Benjamin Netanyahu Aik Baar Phir Israel Ke Prime Minister Ban Gaye Hain. Likud Party Ke Sarbarah Ne Is Baar Iqtidaar Far Right Extremist aur anti-muslim Yahodi Parties Se Ittehaad Ke Zariye Haasil Kya Hai. 73 Sala Benjamin Netanyahu Israel Ki Tareekh Main Sab Se Ziyada Lambay Arsay Tak Is Ohday Par Reh Chukay Hain. Woh Pehlay 1996 Se 1999 Tak Wazeer-e-Azam Rahay. Baad Main 2009 Se 2021 Tak 12 Saal Un Ki Hukoomat Rahi.

June 2021 Main Un Ko Corruption Ke Ilzamaat Par Wazeer-e-Azam Ke Ohday Se Farigh Kya Gaya Tha.

Netanyahu
Netanyahu Phir Power Main 1

Netanyahu Ki Nayi Government Aur Khadshat

November Main Honay Walay Election Ke Baad Koi Bhi Party Simple Majority Haasil Nahi Kar Saki Thi. Netanyahu Ne Hukoomat Bananay Ke Liye Right Wing Ki Aisi Parties Se Mazakraat Kiye Jo Palestine Ke Khilaaf Sakht Muaqqif Rakhti Hain. Netanyahu Ke Pichlay Tenure Bhi Palestine Ke  Musalmanoon Ke Liye Kuch Achay Nahi Rahay. Is Baar Sakht Geer Mazhabi Parties Ke Sath Coalition Government Ban'nay Ke Baad Khadsha Zahir Kya Ja Raha Hai Ke Musalmano Par Mazalim Main Izafah Hoga.
Benjamin Netanyahu Ki Likud Party Keh Chuki Hai Ke Hukoomat Ban'nay Ke Baad Woh West Strip Main Yahodi Abadkari Barhayain Ge.

Doosri Taraf American Foreign Secretary Antony Blinken Ne Kaha Hai Ke Washington Abad Kaari Main Extension Aur Maghribi Kinare Ke Annexion Ki Kisi Bhi Koshish Ki Mukhalfat Keray Ga.
Khud Netanyahu Bhi West Strip Main Yahodi Bastiyon Ki Taamer Ke Haami Hain Aur Palestine Ki Alag Riyasat Ki Mukhalfat Kartay Hain Jabkay International Community Palestine Ko Alag State Bananay Ki Himayat Karti Hai.
Aalmi Qanoon Ke Tehat Ghairqanooni Samjhi Jane Wali Bastiyon Main 4 Laakh 50 Hazaar Ke Qareeb Jews Abad Hain. Un Ki Construction Ka Silsila 1967 Main Arab Israel War Ke Baad Se Shuru Huva Tha.

Analysts Ka Kehna Hai Ke Far Right Parties Ke Sath Kuch Lo Kuch Do Ke Tehat Government Banai Gai Hay. Woh Un Parties Ko Facilitate Karen Ge Jawab Main Wo Parties Un Par Muqadmaat Khatam Karanay Ke Liye Lawas Main Amendments Per Un Ka Sath Den Gi.

Benjamin Netanyahu India Ke Dost Iran Ke Dushman

Netanyahu Khud Ko Israel Ki Salamti Ka Zamin Qarar Detay Hain. Oath Lenay Se Pehlay Un Ka Kehna Tha Ke Un Ka Sab Se Bara Maqsad Iran Ko Nuclear Power Ban'nay Se Rokna Aur Region Main Israel Ko Fauji Bartari Dilana Ho Ga.

Kasmir Main Muslmano Per Zulm Karnay Walay India Se israeli PM Ke Bohat Qareebi Taluqaat Hain. Apne Pichlay Tenures Main Wo Kayi Baar India Ke Visit Aur Us Se Cooperation Ke Agreements Kar Chukay Hain. Netanyahu Ke Teesri Baar Prime Minister Ban'nay Par Bharti Prime Minister Narendra Modi Ne Unhein Fori Mubarak Bad Di Aur Strategic Partnership Barhanay Ka Azm Zahir Kya.

Modi Ki Walida Ke Intqaal Par Unhon Ne Twitter Pegham Main Unhein Pyare Dost Likh Kar Taaziyat Ki.

شیئر

جواب لکھیں