zindagi Guzari Hay.

Raftar Bharne Do


Inner Scorecard Ab Sports Aur Business Main Bhi Popular Ho Raha Hay.

@Alabamaftbl  Ke Coach Nick Saban Ko Dunya Ka Behtreen College Football Coach Qarar Diya Jata Hay. Wo Bhi Isi Program Per Amal Kartay Hain. Wo Is Ko ‘Scoreboard’ Kehtay Hain. Jo Zahir Hay Aik Hi Baat Hay.

Raftar Bharne Do

Hum Ne Ye Tou Jaan Liya Ke Inner Scorecard Kiya Hota Hay. Ab Yehan Ye Aham Sawal Peda Hota Hay Ke Hum Apni Life Ke Liye Inner Scorecard Kese Develop Karen.

Kyunke Har Shaks Ki Life Different Hoti Hay, Is Liye Har Shaksh Ka Inner Scorecard Bhi Different Hota Hay. Lekin Is Silsilay Main 3 Sawal Aap Ko Hamesha Guide Karen Ge.

1. Meri Core Values Kiya Hain?
Aap Ki Values Aap Ke Behavior Ko Drive Karti Hain Aur Aap Ka Behavior Aap Ke Inner Scorecard Ko Drive Karta Hay.
Values Ki Examples Main • Courage, • Integrity, • Service Aur • Ownership Waghera Shamil Hain. In Ke Elawa Bhi Aap Ki Bohat Si Values Ho Sakti Hain. Un Ko Identify Aur Clarify Karna Acha Step Hota Hay.

2. Meray Personal Standards Kiya Hain?
Hum Sab Ko Ye Faisla Karna Hota Hay Ke Hum Jo Kuch Kar Rahay Hain Wo Kafi Hay Ya Hum Apne Potential Ko Maximize Karna Chahtay Hain. Aap Ke Standards Aap Ke Inner Scorecard Ko Guide Kartay Hain.

3.  Main Kis Level Tak Jana Chahta Hun?
Good, Great Ya Apnay Best Level Tak? Aap Ka Jawab Aap Ke Inner Scorecard Ko Influence Karta Hay.
Let’s Suppose Aap Car Sell Kartay Hain. Aap Ke Outer Scorecard Ke Lehaz Se Aap Ki Success Ye Ho Gi Ke Aap Apne Target Se Zyada Sales Kar Len. Top Salesperson Of The Year Ka Award Jeet Lain. Promotion Ya Increment Hasil Kar Lain Etc.

Inner Scorecard Ke Lehaz Se Aap Ki Success Ye Ho Gi Ke Aap Rozana Apni Sales Skills Ko Barhayen. Har Costumers Se Acha Relation Banayen. Har Sales Deal Bohat Achay Andaz Main Complete Karen.

Ab Farz Karen Aap Aik Startup CEO Hain. Aap Ke Outer Scorecard Ke Lehaz Se Success Ye Ho Gi Ke Aap $10 Million Raise Kar Lain. Forbes 40 Under 40 Main Aa Jayen. “Best New Startup” Ka Award Jeet Lain Etc.

Inner Scorecard Ki Kuch Examples Ye Hain Ke Aap Apni Pitch Ko Amazing Banayen. Aik Fantastic Business Atmosphere Paida Karen. Apna Kaam Rozana Behtreen Tareeqay Se Anjam Den.

Conclusion:

Success Ko 2 Tareeqon Se Measure Kiya Jata Hay. • Inner Scorecard Androoni Hota Hay.
• Outer Scorecard Beruni Hota Hay. Jo Best Log Hotay Hain Wo Inner Scorecard Ke Zariye Zindagi Guzartay Hain.

Aap Apni Success Kesay Measure Kartay Hain Isi Se Determine Hota Hay Ke Aap Kitne Successful Hain.

شیئر

جواب لکھیں